Dard itna hai k......

by CoolGirl on January 20, 2007, 08:52:48 AM
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12]
ReplyPrint
Author  (Read 17792 times)
CoolGirl
Guest
«Reply #165 on: November 14, 2007, 06:22:41 PM »
Reply with quote
wah   kya baat hai dear bahut acha likha hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hume Mohaabat Ne Itna Dard Diya Dosto, by muneeb in Shayri-E-Dard
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
kayun itna be-dard Zamana hai!!!! by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 14 15 »
itna dard na do mujhe by saahill in Shayri-E-Dard
DARD HAI ITNA... by ajnabee 28 in Miscellaneous Shayri
CoolGirl
Guest
«Reply #166 on: November 14, 2007, 06:23:15 PM »
Reply with quote
teri aashiqui ka woh manzar nahi raha
ab mere dil mein tera woh basar nahi raha


tujhe apna banane ki jitni tamanna ki
tu ab mera woh humsafar nahi raha


tere aane se jo ronak-e-mehfil bhari thi
ronak to hai wohi per mera woh ghar nahi raha


kitni bar tujhe meine haal-e-dil sunaya
per tu kabhi bhi ba kabar nahi raha


khoye rehte jiske sapno mein hum raat din
ab inn aankhon mein woh dilbar nahi raha


ab iss qalaam ko chalake RANI kya kare
lafzon mein hamare woh aasar nahi raha
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #167 on: November 15, 2007, 09:01:33 AM »
Reply with quote
hum mash-hoor hai ladkhadane ke liye
dil hamara hazir hai gham uthane ke liye


kuch paake kuch khona yehi hamari takdeer hai
hum hi reh gaye hain thokar khane ke liye


sapno ki duniya hamare liye bani hi nahi hai
yeh aankhein hume di gayi hai aanso bahane ke liye


yeh rishte yeh naate bas alfaaz hai hamare liye
kadam kadam pe khare hain hume aazmane ke liye


pyaar shabd se jo pyaar kiya to woh bhi daga degayi
shayad hum bana hai nafrat ki aag mein jalne ke liye


khushiyan to hai hi nahi naseeb mein hamare
koi rasta hi nahi bana inne hum tak aane ke liye


yeh jazbat yeh ehsas kis cheez ka naam hai
RANI to hai bas gut gut ke mar jaane ke liye
Logged
pushp24
Guest
«Reply #168 on: November 16, 2007, 06:05:40 AM »
Reply with quote
Quote from: "CoolGirl"
hum mash-hoor hai ladkhadane ke liye
dil hamara hazir hai gham uthane ke liye


kuch paake kuch khona yehi hamari takdeer hai
hum hi reh gaye hain thokar khane ke liye


sapno ki duniya hamare liye bani hi nahi hai
yeh aankhein hume di gayi hai aanso bahane ke liye


yeh rishte yeh naate bas alfaaz hai hamare liye
kadam kadam pe khare hain hume aazmane ke liye


pyaar shabd se jo pyaar kiya to woh bhi daga degayi
shayad hum bana hai nafrat ki aag mein jalne ke liye


khushiyan to hai hi nahi naseeb mein hamare
koi rasta hi nahi bana inne hum tak aane ke liye


yeh jazbat yeh ehsas kis cheez ka naam hai
RANI to hai bas gut gut ke mar jaane ke liye

great again dear

jo ladkhdaye hum to mash_hoor ho gaye,
sabki aankhon ke jaise noor go gaye...

Jab bhi paya kuch humne to kuch khona pada,
kuch pane ke jaise ye dastoor ho gaye...

Ye rishte, ye naate hum jaante hain ab bhi,
par jo the dil ke kareeb wo door ho gaye...

Ab ye jajbaat nahin jaagte hain mere dil me bhi,
kab ka kho diya inhe, kab se ye door ho gaye...

Ye muhobbat cheez hi aisi hai jo deti hai baksheesh sabko,
kuch le gaye mehboob apne kuch thak ke choor ho gaye...
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #169 on: November 16, 2007, 07:07:01 AM »
Reply with quote
arey wah janab kya baat hai
bahut acha likh rahe ho
keep it up buddy
Logged
Rai
Guest
«Reply #170 on: December 03, 2007, 05:57:28 AM »
Reply with quote
gr8 yaar
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #171 on: December 14, 2008, 10:59:12 AM »
Reply with quote
hum mash-hoor hai ladkhadane ke liye
dil hamara hazir hai gham uthane ke liye


kuch paake kuch khona yehi hamari takdeer hai
hum hi reh gaye hain thokar khane ke liye


sapno ki duniya hamare liye bani hi nahi hai
yeh aankhein hume di gayi hai aanso bahane ke liye


yeh rishte yeh naate bas alfaaz hai hamare liye
kadam kadam pe khare hain hume aazmane ke liye


pyaar shabd se jo pyaar kiya to woh bhi daga degayi
shayad hum bana hai nafrat ki aag mein jalne ke liye


khushiyan to hai hi nahi naseeb mein hamare
koi rasta hi nahi bana inne hum tak aane ke liye


yeh jazbat yeh ehsas kis cheez ka naam hai
RANI to hai bas gut gut ke mar jaane ke liye

arey bahut ki kamaal kia hai aap ney
itney pyare andaaz meh dil-eh-haal kaha hai aap neh


DARD ITNA HAI KI ABB DARD KA GUM NAHI
KHUSHI ITNI KAM THI KI ABB KHUSHI KA MAN NAHI

DOH CHAAR PAL HI HUM KHUSHI MEHSOOS KAR PAYE
UNKEY PYAR MEH NA THA KOI DAM KOI
KHUSHI ITNI KAM THI KI ABB KHUSHI KA MANN NAHI
DARD ITNA HAI KI ABB DARD KA GUM NAHI



JASBIR SINGH
Logged
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:00:15 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer