Dard itna hai k......

by CoolGirl on January 20, 2007, 08:52:48 AM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 12
ReplyPrint
Author  (Read 17814 times)
CoolGirl
Guest
«Reply #90 on: June 21, 2007, 11:44:59 AM »
Reply with quote
na lafz hai na likhne ki saahadaat
wo qalam hai tooti jabse likhi hai muhabbaat

jitni aamer hon mein utna koi nahin
hai mere paas ghamon ki dualaat

bina bole hi wo dil mein bas gaaye the
aur dilke thokre bhi kiye bager ijazaat

hamare pyaar ne itne dard diye hain ke
aaj koi nahin paas jo kare humari himayaat

humne to thokar hai khaayi jab kiya humne aisa
ke pyaar se kerte hain dilon pe hukumaat

us khuda se bhi kya gila kare RANI
tune to kabhi nahin ki uski ibadaat
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hume Mohaabat Ne Itna Dard Diya Dosto, by muneeb in Shayri-E-Dard
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
kayun itna be-dard Zamana hai!!!! by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 14 15 »
itna dard na do mujhe by saahill in Shayri-E-Dard
DARD HAI ITNA... by ajnabee 28 in Miscellaneous Shayri
CoolGirl
Guest
«Reply #91 on: June 29, 2007, 07:40:03 AM »
Reply with quote
Humne tumse mohabbat ki
To kya gazab ho gaya
Tumne bhi to ki hai mohabbat
Bas tumhe kisi aur se ho gaya

Humaare baagoan mein phool naa ug sake
Iski koi shikayat nahi hume
Lekin uska veeran
Kisi aur ke phoolon se baag ho gaya

Duhman to nahi the hum
Magar dost bhi naa ban sake
Magar is inkaar se
Judaai ka aaghaaz ho gaya

Lamha Lamha mein jiska
Intazaar kiya karti thi
Woh kisi aur ka hoke, Humse
Hamesha ke liye judaa ho gaya

Apni manzil ki raah par
Usne kya meri pyaas bujha di
Mein pagli samajh baithi ke
Usko mujhse pyaar ho gaya

Lekin woh tehraa tha nadi
Ye bhool gayi thi mein
Aage chal kar woh
Samandar ka ho gaya

Har pal jiske naam ke diye
Is dil mein jalaa karte the
Woh kisi aur ka deepak banke
Is dil mein andhera kar gaya
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #92 on: July 04, 2007, 11:50:39 AM »
Reply with quote
dard ko sehne ki adaat hogayi hai
aankhon ko begone ki adaat hogayi hai

palkon ko ab koi chubne laaga hai
sapno ko tootne ki aadat hogayi hai

mordo ki tarha jeeye jaa rahen hain
kadam kadam pe choot khaane ki aadat hogayi hai

rishta jo bhi banaya woh haath se chuut gaya
haathon ko khali rehne ki aadat hogayi hai

zindagi ke safar mein hain hum tanha tanha
ab hume akele chalne ki aadat hogayi hai

kabhi jo peeya kerte the unki aankhon se RANI
tabhi to peene ki aadat hogayi hai
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #93 on: July 05, 2007, 08:10:38 AM »
Reply with quote
dil se roe magar hothon se muskura baithe
yun he hum kisi se wafa nibha baithe

woh hame ek lamha na de paye
jinke liye hum apni zindagi gawa baithe

jin aankhon mein sapne naaye sajaye the
aaj usse paani se baaha baithe

na kabhi jis chahat ko bhujne diya humne
ussi se apni duniya jaala baithe

kya khabar thi ke her koi apna nahi yahan
aur ek hum the jo her kisi ko apna baithe

ab ehsas kerke kya hoga kuch haasil?
tum to khud RANI gham ka rog laga baithe
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #94 on: July 05, 2007, 01:19:52 PM »
Reply with quote
KADAM YUHI DAG-MAGAA GAYA RAASTE SE
WARNA SAMBHALNA HUM BHI JAANTE THE

THOKKHAR BHI LAGI TOH US PATTHAR SE
JISE HUM APNA JAHAAN MAANTE THE

HOTI PEHLE KHABAR TOH NA TAKTE YE RAAH
JIS RAAH KO HUM APNI MANZIL MAANTE THE

AAJ AANKHON MAIN DE HAI NAAMI USNE
JIS SHAAKS KO HUM HASNA SIKHATE THE

HEY DIL AB TU HI BATA KIS TARHA HOGA GUZARA
US BEWAFA KO TOH HUM DHADKAN MAANTE THE

NA LIKHI JAAYE GI AB YE PURDARD KAHANI
JIS QALAAM SE RANI CHAHAT KA NAGMA LIKHTE THE
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #95 on: July 08, 2007, 07:14:27 AM »
Reply with quote
Mohabbat ko hamarai tum ehsaan samajhte ho
Meri waafai ko sare aam badnam karte ho

Kehte ho hum ko ke tum se pyaar karte hai
lekin bhari mehfil mein mujhe apne kehne se darte ho

ye kaisa pyaar hai tumara hum samaj nahi paate
ke saath chal rahe hain phir b haath mera thokrate ho

dikhawe ke pyaar se hota nahi kuch haasil
ager pyaar hai hi nahi to pyaar kyun jatate ho

arre pyaar ka ehsas to dilse hota hai
magar tum to mera dil jalate ho

aise pyaar ka hume kya kerna hai RANI
ke duniya ke der se apna pyaar chupate ho
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #96 on: July 08, 2007, 07:15:00 AM »
Reply with quote
Mohabbat karne ka aaj tumne jo inaam diya hai
Us inaam ne mere dil pe marham ka kaam kiya hai

Socha tha ke sab dard bhul jayungi tere sang magar
kya pata tha ke ek aur dard meine apne naam kiya hai

jis pe apna sab kuch luta diya humne
aaj ussi ne sare aam mere pyaar ko badnaam kiya hai

jisne iss dil ko pyaar kerna sikhaya hai
ussi ne pyaar ko door kerke ye kaisa karaam kiya hai

ab bhi ungliyon se unka naam likhte hain
jaane iss dil main bacha paigham kiya hai

ab to kuch khone ko bacha nahi humare pass
aaj RANI ne apne pyaar ka mataam kiya hai
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #97 on: July 08, 2007, 08:03:26 AM »
Reply with quote
Ab aur kya kahoon ae yaara tujhko
Tune bhi aaj kar diya parayaa mujhko

Tu nahi sath mere to kuch bhi nahi hai
Paraya lagta hai khud ka bhi saya mujhko

Tumhare dil ki khwahish puri ho gai shayad
Aaaj tumne jee bhar rulaya mujhko

tumne jo mere paigham nahi jalaye
balke aaj tumne jalaya mujhko

pyaar koi khel nahi jo khel ke choor diya
khud to tumne aisa kya per kyun samjhaya mujhko

Ab jee kar kya karen is duniya main RANI
Ab jahan sae utha le ya khudaya mujhko..
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #98 on: July 09, 2007, 09:54:45 AM »
Reply with quote
na chino tum mere dil ka qarar
na khelo tum mere dilse yaar
tum kya jaano hota hai kya pyaar
tumne toh bas kya hai mujh pe vaar


kya tha jitna yakeen tumne thoor diya
tumne bhi mujhse muh moor liya
sapno ko mere tumne chuur kiya
aisa bhi meine kya kasoor kiya


nahi tha pyaar to keh dete
hum tera woh gham bhi seh lete
ek tarfa pyaar mein hi jee lete
tujh se kabhi koi shikwa na kerte


ab pyaar ki fiza na kabhi chale gi
na kisi ki yaad ki hichkiyan hume satae gi
na koi pyaar ki kahani ye qalaam likhe gi
na ab kisi ko RANI apne dil mein basae gi
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #99 on: July 11, 2007, 07:37:05 AM »
Reply with quote
jaate jaate na palat ke dekha
dil se aayi yehi sada phir kab aayo ge
thaam gaya jo barsaat ka paani
aankhon ke baraste paani ne kaha phir kab aayo ge


haath se haath jo choot gaaye
sapno ke gher jo thoot gaaye
khaali haathon ne ki ye duaa phir kab aayo ge


mile the jahan wahin bichre
thoot gaaye ab sab silsile
jaati her raahon ne poocha phir kab aayo ge


pyaar ke phool jo khile the
phatte bhi muskuraye the
ab girre phatton ne pukara phir kab aayo ge


ab kya kahen hum sabse
thoota hai dil ye kabse
shaama ne bhuj ke RANI se kaha phir kab aayo ge
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #100 on: July 11, 2007, 09:56:33 AM »
Reply with quote
dil ki thanai se aksar mulakat hoti hai
jab teri khamoshi sath hoti hai

fer se tu aa jaye kahien se ik baar
bus meri roz khuda se yehi ik fariyaad hoti hai

apna gham chupa ke muskura dete hain
mehfil mein jab kabhi teri baat hoti hai

roshni se jaise ek dar sa lagne laga hai
ab to jeevan mein her soo gham ki raat hoti hai

dil mein jaane kaisi umeed hai jagti
jab kabhi kareeb teri yaad hoti hai

mujko rulana hi tu kahin se aaja
ab RANI kahan inn aankhon se barsaat hoti hai
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #101 on: July 15, 2007, 09:09:21 AM »
Reply with quote
raat ki khamoshi mein kuch gungunaa lete hain
dard ko lafzon mein dhal ker nagma bana lete hain


aashq to aankhon se yunhi nahi beeta hai
hawa ke aanchal se usko dil mein utar lete hain


tanhaayi ki roshni hai itni mashoor
ke hum saare diye bhuja lete hain


ban baithe the unke pyaar mein itne deewane
ke ab baat pe baat muskura lete hain


poochta hai jab koi waaja iss dard ki
to ret mein tera naam likh likh ke mita lete hain


ki jisne bewaafayi woh to hochuke kisi aur ke
aur bewaafayi ka mod RANI pe laga lete hain
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #102 on: July 20, 2007, 11:18:51 AM »
Reply with quote
Iss raat ki tanhai se
iss dard ki gehrai se
ye dil kuch baat kar raha hai
zara samjo in fizaon ki chubhan ko
aaj fir tumhe koi yaad kar raha hai


zuban to hai khamosh
per ye dil ho raha hai madhosh
lage aisa ke tumse mulakat kar raha hai
zara samjo in fizaon ki chubhan ko
aaj fir tumhe koi yaad kar raha hai


aansoun ne bhi ye kaha
kya hogaye hum judaa
ro ro yehi fariyaad kar raha hai
zara samjo in fizaon ki chubhan ko
aaj fir tumhe koi yaad kar raha hai


dasne laga raat ka saama
na jal paaye ab koi shaama
tujh pe koi jaan nisar din raat kar raha hai
zara samjo inn fizaon ki chubhan ko
aaj fir tumhe koi yaad kar raha hai
aaj fir tumhe koi yaad kar raha hai
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #103 on: July 21, 2007, 10:17:07 AM »
Reply with quote
ek bewafa se pyaar kerne ki saaza ye paayi hai
hum ne toh tanha hi apni zindagi bitaayi hai


nazrein unne dhoondti thi jab her garri
woh aate the nazar hume her kahin
aaj jahan bhi hum dekhte hain,her jaga bas tanhaayi hai
hum ne toh tanha hi apni zindagi bitaayi hai


aansoon mein hum apna dard chupa rahe hain
dil ko her tarha se hum maana rahe hain
her khushi hai door ab,gham ka khazaana umar bhar ki kamaayi hai
hum ne toh tanha hi apni zindagi bitaayi hai


woh to meri waafa ko kabhi samaj na paaye
hum toh unne apne dil mein the basaye
sheeshe ki tarha dil bikar gaya,aur unke pyaar mein apni jaan gavayi hai
hum ne toh tanha hi apni zindagi bitaayi hai
Logged
juleeus
Guest
«Reply #104 on: July 21, 2007, 12:16:47 PM »
Reply with quote
Yehi ishq hai, dil mein suiyan chuvoti hai dard
beraham, us ke liye tadapta hai dil, per use na hota hai dard
muskura kar auro ke samne tu chupa leti hogi dard
per ankhein rokte huye bhi nam ho jati hai, nahi rukta dard
juban khamosh duniya ke samne seh lete ho dard
ya khuda !, kya duja naam hai ishq ka......? dard
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 12
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:18:39 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 1.638 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer