Dard itna hai k......

by CoolGirl on January 20, 2007, 08:52:48 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 12
ReplyPrint
Author  (Read 17989 times)
CoolGirl
Guest
«Reply #45 on: April 17, 2007, 10:09:34 AM »
Reply with quote
thnx pooja jee n harsh jee
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hume Mohaabat Ne Itna Dard Diya Dosto, by muneeb in Shayri-E-Dard
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
kayun itna be-dard Zamana hai!!!! by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 14 15 »
itna dard na do mujhe by saahill in Shayri-E-Dard
DARD HAI ITNA... by ajnabee 28 in Miscellaneous Shayri
harashmahajan
Guest
«Reply #46 on: April 17, 2007, 02:44:36 PM »
Reply with quote
Shukriya pooja ji...
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #47 on: April 22, 2007, 07:01:28 AM »
Reply with quote
khayalon mein pehra
waqt bhi hai tehra

gumsum hai roshni
gham bhi hai gehra

phoolon ki shej mei
kante mil gaye

jane kin galiyon mein
hum kho gaye

chaaon mein bhi
chubti hai kiran

kismat mein ho to
hota hai milan

nahi tha woh jab
apna naseeb

to kyun rabba
leaaye unko kareeb
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #48 on: April 27, 2007, 08:01:14 AM »
Reply with quote
yaadon ki nagar mein tum chor gaye
kya dekhein hum hai sirf andhera

itni door tum chale gaye ke
nighaon pe chaya gaya hai andhera

sapno ki duniya b ab dasti hai
tanhayion ka her suo chaya andhera

kya gila kare ab tumse hum
matlab zindagi ka hamara hai andhera

gham ho chahe khushi koi farak nahi
shama ki roshni mein b hai sirf andhera

tasali hai hume kya ek bar pyar
ab koi gham nahi ke hua phir andhera...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #49 on: April 27, 2007, 12:44:55 PM »
Reply with quote
goodone Cool girl
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #50 on: April 27, 2007, 04:38:27 PM »
Reply with quote
thnx pooja jee
Logged
Tabrez khan
Guest
«Reply #51 on: April 27, 2007, 05:30:12 PM »
Reply with quote
Logo ne kaanton se zakham khaye hain,
Humne kaanton ko galey lagaya hain,
Log phoolon pey muskuratey hain,
Humne phoolon se zakham khaye hain
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #52 on: April 29, 2007, 06:58:12 PM »
Reply with quote
tanha tanha beete meri her raat
dil ki pyaas ab bhujaon kaise

naraz hai neend bhi ab
inn aankhon ko sulaon kaise

pyar mein to sab lutaya jata hai
ab naam aankhon ko jalkaon kaise

aas ki aas b ab toot chuki hai
shaam-e-tamanna jalaon kaise

sapno ke sheeshe b chur hue
inn tokron ko ab banao kaise

waqt bewaqt aati hai RANI ke paas
teri yaadon se ab daman choraon kaise...
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #53 on: April 29, 2007, 07:54:07 PM »
Reply with quote
suni suni meri zindagi
suni raahon pe pari

meine apni saari
khushiyan tujhko dedi

tum jate hue apne kadam na morna
kahin aankhon se barsaat hogayi?

tere ehsason se hi chale dharkan
warna ye saansein hai kabki toot gayi

pyar se pyar pe bhi pyar na raha
bewafayi ki chayi hai taasnagi

jate hue ye yaadein b lejate
mehfil mein b tanha kergayi
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #54 on: May 01, 2007, 06:15:06 PM »
Reply with quote
her pal badalti hai zindagi
tanhayi ka ye mausam nahi badalta

raat se din bhi hote hain
mere jeevan mein savera nahi hota

jala chuki hon un guzre lamhon ko
phir b dilse wo nishan nahi matta

jane kin raahon pe zindagi hai khoyi
phool bhi aankhon mein hai chubta

nazro mein saamati thi ye saari duniya
ab nazro ko sirf wo manzar hai dekhta

jeena nahi aashan marna bhi mushkil hua
ke RANI ki hathon mein woh aisa zehar degaya...
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #55 on: May 03, 2007, 11:18:29 AM »
Reply with quote
Dilme Hai Jo Dard Wo Dard Kaise Bataye
Haste Hue Ye Zakhm Kaise Dikhaye
 
Kehti Hai Ye Duniya Hame Khush Nasib
Magar Is Nasib Ki Dastan Kaise Bataye

maan hi maan hum rooye ja rahe hain
inn aankhon se aansou kaise jalkaye

phoolon se hi khaye hain humne zakhm
ab kanto se daman kaise churaye

her jazbe se khali hue hum
naaye rishte ab hum kaise banaye

na kehne ko kuch,na sunne ki tamaana
ab RANI tooti qalam se hum kya bataye
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #56 on: May 06, 2007, 11:51:10 AM »
Reply with quote
kunsi thi wo sadak jahan wo mile
meri zindagi bhi hai wahan khoyi

raaton ka aaram bhi lut gaya
aankhein jagti reh gayi

aankh hi na roohey ab to
maan mei bhi naami chagayi

kuste hai us lamhe ko hum
jab aankhon aankhon mein mulakat hui

na dil yun machalta na pyar hume hota
najane kiski nazar hume lagi

kisse kare shikwa kisse gila kare
wo KHUDA ne hi meri kismat hai likhi

na jeena hai aashan marna bhi namumkin
kitne baras aur RANI ye zehar peeagi....
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #57 on: May 08, 2007, 03:47:53 PM »
Reply with quote
her shaam shaam-e-gham hai
her raat hai zeharili

savera bhi kya hota hai
zindagi meri bangayi ek peheli

sang chalon mein iss duniya ke
per tanhayi hai meri saheli

waqt hai thera hua dekaie manzar wohi
jab tune thame thi meri hatheli

kaisa rukh moda waqt ne hur gaye hosh
ujjar gayi meri saari heryali

neend to pehle bhi khoyi thi chahat mein
to ab kaisa gham RANI jo aanso ki lag gayi rehali...
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #58 on: May 09, 2007, 02:13:43 PM »
Reply with quote
wo dopahar ki tapti GHAM,
jab hum chaon ko taras rahe the.

us waqt bhi tum chup-chap,
mere saye ke saath chal rahe the.

kuch boonde maathe se choo jaati,
kuchh boonde pallo se simet rahe the.

wo dopahar ki tapti GHAM,
jab nange pair jhulas rahe the.

tum paon ko sheetalta dene,
mehndi ke per se patti tod rahe the.

tum tab bhi mere saath the,
jab aasman se angaare baras rahe the.

wo dopahar ki tapti GHAM,
tum GHAM ko sharm se pani kar rahe the.

kaun saath chalta loo ke thapedon main,
tum deewangi ki nai kahani likh rahe the.

GHAM se gala tha sukhta,badan tha nichudta,
tum prem se apne mujhe bhigo rahe the.
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #59 on: May 10, 2007, 07:09:53 AM »
Reply with quote
kyun ja rahe ho tanha chorke
ye safar to abhi khatam nahi hua

kis tarha jeeyenge hum tere bina
kya ye tere khyalon mein shamil nahi hua

kehte the kabhi saath nahi chorenge
tera ye waada wafa nahi hua

kis qayar se pyar ker bhethi mein
jo aaj hua ehsas woh pehle kyun nahi hua

pathar ki raahon pe phoolon ki chadar dekhi
inn sapno ki qeemat ka andaza RANI ko nahi hua...
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 12
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 11:30:27 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer