asad_abbas
Guest
|
«Reply #105 on: July 21, 2007, 01:30:23 PM » |
|
Uss pal main yaad Aaonga, Jub tum Tanhaiyee main roya karogi Jagtay-Jagtay Thak kar soya karogi, Ankho ke band hote hi yaad Aaoonga Jub kisi chahanay wale ki taraf daikhogi, To yaad Aaoonga, Kisi Mohabbat karnay wale ko Dekhongi, To yaad Aaoonga, Saans jab tak chalay gi Tumhaqri tab-tak tum ko, Yaad Aaoonga.... :cry:
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
asad_abbas
Guest
|
|
«Reply #106 on: July 21, 2007, 01:30:56 PM » |
|
Uss pal main yaad Aaonga, Jub tum Tanhaiyee main roya karogi Jagtay-Jagtay Thak kar soya karogi, Ankho ke band hote hi yaad Aaoonga Jub kisi chahanay wale ki taraf daikhogi, To yaad Aaoonga, Kisi Mohabbat karnay wale ko Dekhongi, To yaad Aaoonga, Saans jab tak chalay gi Tumhaqri tab-tak tum ko, Yaad Aaoonga.... :cry:
|
|
|
Logged
|
|
|
|
asad_abbas
Guest
|
|
«Reply #107 on: July 21, 2007, 01:35:24 PM » |
|
Maine B kisi sai PYAR tha,
Thora nahi BESHUMAR kia tha,
Meri to DUNIYA hi badal gai,
Jub usne kaha...... Maine to sirf mazak kia tha...!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
asad_abbas
Guest
|
|
«Reply #108 on: July 21, 2007, 01:46:04 PM » |
|
WHAT IS LOVE?? 1 andhi larki thi jis ko apnay dost k illawa sab se nafrat thi
Larka us larki sai bohot PYAR karta tha or us sai SHADI karna chahta tha
Mager larki kehti thi k jub tak us ki ankhin nahi sahi ho gi wo SHADI nahi karay gi
Phir ye hoa k us larki ko kisi ne ankhay donate kar di
Jab larki ki ankh theek ho gai to larki nai dekha k us ka dost bhi andha hai to larki ne SHADI sai INKAAR ker dia
Phir larka jatay hoay bola MERI ANKHON KA KHAYAL RAKHNA..
:cry: :cry: :cry: :cry: :cry: :cry: :cry: :cry: :cry: :cry: :cry: :cry:
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #109 on: July 22, 2007, 03:22:50 PM » |
|
very nice juleeus and asad
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #110 on: July 25, 2007, 09:26:59 AM » |
|
jab jeevan ki bhagiya dagmagae gi jab saansein tumari bhojal banjaye gi tab sunlo tumhe meri yaad aaye gi tumhe meri yaad aaye gi
jitna mujhe tarpaya hai utna tum tarpoge pyaar ki do baaton ke liye tum tarsoge jab her khushi tumse door jaye gi tab sunlo tumhe meri yaad aaye gi tumhe meri yaad aaye gi
rahega tumara dil her pal bechain na sunega tumari koi bahein jab ro ro tumari aankh thak jayegi tab sunlo tumhe meri yaad aaye gi tumhe meri yaad aayegi
chaho jitne kerlo tum gup aandhera rahege her soo meri yaad ka paara jab taz hawaon se khidkiyan khadkadaye gi tab sunlo tumhe meri yaad aaye gi tumhe meri yaad aaye gi han meri yaad aaye gi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #111 on: July 25, 2007, 09:28:10 AM » |
|
Rahon Me Teri Yaad Ke Jugnoo Hain Ja Baja Ab Saath Kisi Ke Chalna Acha Nahi Lagta
Aye Jaan Tumhe Kab Tak Har Baar Manaun Main Har Baat Pe Bigadna Acha Nahi Lagta
her hawa ka jhonka tera paigham suna jaati ab toh khidki kholna acha nahi lagta
jaane kunsi umid ab bhi baki hai ke teri tasveer se nazar paherna acha nahi lagta
sapno ka aashiyaan jo thoot ke bikar gaya ab inn aankhon ko sapne bunna acha nahi lagta
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #112 on: July 26, 2007, 08:22:00 AM » |
|
Yaad Unki Humse Bhulayi Na Gayi Lage Mele Phir Bhi Tanhayi Na Gayi
Aankhonse Aansu To Beh Nikle Aakhir Dil Ki Tadap Kisiko Dikhayi Na Gayi
tanha to humain marna hi hai per tanha zindagi bitayi na gayi
humne toh unne dil ki dhadkan bana liya unke dil mein hamari mohabbat basayi na gayi
jaladi humne unki tamaam nishaniyan lakin iss dilse tasveer unki mitayi na gayi
aik humsafar ki tarha saath hum rehte hain thi naseeb mein unki yaaden per RANI humare liye banayi na gayi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #113 on: July 27, 2007, 07:56:16 AM » |
|
beet gayi ek aur shaam tere bina beh rahe aanson ki jaam tere bina
gir gir her ek aanso bhi yehi kehta hai na seh paaye hum ye gham tere bina
her hawa ka jhonka jo teri khusboo lati thi ab na aaye koi paigham tere bina
vaada jo kiya tha saath chalne ka na chal paaye ye kadam tere bina
bazaar se lagti hai ab hume ye zindagi her din dejaye naya sitam tere bina
barta hi ja raha hai ye dard RANI hum na rahe ab hum tere bina
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #114 on: July 29, 2007, 08:13:31 AM » |
|
do boond jo barse aankhon se toh aasma ka aanchal bhi bheeg gaya
meri tanhayioun ko dekh ke chand bhi tanha re gaya
dil mein jo gham ki raat dekhi toh soraj bhi meri gali na aaya
jo aaina betaab rehta deedar ko mere ab woh bhi udaas ho gaya
banne se pehle hi khuwab thoot gaye sapno ka mehal jaise kahin kho gaya
tu toh ker gaya bewaafayi per RANI ka jahan sunna ho gaya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #115 on: August 01, 2007, 09:11:45 AM » |
|
aaj likhi hai humne dard ki kahani kaise hui barbaad humari jawani
kisi ke pyaar ne aisa badla ke jaane kahan kho gayi humari zindagani
mushkil hua ek ek pal jeena saanson ke bajaye hai gham ki rawani
lafz bhi kaam par rahe hai ab toh nahi aasan karna beyaan zubani
jis pe sab lutta diya RANI tune kya raahega jayegi teri ye qurbani?
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #116 on: August 04, 2007, 01:30:20 PM » |
|
Badi ajeeb si yeh dil ki chahat hoti hai Buri kisi se dil ki lagawat hoti hai
Beshak aap door ho nigaaho se meri Mehsoos tanhai mein aapki aahat hoti hai
pyaar mile na mile tarapta hai bichara dil to phir kyun dil ko muhabbat hoti hai?
bewaafa to chal parte hai bewaafai kerke bas humare hi naseeb mein ghaam ki barsaat hoti hai
pyaar ki shuurvaat to hoti hi aankhon se hai kyun inn aankhon mein chupi koi baat hoti hai??
jo qalaam kabhi pyaar ki deewani thi dekhna RANI tootne ke baad uski kya halaat hoti hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #117 on: August 08, 2007, 10:28:15 AM » |
|
lafzon mein jo beyaan kiya apne dil ka aalam toh logon ne humain shayar banaa diya
jo jhalka her lafz se mere ghamon ka paimaana toh logon ne usey shayari ka jaam banaa diya
"MEER" nahi jo lafzon ko khundan se bana de shair bas hai ye dard ki gherai aur logon ne WAH WAH suna diya
diya jisne waafa ka ye sila usey kahan badnaam kertey toh dil mein chupey dard ko humne tamasha bana diya
dil humara toorke wo nadan samjhe ke hum hogaye lachar aaj iss tootey dil se dekho humne logon ka dil bhala diya
qalaam aur khagas ke sang guzar rahi hai apni zindagi lafzon ki iss khel se logon ne hume dil ki RANI bana diya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #118 on: August 12, 2007, 10:28:50 AM » |
|
bhool ke bhi usey bhool na paun tou kya karoon uski yaadon ko dilse mita na paun tou kya karoon
inn aankhon mein chera basa hai unka apne ashkoun ko dil mein na chupaun tou kya karoon
jis gali mein iss dil ko qarar aata hai uss gali ko chhod na paun tou kya karoon
jisey zindagi maante the usne tou saath chhod diya ab maut ko galay na lagaun tou kya karoon
apni zubaan se tou haal-e-dil na bata saake gein phir RANI lafzon ko zubaan na banaun tou kay karoon
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #119 on: August 17, 2007, 07:47:39 AM » |
|
dil ke labon per ek hi saada hai kerta khuda se yehi dua hai
hue hai jo hum yun judaa hey khuda aisa kyun hua hai?
tu hi dekha deta hume sahi raah mera maan tou bawala hai
jaante the hum ke nahi milega woh kismat ka likha kya koi badel saka hai?
unke aane se jeevan ka naya roop paya tha ab tou jaise jeena bangaya ek sazaa hai
raat din jis qalaam se her pal ka saama likhte the ab RANI humari zindagi mein likhne ko kya baccha hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|