CoolGirl
Guest
|
«Reply #150 on: October 12, 2007, 07:30:49 AM » |
|
thnx anjali
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Roja
Guest
|
|
«Reply #151 on: October 12, 2007, 11:25:08 PM » |
|
kis tarah gham mein guzri meri raat na pooch inn honton mein dabi hui baat na pooch
jis raah pe sang chalne ki kasme khayi thi kaise ab churaya hai mujhse haath na pooch
kis tarha ujri hai mere sapno ki bhaggiya dilse nikli hui fariyad na pooch
apno se kya gila karon jab wohi apna na raha ajnabi se hogaye hain halaat na pooch
jis pyaar ki deep se hi roshan thi dilki mehfil sunsan hogayi kaise dilki kayenaat na pooch
bezuban dilki saada ab kaise likh payen RANI kis tarha sambhaley hai apne jazbaat na pooch Very Good Cool Girl... =D> =D>
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #152 on: October 18, 2007, 07:22:22 PM » |
|
ek paigham tha ek ilzam hai woh paigham kaise bataon yeh ilzam kaise uthaon woh paigham hai dil mein basa yeh ilzam hai mujhpe laga woh tha lut aane ka paigham yeh hai door jaane ka ilzam wada wafa woh ker na sake bewafa hum ban gaye her ugli yahan humpe hai uthi nighaein humari hai aaj jhuki kyun woh jhoota degaya paigham kyun sar uthaye hum unke ilzam per hai yeh b ek imtehan pyaar ka kabhi tou lut aaega woh mausam bahar ka
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #153 on: October 21, 2007, 08:30:45 AM » |
|
kuch purane lafzon ki yaad taaza hogayi aur kisi ki zindagi saaza hogayi
padke jinko pehle lutf aata tha aaj usse dekhne se saansein qaaza hogayi
hai kisi khone mein paare woh qalaam-o-khagaz aaj tou lagta hai jaise zindagi humse khafa hogayi
kya pyaar kiya humne aur kya se kya hogaya kis mod pe jaane kaisi humse khata hogayi
woh guftugo woh justujo sab rakh hue her zakhm ki ab tou dard hi daava hogayi
aankhon ko naam kerne se kya hoga RANI ke teri aankhon ki nami bhi ab khizaa hogayi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Roja
Guest
|
|
«Reply #154 on: October 23, 2007, 02:14:22 AM » |
|
kis tarah gham mein guzri meri raat na pooch inn honton mein dabi hui baat na pooch
jis raah pe sang chalne ki kasme khayi thi kaise ab churaya hai mujhse haath na pooch
kis tarha ujri hai mere sapno ki bhaggiya dilse nikli hui fariyad na pooch
apno se kya gila karon jab wohi apna na raha ajnabi se hogaye hain halaat na pooch
jis pyaar ki deep se hi roshan thi dilki mehfil sunsan hogayi kaise dilki kayenaat na pooch
bezuban dilki saada ab kaise likh payen RANI kis tarha sambhaley hai apne jazbaat na pooch Superb ....... All your creations are wonderful Cool girl... Mujhe to sab aapka creations acchi lagi... but yeh to sab se accha laga. Daad hazir hai Girl..... Keep Flowing.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #155 on: October 24, 2007, 06:42:56 AM » |
|
thnx roja ji thnx 4 appreciation thnx alot
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #156 on: October 28, 2007, 08:29:29 AM » |
|
jhoote naqabon ki hai yeh duniya kanto bhari dete hai yeh khushiyan
pehle tou haaske milte hai log baad mein aashqo ki baha dete hai yeh nadiyan
phoolon ko jo haathon mein sajate hain tou sang unke kanton ki chuba dete hai lehriyan
haathon mein haath leke jo chalte the kabhi ussi raah pe de jate hai yeh tanhaiyan
jiske pyaar mein yeh qalaam bhi deewani hui kaise likhe gi RANI yeh ruswaiyan
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #157 on: October 28, 2007, 08:30:10 AM » |
|
zindagi ker rahi hai zindagi ka matam bewafai ker rahi hai aashiqui ka matam
giron se kya gila jab apno ne hi dass liya dosti ker rahi hai dosti ka matam
ashqon mein kahin gum hua khushi ka saama khushiyan ker rahi hai naami ka matam
manzil ki janib jis raah pe chal rahe the raahein ker rahi hai mahyushi ka matam
khamosh hogaye sab phool hamare aangan ke khushboo ker rahi hai udaasi ka matam
lafzon ke moti jo khagaz pe bikher deti RANI ker rahi hai bebasi ka matam
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #158 on: October 29, 2007, 11:47:46 AM » |
|
ashq bhi rehemdili ki fariyaad karte hein pal pal yeh bhi tujhe yaad karte hain
kaise chup karaon inn aashqon ko mein aankhon mein rehke bhi yeh teri baat karte hain
kiya jaane tu inn anmol aashqon ki qeemat jo pyaar ko bhi mere hamesha laat dete hain
kuch tou socha hota aye dil pyaar kerne se pehle dekh ab woh tujhe pe sitam din raat karte hain
rehta tha intezar her pal chahat ki barish ka aaj yeh aankhein khud hi barsaat dete hain
chalne lagi yeh qalaam khud ba khud hamare sang kehne lagi ke RANI hum tumhara saath dete hain
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #159 on: November 09, 2007, 08:14:47 AM » |
|
kyun yeh duniya humse hai itni khafaa jaane kaisa humse katl-e-aam hua hai dejata hai her koi hume naya ilzaam jab jab bhi hamara naam hua hai
ajeeb nazron se dekhti hai her nazar dil yehi sochta hai hum jaayen kidaar her koi muh modke yun chala jata hai jab bhi kahin humara qayaam hua hai
dushman sajaan na koi humsayaa koi bhi nahi aaya nahi aaya dard ka khud ko hi pursa dedete hain yehi her subha her shaam hua hai
her pal ki hamari yehi kahani hai her pal ki hamari yehi bechaaini hai ab is dilko RANI ye kehke behla deti hai badnaam hi sahi hamara naam to huaa hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #160 on: November 09, 2007, 09:12:05 AM » |
|
ab jaane kaise guzregi zindagi jab qalaam likhna band karegi
jab yeh dil unse door hojayega jab yaad unki bahut aaye gi
kaise chalegi meri yeh saansein jab aawaz na unki sun paaongi
jab nahi rahega woh deewana pan jab khatam hogi hamari aashiqui
jab unko yeh sab pata chalega tou kaise woh yeh ruswayi saaegi
hai humari bhi kuch majbooriyan kaise mein unko yeh batlaongi
per mere her ehsas mein woh samil hai kacche daage ki door RANI kabhi na tootegi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #161 on: November 10, 2007, 04:39:05 PM » |
|
jaane kahan khogaye woh raste jaane kahan gayi woh zindagi
subha o shaam jiska deedar kerte the jaane kahan gayi woh bandagi
Jab haath me hai jaam e may Hontho pe kaise basi hai tishnagi
gher ko ab kaise lutte hum nahi chorti hume yeh aawargi
Koi bhi apna nahi hai jahan Mujhko kahan le aayi hai zindagi
kab khatam hoga yeh dard-e-ulfat kab RANI iss qalaam se phir likhegi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #162 on: November 12, 2007, 10:40:39 AM » |
|
bepannah chahaton ka kya ilzam diya hai jisse ki humne wafa ussi ne badnaam kiya hai
ulfat-e-nigha ki talaab mein kya paya humne zalim naghaon ne hume dard ka inaam diya hai
pehle deedar se hi jiske hogaye hum shedaayi ussi ne ishq ke panno ko tamaam kiya hai
yeh ronak dekhke mat socho ke koi aane wala hai uss bewafaa ne hi mere marne ka intezaam kiya hai
hum roye dil roya her cheez udaas hogayi ke RANI lafzon ne bhi roo rooke unka naam liya hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #163 on: November 13, 2007, 02:05:37 PM » |
|
dekh dekh raat guzarte hain chand tum aur main aashqon ko yun bahate hain chand tum aur main
dooriyan itni aagayi hai humare darmiyan ke aandheron mein doobe jaate hain chand tum aur main
kahan khogayi woh zindagi kahan bhuj gayi woh roshni pal pal beete lamhe yaad kerte hain chand tum aur main
deedar-e-tamanna mein her raat bas yunhi ek dojey bas dekhe jaate hain chand tum aur main
nikal ke sandok se kuch purane khagaz geet purane gungunate hain chand tum aur main
kise sunaye apni dastan kaise khule apni zuban bas lafzon mein RANI keh jate hain chand tum aur main
|
|
|
Logged
|
|
|
|
pushp24
Guest
|
|
«Reply #164 on: November 14, 2007, 02:31:08 PM » |
|
bepannah chahaton ka kya ilzam diya hai jisse ki humne wafa ussi ne badnaam kiya hai
ulfat-e-nigha ki talaab mein kya paya humne zalim naghaon ne hume dard ka inaam diya hai
pehle deedar se hi jiske hogaye hum shedaayi ussi ne ishq ke panno ko tamaam kiya hai
yeh ronak dekhke mat socho ke koi aane wala hai uss bewafaa ne hi mere marne ka intezaam kiya hai
hum roye dil roya her cheez udaas hogayi ke RANI lafzon ne bhi roo rooke unka naam liya hai too good "CoolGirl" ji... muhobbat jo kar li tumne to ilzaam khud_ba khud aayenge... sabse kar lo wafa, par sab ye badnaam karte jaayenge...
ye nigahen hi to karti hain muhobbat ki shuruaat... par ab ye ashk hain jo behte hi jaayenge...
ye rounk mehfilon me chalti rahegi ummr bhar... kuch apne hi inka intzaam karte jaayenge...
dil roye bhi kabhi to naam unka hi aayega har baar... par ye dil hi hain jo muhobbat har bar karte jaayenge...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|