Dard itna hai k......

by CoolGirl on January 20, 2007, 08:52:48 AM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 12
ReplyPrint
Author  (Read 17811 times)
CoolGirl
Guest
«Reply #60 on: May 10, 2007, 02:03:24 PM »
Reply with quote
kyun milta hai intezar in raahon pe
kyun hota hai kisi se pyaar in raahon pe

ye raah baaki raahon jaisi kyun nahin
kyun door talak hai tanhayi in raahon pe

hoga naseeb aacha to raah hogi aasahan
kyun chalta hai kismat ka sikka in raahon pe

ger miljaye koi apna to sang chale do kadam
kyun milke bacharte hain apne in raahon pe

hey KHUDA tune ye dil hi kyun banaya
dil baane ke choor diya isse ishq ki raahon pe....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hume Mohaabat Ne Itna Dard Diya Dosto, by muneeb in Shayri-E-Dard
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
kayun itna be-dard Zamana hai!!!! by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 14 15 »
itna dard na do mujhe by saahill in Shayri-E-Dard
DARD HAI ITNA... by ajnabee 28 in Miscellaneous Shayri
CoolGirl
Guest
«Reply #61 on: May 13, 2007, 06:42:43 AM »
Reply with quote
kuch bhi nahi kah sake tere dar p aa k
gham ki dawa kya maange hum tere dar p aa k

tune to ye naseeb likhker hume dedi saaza
ab aur kya paaye hum tere dar p aa k

chote se dil ki wo choti choti aashaein
aaj wo thoot gayi tere dar p aa k

deke khushi tu kyun cheen leta hai
jo kerte hain tujhe yaad tere dar p aa k

ab zindagi jeena hua baut mushkil
maut hi mangte hain tere dar p aa k

dede ab tu yehi khushi hume ke
maarna ho naseeb tere dar p aa k....
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #62 on: May 17, 2007, 07:48:28 AM »
Reply with quote
dil kii gali mein armaano ka basera hai
das le jo zindagi kismat merii woh sapera hai
 
jee rahi hun main uskii nafrat mein ab tak to
merii is andheri raat ka kahan ab savera hai

gham ka saaya chale saath mere
ye waqt najane kyun thera thera hai

jis kalam se likha tha unka naam
wo kalam ab bejaan sa paara hai

kyun chal paare the us raah pe ye kadaam
jis raah pe sirf kanto ka dhera hai

jaagi jaagi tamaanna kab ki soo chuki hai
per inn aankhon mein thoote saapno ka chura hai

jaane kab khatam hogi ye zehrili zindagi
ye dil RANI jeevan se haara hai...
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #63 on: May 17, 2007, 07:55:35 AM »
Reply with quote
Aaj Mujhe Bhulne Ke Baad Jab Woh Mere Khat Tune Jalaye Honge,
Fizaon Me Aaj Bhi Woh Beete Palon Ke Saaye Mehak Aaye Honge ..

Bitaye The Na Jane Kitne Be-hisab Lamhe Sath Sath,
Unke Tasavvur Ne Tere Hosh Ek Baar Phir Se To Udaye Honge ..

Yaad Aaya Hoga Tujhe Bhi Woh Mera Teri Baahon Me Simatna,
Meri Chahat Ke Jaam Aaj Bhi Teri Nazron Se Chalak Aaye Honge ..

Dekha Hoga Jab Chand Ko Baadlon Ke Sang Chipte Huye,
Meri Pyar Ki Baaton Se Tere Lab Mushkuraye Honge ..

Hai Yahi To Pyar Ki Taseer Ka Jadu,Ish Tehri SI Fiza Me,
Dhua Hote Vo Pal Kisi Paavan Khusbu Se Mehak Aaye Honge ..

Tune Aaj Jab Woh Mere Likhe Khat Jalaye Honge,
Tere Dil Par Bhi Kuch Der To Dard Ke Saye Honge ..
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #64 on: May 19, 2007, 10:09:55 AM »
Reply with quote
Phool shabnum me doob jate hain,
Zakham marham me doob jate hain

Jub koi tanhai humein gher leti hai
Hum tare ghum main doob jate hain

tujh ko bhool ke b bhula nahi paate
band aankhon main b tere khayalon mein doob jate hain

sapno ki nagri ka jo haal hua hai phir b
toote sapno ki khamoshi mein doob jate hain

tere naam likhte hain roz hum paigham
unne parh ke hum madhoshi mein doob jate hain

tujhko hum bewafa b na keh saake
dil mein baasi teri tasveer mein doob jate hain

ab to ye haal hua hai RANI ka ke
labon ki muskan banane mein doob jate hain
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #65 on: May 24, 2007, 07:14:03 AM »
Reply with quote
jaane kunsi hai ye raat
jo chand mujhe nahi dekhta

aandhera sa kyun hai chaya
dum mera kyun hai gutta

kya meine kuch kho diya hai
dil mujhse yehi sawal hai poochta

kyun aankhon mein naami hai rehgayi
kya hai jo aankhon mein hai chubta

ye kaisi chot hai meine khayai
jo nishan mujhe kahin nahi milta

kyun aisi saaza hai mujhe mil rahi
kaisi ker di hai meine khata

koi to mujhe ye batla de
wo kahan kho gaya jo mera apna tha

pyar ke badle to milta hai sirf pyar
to kyun mujhe tanhayi mila hai thofa

hath thamne wale ne aise chora hath
ke ab to mujhe kuch nahi hai soojta

neend to pehle b udd gayi thi RANI
tab hua tha pyar aaj mila hai uska sila
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #66 on: May 26, 2007, 02:36:48 PM »
Reply with quote
faqat unne bhoolney ke liye
baut dhoondta hai bahaney dil

door rehke b wo paas hai mere
kuch kerke b na kuch ker paaye dil

ajeeb kashmakash zindagi khari hai
dhardkan ke bina kaise chal paaye dil

baat be baat haste rehna yunhi waqt bitana
duniya ko dekhaney k liye khush rahe dil

jeevan bhar ki ab yehi hai kamae
judae mein hi apne din kaate dil

beete pal ki yaadein leaati hai haasi
per aaj ke halat mein tanha hi hai dil

zakhmo ki gehrae mein doobte ja rahe hain
kab khatam hogi ye mehfil-e-tanhae dil
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #67 on: May 26, 2007, 02:37:10 PM »
Reply with quote
wafa unko raaz na aaye to hum wafa kyun karein
wo to dil thodna hi chahe to hum milne ki chaah kyun karein

pal pal dil unne deta hai saadain
wo suni ko unsuni kerde to hum izhar-e-waafa kyun karein

unke hi khayalon mein khoye rahe raat din
deedar milna ho na naseeb to aisi dua kyun karein

dhadkan bana baithe hum unko apni
bin bole wo samaj na paaye to hum apna haal beyan kyun karein

ab zindagi bhar unki yaadein hum tarpaaye gi
behtar hai RANI unne bhool jaaye hum zakhm aur gehra kyun karein
Logged
luvfruit
Guest
«Reply #68 on: May 30, 2007, 08:09:33 AM »
Reply with quote
thats nice.....
i would also like to say something.......
to love and win is the best thing.....
to love and loose.....the next best.....
love is when u look into someones eyes and see everything u need.....
the virtue of true love is not finding the perfect person,but loving the imperfect person perfectly......
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #69 on: May 30, 2007, 02:19:19 PM »
Reply with quote
hmmm ur rite
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #70 on: May 30, 2007, 02:19:46 PM »
Reply with quote
Ajeeb lgti hai shaam kabhi kabhi
ZiNdagi lgti hai bejaaN kbhi kbhi
 
Samjh Aaye to hame bhi bataNa ki
kyouN karti haiN yaadeiN paresaaN kabhi kabhi

jeena chahte hain hum her lamhe ko
per her pal jati hai jaan kabhi kabhi

jaane kaise zakhm humne khaye hain
ke ubar aate hain nishaan kabhi kabhi

haasi khojati hai naami aajati
jab apne jahan ko paaon veeran kabhi kabhi

suni suni mujhe her raat laage
jeevan mujhe laage saamsaan kabhi kabhi

her shaa hai gher pe phir b jaane kyun
jaise ab bhi kuch kaam hai saaman kabhi kabhi
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #71 on: June 02, 2007, 09:27:17 AM »
Reply with quote
Khushiyonse Naraz Hai Ye Zindagi
Pyar Ki Mohtaj Hai Ye Zindagi

Has Lete Hai Logoko Dikhane Ke Liye
Warna Dard Ki Kitab Hai Ye Zindagi

yaadon ki gumnaam raah main
ajnabi si hai ye zindagi

apni pechaan bhi kho chuke hain
ab to parayi lagti hai ye zindagi

her sawal ka jawab dena baut tha aasaan
aaj khud ek sawal bangayi hai ye zindagi

aitabaar unke vaado ka hum kyun ker baithe
bilak bilak ke roo rahi hai ye zindagi

her raat ke baad savera hota zaroor hai
per apni to aandhero mein hi daas gayi hai ye zindagi
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #72 on: June 06, 2007, 09:56:20 AM »
Reply with quote
jaane waale leja tu apni ye yaadein
mujhko kyun tarpaaye teri ye yaadein

tu jo nahi to inn yaadon ka kya karon
tere bin jeena chahon to pal pal kyun maron
mein to bhulna chahon teri her wo baatein
jaane waale leja tu apni ye yaadein

sapno ka aagan mein kyun jalaon
inn aankhon se naami kyun jalkaon
bhuja diye meine wo pyaar ki shaammein
jaane waale leja tu apni ye yaadein

teri bewafayi ka daag kyun uttaon
duniya ki baaton ko dil pe kyun lagaon
khushi aur gham to zindagi ke hain khazanein
jaane waale leja tu apni ye yaadein

apni waafa ka gilla kyun karon
tu tha kab mera jo tujhse kahon
ab RANI ne sikh liya hai akele zindagi jeene
jaane waale leja tu apni ye yaadein.....
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #73 on: June 10, 2007, 02:29:55 PM »
Reply with quote
Thak Ke Choor Choor Hai Hum Apni Zindagi Se
Dekho Kitne Majboor Hai Hum Apni Zindagi Se

Roz Bulawa Bhejte Hai Maut Ko Aaneka
Kehti Hai Dar Lagta Hai Mujhe Teri Zindagi Se

kya se kya tum kerke chale gaaye ke
pechaan kho baithe hai hum apni zindagi se

tere aane se pehle viraan thi ye zindagi
ab to tum zindagi hi legaaye meri zindagi se

besukooni chaayi hai her sou yahan
chain kahan milta hai ab zindagi se

ye zindagi mujhse lelo chahe kuch b dedo
per RANI milega kya badle mein iss zindagi se....
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #74 on: June 10, 2007, 04:59:19 PM »
Reply with quote
Rani

Bahut khoob !

Very nice !
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 12
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:58:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer