Dekhte hai hum....

by thycreator on June 10, 2007, 06:58:42 AM
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Author  (Read 3434 times)
Pooja
Guest
«Reply #30 on: June 20, 2007, 02:37:01 PM »
Reply with quote
Dil ne kab kah akiski maani hai
Iski apni hi alag ek kahani hai
Ho jaate hai begaane ka khud hi yah
Thokar kahne ke baad bhi karta yah man-maani hai!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #31 on: June 21, 2007, 04:23:45 PM »
Reply with quote
very nice all of u..Rajbir ji aap bhi...kya baat hai
Logged
thycreator
Guest
«Reply #32 on: June 23, 2007, 10:10:29 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
Dil ne kab kah akiski maani hai
Iski apni hi alag ek kahani hai
Ho jaate hai begaane ka khud hi yah
Thokar kahne ke baad bhi karta yah man-maani hai!!


sahi hai........

Dil pe kaaboo hota toh ye khata hi kyu karte,
Ek bewafa hi ke dar pe kyu hum yu ja marte..
Magar ye dil usspe hi aaya hai jo isko nahi samjha,
Gar samjha pate isko toh uski gali se bhi darte...
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #33 on: June 26, 2007, 04:00:18 PM »
Reply with quote
Quote from: "thycreator"
Bade bebaak ho wafa ke manjar dekhte hain hum,
Kitni hasrat se uss bewafa ka ghar dekhte hain hum.

Bade vishwas se jin haathon ko ye masoom dil saunpa,
Unhi haathon mein lipta khoon-e-khajar dekhte hain hum.

Nahi iska hai gum ki ruswai ka haasil humne paaya hai,
Muhabbat mein kaise jhuk gaya mera sar dekhte hain hum.

Gar farmaan maut ka hota toh seh bhi hum lete,
Saza hai jindagi ki usko jeekar dekhte hain hum.

Sabhi armaan dil ke aankhon ke raste dhal gaye dekho,
Mere mehboob mein chehra-e-sitamgar dekhte hain hum.

Gar mila khuda toh apni khata pooch bhi lenge,
Kyu hui uski dillagi mujhpar dekhte hain hum.


Nice one !!

Phir ussi Raah Guzar par shayaad
Hum kabhi mil sake Magar Shayaad !!
[/color]



Jeene ke baad aur bhi the iraade hummare
Tumne ishq ka hee rona lagaaye rakhaa

Charo aur jagmaga rahi thi duniya saari
Tumne diye ke neeche hee bithaye rakha

Dost samajh sunata tha sabko haal e dil
Tumne dooniya-daari samajh nibhaye rakha

Duniya se keh diya nahin jaante humein
Humne kafan mein bhi haath chhupaye rakha

Mein tou so gaya tumhe kaise aayegi neend
Saari raatein tumne "HumTum" rulaaye rakha !!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #34 on: June 26, 2007, 06:02:56 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Humtum ji!!

bahoot sahi kaha Amit!!

Kismat ki maar thi, bacha sakta tha kon
Likha jab yah Rub ne, Mujhe bacha sakta tha kon!!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #35 on: June 29, 2007, 05:53:31 PM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum is back"

Nice one !!

Phir ussi Raah Guzar par shayaad
Hum kabhi mil sake Magar Shayaad !!
[/color]



Jeene ke baad aur bhi the iraade hummare
Tumne ishq ka hee rona lagaaye rakhaa

Charo aur jagmaga rahi thi duniya saari
Tumne diye ke neeche hee bithaye rakha

Dost samajh sunata tha sabko haal e dil
Tumne dooniya-daari samajh nibhaye rakha

Duniya se keh diya nahin jaante humein
Humne kafan mein bhi haath chhupaye rakha

Mein tou so gaya tumhe kaise aayegi neend
Saari raatein tumne "HumTum" rulaaye rakha !!


Welcome back gurudev.....dhamakedar entry as always....nice one from you too pooja....

Kuch bat hi aisi thi ki sab kuch seh gaye hum,
Uss bewafa ke dar par hi baithe reh gaye hum,
Bada gumaan tha apni pak muhabbat ka hame,
Uska aaina dikhlane ki baat uss se keh gaye hum..
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #36 on: July 02, 2007, 09:43:04 AM »
Reply with quote
Quote from: "thycreator"

Welcome back gurudev.....dhamakedar entry as always....nice one from you too pooja....

Kuch bat hi aisi thi ki sab kuch seh gaye hum,
Uss bewafa ke dar par hi baithe reh gaye hum,
Bada gumaan tha apni pak muhabbat ka hame,
Uska aaina dikhlane ki baat uss se keh gaye hum..


Hahahaha .. Gurudev  Shocked  :razz:
ik sher aap ke liye Creator !!

Creator Teri zameen pe likhi to hai ik Gazal
Par tere kade-suhkan ke barabar nahin hoon mein !!  glasses2

Good one from you as usaual.


Na milta gar ghum to dard ke afsane kha jate
Hoti jo chaman yeh duniya to verrane kha jate !!
[/color]

Dil ki baat jubaan par la kar aaj talak pachtate hai
Ab yaroon hum Muhhobat ke naam se ghabrate hai
Lata hai ishq zindgi mein aisa sailaab ke jismein
Jal jate hai ghar sare sitare bhi bikhar jate hai  !!!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #37 on: July 02, 2007, 06:34:52 PM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum is back"

Hahahaha .. Gurudev  Shocked  :razz:
ik sher aap ke liye Creator !!

Creator Teri zameen pe likhi to hai ik Gazal
Par tere kade-suhkan ke barabar nahin hoon mein !!  glasses2

Good one from you as usaual.


Na milta gar ghum to dard ke afsane kha jate
Hoti jo chaman yeh duniya to verrane kha jate !!
[/color]

Dil ki baat jubaan par la kar aaj talak pachtate hai
Ab yaroon hum Muhhobat ke naam se ghabrate hai
Lata hai ishq zindgi mein aisa sailaab ke jismein
Jal jate hai ghar sare sitare bhi bikhar jate hai  !!!


Bhai...........kyu sharminda kar rahe ho......

Ek nashtar ki chubho dete khoon-e-jigar ke liye,
Itni si bat par ye ilzaam-e-bewafa kyu liya,
Hum toh yu bhi mar mite the teri ek ada ke sajde,
Ek aur maut dene ka mujhpe julm kyu kiya...
Logged
farawaynuts123
Guest
«Reply #38 on: October 23, 2007, 11:31:01 AM »
Reply with quote
hi Pooja,

i just love this one poem of urs....
excellent

keep up!!!

Nuts
Logged
Rai
Guest
«Reply #39 on: December 03, 2007, 06:02:01 AM »
Reply with quote
nice
Logged
Pooja
Guest
«Reply #40 on: January 05, 2008, 10:27:30 AM »
Reply with quote
bahoot khoob Humtum ji and Amit!!
Logged
natural
Guest
«Reply #41 on: January 25, 2008, 09:08:18 AM »
Reply with quote
Hui muddat ki meri uss bewafa se baat na hui,
Ek zamana hua in aankhon se barsaat na hui,
Sochte hai mil hi le uss jaalim sitamgar se phir,
Din hi din raha hai ab talak phir raat na hui....

Nice lines Amit.... Usual Smile
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 10:04:14 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer