CoolGirl
Guest
|
«Reply #75 on: June 10, 2007, 07:14:20 PM » |
|
thnx rajbir
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #76 on: June 11, 2007, 01:49:43 PM » |
|
Ajeeb Rang Ka Mausam Chala Hai Kuch Din Se Nazar Pe Bojh Hai Aur Dil Khafa Hai Kuch Din Se
Wo Aur Tha Jise Tu Janta Tha Barson Se Main Aur Hoon Jise Tu Mil Raha Hai Kuch Din Se
khud ko dekhna bhi na chahe ye dil aaine se dar lag raha hai kuch din se
maan hai agar barish dekhne ka to aao bin mausam aankhon se paani baras raha hai kuch din se
bikar chuki hai zindagi bikar gaye hain sapne jaane ab kya ye dil dhoond raha hai kuch din se
kis tarha suljaon ulji hui zindagi laage aisa RANI ke haath se sab choot raha hai kuch din se....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rajbir
Guest
|
|
«Reply #77 on: June 11, 2007, 08:52:51 PM » |
|
Rani What a beauty =D> Bahut he ache ! ....Kuch Din Se Keep going :arrow:
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #78 on: June 11, 2007, 08:55:55 PM » |
|
wah wah wah!!!
CoolGirl ji bahoot hi achi thread hai.. ajj apke is thread ki ek ek poem padi hai.. too good.....
bahoot hi dil se dard ko bayan kiya hai apne... ek se bad kar ek rachna ko piroya hai apne is thread....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #79 on: June 12, 2007, 07:25:33 AM » |
|
thnx pooja ji n rajbir
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #80 on: June 12, 2007, 11:05:53 AM » |
|
Mere dil mein teri yaadon ke saaye hawa jaise khandar mein sarsaraye
Hum hi ne sabke gam ko apna jana hum hi ne sabke haathon se zehar khaye
Dil-e-betaab ki usat to dekho zamane bhar ke isme gam samaye
Kisi ne pyaar se jab bhi pukara to palkon pe sitare jhilmilaye Shab-e-furqat har ek aahat pe mujhko yehi dhoka hua shayad woh aaye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rajbir
Guest
|
|
«Reply #81 on: June 12, 2007, 12:25:46 PM » |
|
Rani
Nice sharing !
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #82 on: June 14, 2007, 07:00:46 PM » |
|
Kin lafzon mein itni kadvi kasili baat likhoon Main sach likoon ke apne haalat likhoon
Kaise likhoon main chandni raatein Jab garam ho ret to kaise main barsat likhoon
raaz ye dil ke ab chupake kya karun jo zahir hai aankhon se kya woh fariyad likhoon
sapno ka jo sheesha tootaa hai kya uske bhekre her zerrat likhoon
kaise badle hai meri zindagi tha pehle jo savera woh,ya ab kyun hai raat likhoon
duniya waale bhi gham mein saath chor jaate hain ab akele hi hain RANI ke haath likhoon
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #83 on: June 15, 2007, 07:57:55 AM » |
|
woh aise jhoom rahe the sajh dhajkar mayyat me meri jaise barso se tha unhe intezar jashn manane ka
unke dil me chhupi woh bekharari to dekho poochhte hain sabse k kya waqt nahi hua inhe dafnane ka
roo roo ke aankhein meri thak chuki thi aur aaj bhi unka iraada hai mujhe rulane ka
tha jise besabri se issi pal ka intezar maan hi maan main haas ke maana rahe hain gham mere maarne ka
zindagi ka daman to ghamon se bhar diya na mila sukoon unne phool dalna to bahana hai mera gham barane ka
zindagi to jaise ek sapna banke mili thi uss bewafa ne RANI mauka hi na diya mujhe zindagi beetane ka
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #84 on: June 16, 2007, 10:14:38 AM » |
|
muktasar kerde tu maula meri zindagi kaise jeeyon main ye adhori zindagi
jeevan saanson ki mautaj hoti hai woh hi tha meri saanson se juri zindagi
palkon main nami hai bikhri bikhri kaise suljaon main yeh bikhri zindagi
jeene ki tamanna ab mar chuki hai maut ke intezar main hai khaari zindagi
gham ka saaya peecha chorta nahin ab maula katam ker meri zindagi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #85 on: June 17, 2007, 07:48:03 AM » |
|
wo dil ka bura na bewafa tha bus mujhse yunhi bhichar gaya tha
kal shab woh mila tha doston ko kehtay hain udaas lagh raha tha
kismat ka hi yeh sab dosh hai pehle milaya phir juda kerdiya tha
woh jab bhi mujhse milta bhuja bhujasa lagta shayad kisii uljaan main phass gaya tha
ab us se kyun ker gilla karon main iss ishq ne usse bhi ruswa kiya tha
dooriyon se kabhi pyaar mitta nahin usne hi to RANI pyaar kerna sikhaya tha
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #86 on: June 18, 2007, 07:55:45 AM » |
|
Ek modd aisa aaya zindagi ke rah mein, Apni nazron mein bann gaya mai sawal.
Payi khamoshi ki zuban iss zamane mein, Tanhaieyon ke shor se ho kar behaal.
Piss gaye apni wafa aur unki bewafie mein, Ek thokar aisi khayi ki bhul gaye apni chaal.
Yun khaak huie hum bewafie ke sholon mein, Kafan ki abb zarurat nahi ke kafi hai ek rumal.
Deykh li teri duniya aye bananey waley... Bula kar paas apne kar de rehmat-e-kamal.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #87 on: June 18, 2007, 07:47:20 PM » |
|
ab kahan wo baazme sukoon ab kahan wo shenaayi
de hai jo tune shugahat ho tujh ko bhadaayi
aansoon ki ye lehri umar bhar ki hai kamaayi
tumne to dediya pyaar ka sila tabhi to her soo hai tanhayi
milna bicharna dastoor jahan ka per achi nahin lagti judaayi
parega jeene hai saansein jab tak RANI tum manglo marne ki jitni duaayi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #88 on: June 19, 2007, 09:37:37 AM » |
|
Yoon hum ko sataane ki zaroorat kya thi, Dil mera jalaane ki zaroorat kya thi.
Jo nahi tha ishq to keh diya hota, Dil toor ke jaane ki zaroorat kya thi.
Maloom tha gar yeh khwaab toot jayenge, Neend mein aa kar uthaane ki zaroorat kya thi.
Ishq par lagti rahegi har daur mein paabandi, Ashiq ko majboor banaane ki zaroorat kya thi.
Maan loo gar yeh yak tarfa mohabbat thi, Mujh ko dekh kar muskuraane ki zaroorat kya thi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #89 on: June 20, 2007, 02:07:45 PM » |
|
almari se uske khat puraane nikal aaye phir shayad mere gham baraane nikal aaye
aaj lagaa aisa ke wo yaad aagaya tabhi aankhon se aanson ke khazaane nikal aaye
usey bhulne main barso lagaa diye humne phir hume dasne wo zaamaane nikal aaye
pyaar se sicha tha jin phoolon ko humne un mein bhi kante hume chubne nikal aaye
door baaga parti thi her gham se mein ghamon ke badal hi mere saraane nikal aaye
daar rehta hai hamesha mujhe RANI ke kis gher se teri yaad jaane nikal aaye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|