Dard itna hai k......

by CoolGirl on January 20, 2007, 08:52:48 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 12
ReplyPrint
Author  (Read 17984 times)
CoolGirl
Guest
Reply with quote
dard ka fard is kadar hei ki
aankhein num rehti hein
kuch aansu jo humne bahaye hi nahi
or aapne sumjha hum kabhi roye hi nahi
aap puch rahe the kuch meri nind ke baare mein
or ik hum hein ik umar se soye hi nahi
tere intzaar mein jo saanse li hein ab tak
har saans ka dard kuch is kadar hei ki
tujhe pani ki koshish thi tujhe khone ka gumm hei
teri yaad mein ye aankhein barson se numm hein
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hume Mohaabat Ne Itna Dard Diya Dosto, by muneeb in Shayri-E-Dard
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
kayun itna be-dard Zamana hai!!!! by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 14 15 »
itna dard na do mujhe by saahill in Shayri-E-Dard
DARD HAI ITNA... by ajnabee 28 in Miscellaneous Shayri
CoolGirl
Guest
«Reply #1 on: January 20, 2007, 08:53:14 AM »
Reply with quote
kabhi royegi meri yaad mein tanha
ujjad chuka hoga aashiyan ho jaunga mein fanaa
mere har baat ko tasvir banake rakhna
mera intzaar apni aankhon mein banake rakhna
tujhse maangi thi khushiyan maine
tune gumm bhi dene se inkaar kar dia
jaate hue yaaad karna mud mud kar
mere aansu teri awaaz ko taras rahe the
humein meffilon mein bhula dena lekin
bahut yaad aaunga mein tanhaiyon mein
kabhi royegi meri yaad meien tanha dekhna
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #2 on: January 20, 2007, 08:53:54 AM »
Reply with quote
Kitni Raat Beet Gayi,
Kitne Din Beet Gaye,
Bas Beeta Nhi To Yaadonka Wo Pal,
Wo Guzra Hua Kal,
Beeti Nahi To Aankhonki Nami
Aur Hamare Jeevan Mein Apki Kami...
beeta nahi to yeh dard ka saama
jo tu mujhko degaya
aati nahi to labon pe haasi
teri gham ki yaadein rula gayi
najane tu kaisa sugahat degaya
dard-o-gham to mere daman se joor gaya
ab to andhera hi acha lagta hai
tamanna-e-roshni maar gayi
kitni raat beet gayi
kitne din beet gaye
humari aankhein to aashq bahar hi reh gayi....
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #3 on: January 20, 2007, 08:54:30 AM »
Reply with quote
Tanhayi har taraf chayi hai
tune di mujhko bas ruswai hai
dard-o-gham se barah mera daman hai
tune kaisi aag iss dil mein lagayi hai
jis aankhon mein sapne sajae the naye
aaj wohi aankhein bhar aayi hai
aik tujh hi ko maana tha apna piya
tu bhi nikla herjayi hai
kyun khuda ne likhi hai takdeer meri aisi
mere karam main pyar ki koi jaga nahi banayi hai
ab pyar,ishq muhabbat mei aatibaar na raha
ke RANI ne iss raste pe tokar hi khayi hai...
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #4 on: January 20, 2007, 08:55:10 AM »
Reply with quote
na reh paoge tum bhi mere bin
baut pachtaoge tum bhi mere bin
har waqt yaad aayegi tumko meri
soona paoge tum bhi mere bin
har dagar har jaga aaongi mein nazar
tarap tarap ke maar jaoge tum bhi mere bin
yaadein meri satayengi baatein meri rulayegi
roh roh ke thak jaoge tum bhi mere bin
intezar hai mujhe us lamhe ka
jab jee na paoge tum bhi mere bin
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #5 on: January 20, 2007, 09:14:12 AM »
Reply with quote
wahh bohat khoob...!!!!
Logged
ANKUR_CRAZY
Guest
«Reply #6 on: January 21, 2007, 06:22:03 AM »
Reply with quote
kya baat hai bahut acche.....
keep going
Logged
akela
Guest
«Reply #7 on: January 21, 2007, 10:45:15 AM »
Reply with quote
nice everyone guys keep it up
Logged
paani
Guest
«Reply #8 on: January 22, 2007, 06:53:23 AM »
Reply with quote
DARD... Nice one Cool G , n all guys
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #9 on: January 22, 2007, 07:59:06 AM »
Reply with quote
Her Kisi Ke Dil Mein Ek Kona Hoota Hai
Uss Kone Mein Kisi Ke Liye Pyaar Bhara Hota hai
Uss Kone Mein Ek Tasveer Sajji Hooti Hai
Woo Tasveer Uss Ke Sajan Ki Hooti Hai
Kaash Mere Dil Ke Kone Mein Bi
Kisi Ki Tasveer Sajji Hoti
Uss Kone Mein Bi Kisi Ke Liye Pyaar Bhara Hota
Magar Kaise Sajaoon Iss Mein Kisii Ki Tasveer
Dil Ka Woo Haseen Kona Tho Kya
Mere Tho Poora Dil Hi Ghayil Hai Zahmoon Se
Darthi Hoon Main Ke Kahi Woo Tasveer
Woo Pyaar Aur Ghayil Na Ker De Iss Dil Ko
Aur Zakham Kaise Seh Payegi RANI
Zakham Be Aise Ke Jinhain Main
Ta Hayaat Na Bhar Paoon Gi
Mere Dil Ka Yeh Haseen Kona
Shayed Ab Kisi Ka Na Hoo Ga
Kisii Ka Na Ho Ga...
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #10 on: January 22, 2007, 07:59:40 AM »
Reply with quote
mujh ko jo tu ne diyae wo hen aansoo
har pal jo behetay rahe wo hen aansoo

yad men tere ankh se tapka jo aansoo
rakh liya bana k hum ne tohfa tera aansoo

dilne mere bahe inkar per tere jo aansoo
log samjhe un ko mere khushi k aansoo

jetay rahe to kisi ne na ponchay ye aansoo
mar chalay to sare duniya ne bahe aansoo
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #11 on: January 22, 2007, 08:00:44 AM »
Reply with quote
Chahat kay is darya per
Darya or kenaray per
Dil ko aaj aazad kia
Main nay tum ko yaad kia

Tanhaee ke ratoon main
Khud he batoon batoon main
Is dil ko yoon shaad kia
Main nay tum ko yaad kia

Jab say tum ko dekha hai
Jab say tum ko chaha hai
Har ak pal faryaad kia
Main nay tum ko yaad kia

Is jeewan kay nesaboon main
Or ratoon kay khowaboon main
Jaag kay bhi dil shaad kia
Main nay tum ko yaad kia

Phool yah khilnay say phelay
Tum ko milnay say phelay
Khud ko yoon barbaad kia
Main nay tum ko yaad kia
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #12 on: January 22, 2007, 03:01:30 PM »
Reply with quote
Kiya karte the hum bhi kabhi pyar
waade hue muhabbat mein beshumaar

woh door chala gaya itna humse
khwabon ne bulane se kar dia inkaar

palkein bhigi rehti hein meri
fir bhi humesha rehta hei intzaar

kahan ho tum ye soch kar ji raha hun
koi puchta hei tere baaare mein

keh deta hun sar jhuka kar
kiya karte the hum bhi kabhi pyar
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #13 on: January 22, 2007, 03:06:46 PM »
Reply with quote
Ishq ne is qadar rula dia
ke aansuon ki barsaat hogayi
itna dard mila iss dil ko
ke needein meri udd gayi
choot aise khayi hai raah-e-ishq mein
ke mein to chalne se bhi lachar hogayi
inn aankhon pe jo sapne sajae the
ek pal mei hi inn ki tasweer toot gayi
ab to aaine mei dekhne se bhi daar lagta hai
ke RANI tu kiya se kiya hogayi...
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #14 on: January 23, 2007, 08:07:01 AM »
Reply with quote
abb tu adat si ho gai hai chup rehne ki
boolien tu apni he awaz ajnabi lage

tere ghum-e-judai mein itna roye
abb koi b dukh mile tu muskurane lage

waqt-e-qaza abb aa he jaye tu acha hai
dunia k jamaelon mai abb dil na lage

ulfat si ho gai hai muge apni tenahi se
mehfil mae jane se abb dar sa lage
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 12
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 05:56:11 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer