CoolGirl
Guest
|
«Reply #135 on: September 06, 2007, 11:31:15 AM » |
|
aansu hi dene the tohfe mein jab to do pal tum mere sang muskuraye hi kyun the
sheeshe ki tarah thoorna hi tha mere sapno ko to inn aankhon mein sapne saajaye hi kyun the
beech safar mein iss tarah tumne saath choro jhoote dilase tumne mujhe dilaye hi kyun the
aaj inn roshniyon se bhi daar lagne laga hai tum itne ujale mere jeevan mein laaye hi kyun the
dil ke armaan aaj adhore reh gaye pyaar ke deep tumne jalaye hi kyun the
socha aaj puchh hi loon tumse ke aakhir tum RANI ki zindagi mein aaye hi kyun the
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #136 on: September 09, 2007, 03:23:01 PM » |
|
Toote Hue Dilki Hum Sifarish Na Karenge Apne Ashkon Ki Ab Hum Baarish Na Karenge
Yaad Teri Rahegi Mere Seene Mein Moti Ki Tarah Lekin Tujhe Paane Ki Hum Khwahish Na Karenge
jo dard tune diye mujhe ishq ki raahon mein ab hum unki saare-e-aam nimaish na karenge
pata chal gaya ke dukh mein apne bhi chor jate hain kabhi zindagi mein kisiki aazmaish na karenge
dil ki khatir humne pyaar ki qalaam chala di lakin aajse RANI hum kisise saazish na karenge
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #137 on: September 14, 2007, 07:38:51 AM » |
|
dard hi dard muhabbat mei unki khaye hai kitne chirag raah mein unke jalaye hai
sabke hothon pe bas wohi geet hai aaj jo muhabbat mein unki humne gaaye hai
kis tarah batlaye apne inn zakhamo ka raaz apno ki nazron mei bhi dhoke nazar aaye hai
kya hua tera mujhe her roz khat likhna tune her lafz apne jhoot se banaye hai
tere pyaar ki tamanna karte karte hum lut gaye aaj hua ehsaas ke hum kya mangne aaye hai
E-dil ab teri saada ko kaise beyaan karo ke RANI ke tamaam lafz aaj khamoshi laaye hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #138 on: September 14, 2007, 09:17:34 AM » |
|
aankho mei basne vale aansu bahakar nikal gaye dil mei rehne wale dil jalakar nikal gaye
jis raahon pe mera kabhi intezar karte the aaj usi raah mei chehra chupakar nikal gaye
jinse mehakti thi kabhi mere khuwabon ki galiyan wohi mere sapno ko aag lagakar nikal gaye
jis pyaar ki khusboo basi thi mere aagan mei woh bewafa phoolon ko murjakar nikal gaye
kis tarah ab guzregi yeh jeevan ki sawari jab mujhe maut ki galiyan dekha kar nikal gaye
jab beyaan kiya RANI apne jeevan ki kahani tou log wah wah suna kar nikal gaye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #139 on: September 15, 2007, 08:10:39 AM » |
|
jo diya hai tune itna ke ab aur aarzoo nahi jab tu hi nahi tou tujhse milne ki justojoo nahi
tera chera jo kabhi chand pe nazar aata tha ab tu uski tarah raha hu-ba-hu nahi
teri yaadon ke deep yeh dil jalakar tujhse baat karta hai per tu ru-ba-ru nahi
jis raah pe tera intezar hum kiya kerte ab tujhe yeh aankhein dhoondti ku-ba-ku nahi
tere chahaton se mehakte mere aangan ke phool tere bagire ab kahin koi khusboo nahi
bhichad ke tujhse kahan jayegi RANI yeh zindagi hai kya jab saath mere tu nahi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #140 on: September 17, 2007, 07:33:15 AM » |
|
koi na aayega yahan kun aaya hoga hawaon ne yeh darwaza hilaya hoga
itna kyun dhadak raha hai aye dil parosi ka khat koi leker aaya hoga
yunhi tou nahi barasti yeh aankhein aaj chupa dard phir ubbar aaya hoga
kyun her taraf mujhe aag nazar aarahi hai shayad usne meri her nishaniyon ko jalaya hoga
yeh qalaam mujhe likhne pe kare majboor kore khaqas ne yun aansoo bahaya hoga
mat yaad ker RANI sapno ke aashiyan ko ab ke barish ne isse thoor giraya hoga
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #141 on: September 18, 2007, 12:23:25 PM » |
|
ab kahan wo baazme sukoon ab kahan wo shenaayi
de hai jo tune shugahat ho tujh ko bhadaayi
aansoon ki ye lahri umar bhar ki hai kamaayi
tumne to dediya pyaar ka sila tabhi to her soo hai tanhayi
milna bicharna dastoor jahan ka per achi nahin lagti judaayi
parega jeene hai saansein jab tak RANI tum manglo marne ki jitni duaayi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #142 on: September 19, 2007, 03:11:39 PM » |
|
ghutno pe sar jhukaye hum roye saari raat gham ki chadar bichaye hum roye saari raat
na tha koi shahara tha tanhaiyon ka aasra na hi tum paas aaye hum roye saari raat
jaane kyun na aayi apne milan ki raat waade na raaz aaye hum roye saari raat
roshniyon ka mehal aaj sunsan hogaya udaasi ke badal chaaye hum roye saari raat
teri tamaana mein saare sapne toot gaye khud armaano ki bali charaye hum roye saari raat
sab jhoot the woh jo likhe the RANI apni qalaam se aaj saare afsaane jalaye hum roye saari raat
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #143 on: September 21, 2007, 10:23:19 AM » |
|
kis tarah gham mein guzri meri raat na pooch inn honton mein dabi hui baat na pooch
jis raah pe sang chalne ki kasme khayi thi kaise ab churaya hai mujhse haath na pooch
kis tarha ujri hai mere sapno ki bhaggiya dilse nikli hui fariyad na pooch
apno se kya gila karon jab wohi apna na raha ajnabi se hogaye hain halaat na pooch
jis pyaar ki deep se hi roshan thi dilki mehfil sunsan hogayi kaise dilki kayenaat na pooch
bezuban dilki saada ab kaise likh payen RANI kis tarha sambhaley hai apne jazbaat na pooch
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #144 on: September 21, 2007, 10:23:43 AM » |
|
Mohabbat sikha kar juda ho gaye Na socha na samjha, bus yuhin khafa ho gaye
Duniya mein kisko hum apna kahe Jab wo hi humse bewafa ho gaye
iss tarah hui hai apni raahein alag ke saath chalte chalte hum tanha ho gaye
ghut ghut ke hum iss tarah jee rahe hain ke hum khud ke liye hi saaza ho gaye
na ab likhne ki koi sahadat bachi hai ke RANI ke qalaam-o-khagaz aaj tabha ho gaye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #145 on: September 22, 2007, 08:46:36 AM » |
|
hogaye armaanoke saare sheeshe chakna chur thukra diya tumne bhi hue hum duniyase bhi door
na chahte hue bhi yaadon ka dard ubar aata hai aaj dekho hum hogaye hain kitne majboor
jisey apni zindagi maan baithe the hum aaj apni hi zindagi ki saansein bangayi hai nahsoor
bas aye Khuda ussey paane ki tamanna hi thi hamari tou kyun mile hume aisi saaza kya tha humara kasoor?
sab kuch paa ke bhi kya paaya phir hum ne? bas yehi hota hai iss pyaar ka dastoor
jinpe likhi RANI ne gazalein unko chaha logone kitne hue badnaam hum aur wo hue mashoor
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #146 on: September 25, 2007, 11:03:16 AM » |
|
likh rahe hain hum apna salaam-e-aakhir kerlo kerlo kabul ye apna salaam-e-aakhir
hoke mahyus hum iss zindagi se ja rahe hain deke apna salaam-e-aakhir
hogayi hai dekho shaam khatam saanson ka jaam fizaa mein ghonje ga apna salaam-e-aakhir
bhuj gaye hain ab saare mehfil ke diye keh gaye woh bhi apna salaam-e-aakhir
jis salaam se kiya tha humne aagaaz-e-safar anjam-e-safar hai yeh apna salaam-e-aakhir
qalaam-e-khagaz bhi ho gaye ab udaas jo RANI tune ker diya apna salaam-e-aakhir
|
|
|
Logged
|
|
|
|
aankhain
Guest
|
|
«Reply #147 on: October 06, 2007, 09:01:48 PM » |
|
bohat khoob=D>
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #148 on: October 07, 2007, 10:09:27 AM » |
|
nazuk hai yeh dil mera thokar na lagana mujhko nazaron mein apne basa ker na girana mujhko
meri saanson ki rawani hai sirf tujhse dil mein dharkan ki tarah tum b basana mujhko
saare-e-mehfil duswar ho jo baat kerna main samaj jaoongi nazron se batana mujhko
kadamse kadam milake jo safar hai teh kerna haath tham ke phir tanha na ker jaana mujhko
khushiyon bara aashiyana jo banaya hai milker ghamon ka aagan na de jaana mujhko
wada utna karo jitna nibha saktey ho sanam khuwab pura jo na ho wo na dikhana mujhko
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolAnjali
Guest
|
|
«Reply #149 on: October 09, 2007, 09:17:51 PM » |
|
cool girl - you write very well...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|