CoolGirl
Guest
|
«Reply #120 on: August 22, 2007, 07:24:49 AM » |
|
Yun Teri Tamanna Mere Dilko Dukhati Rahi Jab Bhi Muskurana Chaha Aankh Bhar Aati Rahi
Ummidon Ne Bana Bana Ke Tode Mere Khwaab Baharon Mein Dil Ki Kali Khil Ke Murjhati Rahi
jis raah ko manzil samaj ke chalte rahe wohi raah mere paaron mein kantey chubati rahi
jiske aankhon se gham ke aanso na chalakne diya aaj uski chahat meri aankhon ko naam kerti rahi
kya khub taqdir khuda ne teri likhi hai RANI pehle hasaya aur ab mujhe rulati rahi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #121 on: August 22, 2007, 07:25:11 AM » |
|
Mere Baad Kidhar Jayegi Tanhayi Main Jo Mari To Mar Jayegi Tanhayi
Main Jab Ro Ro Ke Dariya Ban Jaungi Us Din Paar Utar Jayegi Tanhayi
rone ko meri lash pe tu nahi tou kya aankhein kerke aashqbar chillaegi tanhayi
jis raah pe chalna mushkil hojayega mera uss raah pe humsafar banjayegi tanhayi
iss tanhayi mein bhi tanhayi mehsos nahi hoti lagta hai naye sapne palkon par sajayegi tanhayi
andaz humara kuch shayarana horaha hai lagta hai RANI ab shayar banjayegi tanhayi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #122 on: August 22, 2007, 07:00:42 PM » |
|
Mohabbat Se Bhi Nafrat Ho Gayi Hai Humein Ye Kaisi Wehshat Ho Gayi Hai
Fanaa Kar Dalun Khud Ko Aur Sab Ko Meri Ye Kaisi Fitrat Ho Gayi Hai
duaon mein marne ki dua maang rahi hon jaane dilko ye kaisi hasrat ho gayi hai
apni hi dun mein kahan chale ja rahe hain kaisi ye deewano se halat ho gayi hai
her apna bhi mujhe ab begaana lagta hai tanhayiun mein rehne ki aadat ho gayi hai
ab tou khatam ker ya khudaya meri ye zindagi RANI ke liye jeena aik musibat ho gayi hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #123 on: August 23, 2007, 05:53:00 AM » |
|
khataon pe khafa hona hume nahi aata bila waaje saaza dena hume nahi aata
pyaar ko jo tumne mere gunna kaha hai pyaar kerke bewafa hona hume nahi aata
pehle deke hasi fir kyun rula gaye mujhko chamakti aankhon ko naam kerna hume nahi aata
hai nahi humare paas hunar dil thorne ka dil ki kali ko murjana hume nahi aata
jo aankhein sapno ki duniya mein khoyi rehti aaj RANI inn aankhon ko sapne dekhana hume nahi aata
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #124 on: August 23, 2007, 01:36:02 PM » |
|
USKI GALI SE GUZARNA AJEEB LAGTA HAI USSE ROBARO MILNA AJEEB LAGTA HAI
JO CHAYA THA MERE KHUWABON KHAYALON MEIN DIN RAAT AB US KA KHUWAAB MEIN AANA AJEEB LAGTA HAI
UNKA TASKARA SUNKE HUME BHI KHUSHI HOTI THI AB UNKI BAATEIN KERNA AJEEB LAGTA HAI
HUI THI PEHLI MULAKAT AANKHON AANKHON MEIN AB US SE AANKH MILANA AJEEB LAGTA HAI
BECH SAFAR MEIN JO HUMARA HAATH CHOR GAYE AB US SE HAATH MILANA AJEEB LAGTA HAI
LIKTE THE JIS QALAAM SE HUM PYAAR KE AFSAANE AAJ RANI UNKO PARNA AJEEB LAGTA HAI
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #125 on: August 23, 2007, 11:03:55 PM » |
|
bahoot khoob Cool Girl!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #126 on: August 24, 2007, 05:24:25 AM » |
|
thnx pooja ji thnx alot
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #127 on: August 26, 2007, 08:06:43 AM » |
|
Meri zindagi ke iss mod pe ye kaisa waqt aaya hai Zakhm iss dil ka zuban pe aaya hai
nahi rote the hum kaanto ki chuban se aaj kisi ki yaad ne humko rulaaya hai
jis jis ko maana iss dil ne apna unni logon ne iss dil ko dukhaya hai
kaise kehte hain roshni humko pata nahi inn nazron mein tou bas aandhera chaya hai
jaane kahan se nikal aayi unki woh qalaam na chahte hue bhi RANI phir aaj woh yaad aaya hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #128 on: August 27, 2007, 07:50:42 AM » |
|
Is Kadar Chotein Badhi Hai Ro Nahi Sakte, Ghaav Dilke Aansuon Se Dho Nahi Sakte...
zindagi itni veeran hogayi hai ke hum chain se ab tou soo nahi sakte
aaj sare kasme vaade tum bhool gaye kaha kerte the ke hum tumhe kabhi kho nahi sakte
nazron mein aaj bhi teri hi tasveer hai bas faraq itna hai ke hum usey choo nahi sakte
udaas yeh raahein udaas yeh shaamein ab RANI hum khushiyon ki khaliyan boo nahi sakte
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #129 on: August 27, 2007, 10:42:49 AM » |
|
Bina Dard Ke Shahid Ab Sambhal Na Sakun Khud Mein Hi Rone Ki Aadat Ho Gayi Hai
Wo Aa Bhi Jaye To Lagega Ab Ajnabi Khwabon Mein Hi Dekhneki Aadat Ho Gayi Hai
na khabar hoti hai mujhko raat din ki aandheron mein hi rehne ki aadat ho gayi hai
na dhoondein ab tujhko meri yeh nazrein behid mein khone ki aadat ho gayi hai
tha jo pehley tere ishq ka junoon ab ussi junoon se dard sehne ki aadat ho gayi hai
ab tak kisi ko mere haal-e-dil ka pata na chala ke RANI ko chup rehne ki aadat ho gayi hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #130 on: August 30, 2007, 10:12:19 AM » |
|
Jo Dekhi Berukhi Unki To Dilse Ye Sada Aayi Is Mehfil Se Achhi Hai Kisi Sehra Ki Tanhayi
bari mehfil mein woh hamara haath na tham sake aur kerte hain dava ke tum ho mere dil mein samayi
na ban sakte hain hum bewafa na hosake unse khafa per mere pyar ka sila usne diya banke harjayi
her nuksan ka hisab kitab hota hai bazar mein jo toorey hai usne mere sapne uski kya hogi barpayi?
likhte likhte jo qalaam takki na kabhi aaj kyun peekhi per rahi hai uski likhayi
jitna chahate hain usko hum bhulana RANI kyun na chahate hue bhi uski yaad chali aayi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #131 on: September 03, 2007, 07:23:05 AM » |
|
Thak gaye hum unka Intzaar karte karte Roye Hazaar baar khudse takraar karte karte
Do lafz unki zuba se na nikle aur Tut gaye hum ektarfa pyar karte karte
socha tha unko paake humne zindagi jeet li aur aaj hum haar gaye izhaar karte karte
samjhaya tha tujhe E-dil na de unko saada hogayi tasali itni pukaar karte karte
kya pata tha RANI ek din murja jaye ga din raat beet gaye lafzon ka haar karte karte
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Fawad
Guest
|
|
«Reply #132 on: September 03, 2007, 08:12:12 AM » |
|
yahan sabko miley piyar ye zaroori to nahin hai ho qismat per ikhtiyar yeh zaroori to nahin hai
dard dil main agar ho to rooh roti hai anmol ankhein roye zaar zaar yeh zaroori to nahin
hai phoolon ki chubhan se jo daman hua chalnni ho usmey koii khar yeh zaroori to nahin hai
jo har ghari khatey hain sang marney ki kasmein ho sang jeeney ko taiyaar yeh zaroori to nahin hai
umeed main jiski teri palkein huyee pathhar usey ho tera intezar yeh zaroori to nahin hai
yaqeen kar ke jisko apni zindagi banao usey tujh per ho aitbar yeh zaroori to nahin hai
baand ker rona khuwab badnaseebi per apne se hon sab bezar yeh zaroori to nahin hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #133 on: September 03, 2007, 02:51:34 PM » |
|
Ye Dil Na Jane Kya Kar Baitha Puchhe Binahi Mujhse Faisla Kar Baitha
Is Zameen Par Toota Sitara Nahi Girta Aur Wo Chandse Chahat Kar Baitha
dekh aaj tu khud hi tootke bikhar gaya phir kyun tu aisi khata kar baitha
pyaar ke jo deep tune jalaye the dil mein ussi deep se tu apna jala ghar baitha
khud to tu tarap raha hai mujhe b taba kardiya kyun E-dil tu aisa sitam kar baitha
kahan se laaye RANI inn zakhmo ke marham dil jeevan ko bhi nasoor kar baitha
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #134 on: September 06, 2007, 06:29:55 AM » |
|
tu hukum de to tera intezaar na karu dil ko teri judai main bekarar na karu
iss kadar ker tu mujhse bewafaai ke tere baad main kisi se pyaar na karu
apni inn yaadon ko bhi sang lejana kahin inke shahare apna jeevan guzar na karu
bhuja de ab inn pyaar ke deep ko bhi apne pyaar ke arzoo se tujhe bakhabar na karu
jaate jaate inn aankhon se saare khuwab bhi leja phir kabhi sapno ki bhaggiya tiyar na karu
ab kis ke liye yeh qalaam chalegi RANI ab phir kabhi tamanna-e-pyaar na karu
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|