Dard itna hai k......

by CoolGirl on January 20, 2007, 08:52:48 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 12
ReplyPrint
Author  (Read 17887 times)
CoolGirl
Guest
«Reply #15 on: January 23, 2007, 08:07:36 AM »
Reply with quote
soghaten

Ya kali kali ratan
Tanhai ki soghatan

Daste han har pal hm ko
Judai ki barsatan

Teri pyari pyari batan
Wo pyari mulakatan

Tarpa rahe han hm ko
Teray pyar ki soghaten
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hume Mohaabat Ne Itna Dard Diya Dosto, by muneeb in Shayri-E-Dard
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
kayun itna be-dard Zamana hai!!!! by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 14 15 »
itna dard na do mujhe by saahill in Shayri-E-Dard
DARD HAI ITNA... by ajnabee 28 in Miscellaneous Shayri
CoolGirl
Guest
«Reply #16 on: January 24, 2007, 06:18:29 AM »
Reply with quote
Raat Ka Aalam Hai Tanhai Si CHai Hai
Bechain Hai Mera Dil Tumhari Yaad Jo Ayee Hai.
Woh Beetay Huway Pal Bhi Saath le Ayee Hai.
Jis Mein Basi Bas Tumhari Hi Bewafai Hai.
Raat Ka Aalam Hai Tanhai SI Chai hai.
Tumhari Yaad Jab Bhi Ayee Hai Humesha Gham Hi Layee Hai.
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #17 on: January 24, 2007, 09:16:42 AM »
Reply with quote
Hum pe bhi wo waqt aya tha,
Kisi ko aankhon me basaya tha.
rooh ki gehrayi tak
saanson mei basaya tha
apne jahan mein shamil kerke
usey humsafar banaya tha
meri chahat shuru bas ussi se thi
uske tamam naaz ko apnaya tha
her din her raat bas uske khayalon mein doobe
meine to apna chain o sukon gavaya tha
aaj ussi shaaks ne diya hai itna dard
jise ke dard-o-gham ko meine apnaya tha
aaj wohi bangaya hai bewafa
jaise wafa ki morat samjha tha
Usi ne lut liya mera jahaan,
Jise is dil ki dhadkan banaya tha.
hum pe bhi wo waqt aaya tha.....
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #18 on: January 24, 2007, 02:16:19 PM »
Reply with quote
Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya


Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya


Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya


Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya


Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya


Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya


Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya


Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya


Acha hua kay raaz khul hi gaya
Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya


Shab-o-roz chahat sila yeh hay shaiki
Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya
Logged
diajee
Guest
«Reply #19 on: January 25, 2007, 07:45:07 AM »
Reply with quote
hum dam se gay
hum dam ke liye
hum dam ki kisam
hum dam nah mila
mar hum se gaye
mar hum ke liye
mar hum ki kisam
mar ham nah mila
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #20 on: January 25, 2007, 08:12:18 AM »
Reply with quote
Socha tha ab na yaad karenge unhe magar;
Kuchh bhi na raha yaad, jab wo yaad aa gaye
socha tha mita denge tasweer unki dilse
magar woh to hamari rooh tak basgaye
her yaad unki dejaye zakham naye
aur palkon mein nami si chajaye
na chate hua bhi dil roh parta hai
mera rom rom tarap jaye
mehfil bhi ab tanhayi si lagti hai
unki bewafai ne aise sadme diye
kiya se kiya zindagi hogayi teri RANI
bas ab to maut hi aajaye...
Logged
paani
Guest
«Reply #21 on: January 25, 2007, 09:34:54 AM »
Reply with quote
Cool dard aapka hot hai.. nice
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #22 on: January 26, 2007, 07:35:42 AM »
Reply with quote
thnx everybody
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #23 on: January 27, 2007, 04:00:04 PM »
Reply with quote
kya hoga jab tum lut aaoge
laash paaoge meri mujhko na paaoge
mein to hongi tumare saamne
per mujhse baatein na ker paaoge
tumare aane ke intezar mein
mujhko tum jagta hi paaoge
tab hogi bejaan yeh muhabbat
na usse pyar tum ker paaoge
jab aankhein baand hongi meri
dekhna us mei nami hi paaoge
dum labon pe aahi gaya hai
per ab bhi tum na aaoge
behtar hoga mujhse mera haal na poochna
mera haal sunoge to tum bhi tarap jaoge
ab aur kya bayan kare RANI
mera haal-e-dil tum kabhi na samaj paaoge
kya hoga jab tum lut aaoge....
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #24 on: January 31, 2007, 05:48:48 AM »
Reply with quote
Bina dhadkan k dhadak raha hai dil
Bina saanso ke jiye jaa rahe hain
Pata hai nahi aayenge wo magar
phir bhi intezaar kiye ja rahe hain

Mohabbat ko humari badnaam kiya
yaha nahi sare-aam kiya
Kasme tod di tune saari aur hum
badnaam mohabbat ka vasta diye jaa rahe hain
Pata hai nahi aayenge wo magar
phir bhi intezaar kiye ja rahe hain

Dost chale gaye saare, na koi rishta rah gaya
Na hi sharaab me ab nasha rah gaya
Sakhi hai bas ab saath humare
Aur hum bas piye jaaa rahe hain
Bina dhadkan k dhadak raha hai dil
Bina saanso ke jiye jaa rahe hain

Jindagi humari toot gayi, moti bhigar gaye saare
sametne chahe humne bahut, magar aaye na haath humare
Aasuon ko moti samajhkar maala piroye jaa rahe hain
Thhak gaye hain baithhe baithhe magar
Intezaar kiye jaa rahe hain.....
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #25 on: January 31, 2007, 09:31:05 AM »
Reply with quote
Jahan tum nahi the,

wahan thi tanhai....



Baras rahe the aansoon har ek abr se,

nikal rahi thi aah har ek dhadkan se,

simat gayi thi saanse seene me jab..

Jahan sub-kuchh khatm thaa,

Ummeed wahan tumne thi jagaayee...



Be-intehaan na-ittefaakkiyon kaa aalam thaa,

Zehan ajeeb see kush-makush me thaa,

Guzree jaa rahi thie zindagi tezi se jab..

Jahan andheron me kho gaye the hum ,

Roshni wahan tumne thi dikhayee...
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #26 on: January 31, 2007, 09:31:47 AM »
Reply with quote
Jee To Chahta Hai Ke Main Usey Ek Khat Likhoon,
Magar Likhoon Kya Agar Main Usey Khat Likhoon?

Koi Batao Aaj Likhoon Ya Kal Likhoon
Koi Mulaqaat Likhoon Ya Koi Pal Likhoon
Mere Shikwe Likhoon Ya Uske Ehsaan Likhoon
Khudkushi Likhoon Ya Uske Qurbaan Likhoon
Rangeen Duniya Likhoon Ya Qabirstan Likhoon
Koi Chaal Likhoon Ya Khuda Ka Farmaan Likhoon

Likhoon Kya Agar Main Usey Khat Likhoon..... ?

Wo Waade Likhoon Ya Wo Kasme Likhoon
Wo Milne-Milaane Ki Rasmein Likhoon
Un Aankon Ke Wo Sulghte Tarz Likhon
Ya Is Dil-E-Bimaar Ke Wo Marz Likhoon
Tabassum Ke Wo Sholay-Sharare Likhoon
Ya Shararat Ke Wo Haseen Ishaare Likhoon

Likhoon Kya Agar Main Usey Khat Likhoon..... ?

Na Khatam Hone Wala Ek Intzaar Likhoon
Ya Naa-Kaam Umeedein Ka Ek Bazaar Likhoon
Daag-E-Dil Likhun Ya Gam-E-Judaai Likhoon
Usey Zindagi Likhun Ke Maut Aayi Likhoon
Uski Berukhi Ya Phir Be-Niaazi Likhoon
Ya Phir Khud Ko Sabr-Majaazi Likhoon

Likhoon Kaya Agar Main Usey Khat Likhoon..... ?

Kabhi Huyi Hi Nahi Jo Wo Baat Likhoon
Kati Hi Nahi Jo Sath Uske Wo Raat Likhoon
Uski Judaii Me Jo Guzri Wo Ghariyan Likhoon
Ya Namnaak Palkon Ki Kuch Ladiyaan Likhoon
Ghazal, Nazm, Qata, Sher, Rubaayi Likhoon
Ya Main Phir Usey Khuda Ki Khudaii Likhoon

Likhoon Kya Agar Main Usey Khat Likhoon..... ?
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #27 on: February 01, 2007, 08:50:38 AM »
Reply with quote
Ankho say nanhi bond chalki
Palko say uljgi or rukhsaroo pay aa gai
Rukhsaro nay poocha
Kahan say aei hai kidher ja rahi hai
Wwo boli dil say nikal k
Ffana honay ja rahi hoon
Sun k yay ankhain boliin
Pagli to maray pass to rah skti the
Kyon fana k rastay pay nikal pari?
Sun kay yay boli phir wo
Maray rehnay say tujhay chban hoti...
Maray hoaty hoay bhi koi mujhay daik na pata
Dil b takleef main rehta
Mera chaly jana he behtar hai
Main nahi jaon ge to jazboon ke kahi dastan dunia ko kon sunai ga?
Ttotay dil pay marham kon lagai ga?
Man ka bojh kon halka karay ga?
Toti sansoon ka tasalsul ko kon bahal karay ka?
Mujhay behnay do...
Ffana honay k liyay mujhay behnay do..
Kissi k hatoon say puch janay k liayay
Mmujhay behnay do...!!!
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #28 on: February 02, 2007, 06:01:30 AM »
Reply with quote
Mohabbat ki Humne kya yehi hamara Qasoor tha.....?
Jo Toot keh yuu choor huwa Dil Hamara......?

Usi ke liye to Thukkraiye Thi Humne Yeh Duniya,
Wohi to Tha is Jeewan Ka Sahara

Usi ke Naam Se Dharakta Hai,
Usi ki Yaad Mai Tadapta Hai,
Hai Mera Dil Bechara.............!

Is Hadh Tak Mohabbat Karte Hai hum Unhe,
Keh Apna Sab Kuch Unhi Per Hai Wara,

Woh Ban Gaya Meri Badkismati Ka Sabab,
Jise Samjha Tha Humne Apni Kismat Ka Sitara

Sochatha Saath Mil ke ladenge Har Tufan Se,
Magar Afsoos Rehgaye Akele Kashti Mai Hum,
Na to Hume Saathi Mila Aur Na Hee Kinara ...............!

Agar Usse Toot Kar Chahna Hee Mera Gunah Hai,
To kya Hoga kaffarah.................?

Ab kisi ki Joostojun Nahi Rahi Hamain,
Hum to Ussi ke Hogaye Jo Na Hosaka Hamara
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #29 on: February 03, 2007, 08:46:40 AM »
Reply with quote
Teray Pyar Ki Arzoo Thi Jo Mujhay Mil Na Saka
Dil Main Wo Phool Sajaya Jo Kabhi Khil Na Saka
Basi hai Ik Hi Moorat Meray Dil Main
Khoya Jo Usey Phir Wesa Koi Kabhi Mil Na Saka
Chupaya Hai Tujhay Pelkoon Main Khuab Ki Terhaan
Meri Ankhoon Ke Samander Ko Kinara Mil Na Saka
Dil Ke Raaste Main Koi Is Terhan Se Na Bhetke
Ke Doobta Hi Chala Gaya Koi Sahara Mil Na Saka
Teri Chahat Main Janey Kitni Door Nikal Gai Hoon Main
Per Meri Kismat, Ik Pal Ko Bhi To Meray Sath Chal Na Saka

Hai Ye Meri Dua Ke Sada Aabad Reho Tum
Milay Her Wo Sukh Tumhain Jo Mujhay Kabhi Mil Na Saka
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 12
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 01:21:33 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer