dobara nahi milta

by anmolarora on November 30, 2012, 09:36:59 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1323 times)
anmolarora
Guest
Reply with quote
Ik baar jo bichray woh dobara nahi milta,
Mil jaaye koi shakhs to sara nahi milta,
Us ki b nikal aati hai izhaar ki soorat,
Jis shakhs ko lafzon ka sahara nahi milta,
Phir doobna yeh baat bohat soch le pehle,
Har laash ko daryaa ka kinaara nahi milta,
Yeh soch k dil phir se hai aamada e ulfat,
Har baar mohabat mai khasaara nahi milta,
Woh shehar bhala kaise lagay apna jahan par,
Ik shakhs bhi dhoonde se hamara nahi milta.

... unknown ...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
nahi milta by jeetufor_u in Shayri-E-Dard
nahi milta by vikas2210 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Koi Nahi milta by Rakeshanub in Shayri for Khumar -e- Ishq
nahi milta....(nam) by poonamA in Shayri for Dard -e- Judai
jab tu nahi milta hai............... by smruti in Shayri-E-Dard
mkv
Guest
«Reply #1 on: November 30, 2012, 09:47:42 AM »
Reply with quote
nice sharing Anmol.
par aisi post ko POETRY LOUNGE me hi post kare.
thanks
Logged
anmolarora
Guest
«Reply #2 on: November 30, 2012, 09:56:29 AM »
Reply with quote
nice sharing Anmol.
par aisi post ko POETRY LOUNGE me hi post kare.
thanks
sukriya mkv ji batane ke ley
Logged
suman59
Guest
«Reply #3 on: November 30, 2012, 10:00:15 AM »
Reply with quote
Ik baar jo bichray woh dobara nahi milta,
Mil jaaye koi shakhs to sara nahi milta,
Us ki b nikal aati hai izhaar ki soorat,
Jis shakhs ko lafzon ka sahara nahi milta,
Phir doobna yeh baat bohat soch le pehle,
Har laash ko daryaa ka kinaara nahi milta,
Yeh soch k dil phir se hai aamada e ulfat,
Har baar mohabat mai khasaara nahi milta,
Woh shehar bhala kaise lagay apna jahan par,
Ik shakhs bhi dhoonde se hamara nahi milta.

... unknown ...


yeh mera fav shayri hai. bahut si site mein pada hai. very good that you shared here arora sb.
Logged
suman59
Guest
«Reply #4 on: November 30, 2012, 10:01:13 AM »
Reply with quote
Kisi ki aankh sey sapney chura kar kuch nahi milta
Mandiron sey chiragon ko bujha kar kuch nahi milta
 
Koi aik aadh sapna ho to phir accha bhi lagta hay
Hazaron khuwab ankhon main saja kar kuch nahi milta
 
Yeh accha hay kay aapas kay bharam na tootne payein
Kabhi kabhi doston ko azma kar kuch nahi milta
 
Amal ki sookhti rag main zara sa khoon shamil kar
Mere humdam faqat batein bana kar kuch nahi milta

Mujhey aksar sitaron sey yeh awaz aati hay
Kisi kay hijar main neendein ganwa kar kuch nahi milta
 
Jiggar ho jayega chalni yeh ankhein khoon say royengi
Ae dil Befaiz logon sey nibah kar kuch nahi milta


n/m
Logged
suman59
Guest
«Reply #5 on: November 30, 2012, 10:03:31 AM »
Reply with quote
Kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta…
Kahin zami to kahin aasma nahi milta….
Kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta…

Jise bhi dekhiye..vo apne aap me gum hai..
Zuban mili hai magar..humzuban nahi milta..
Kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta…

Buza saka hai bhala kaun…waqt ke sholey..
Ye aisi aag hai jisme…dhuan nahi milta…
Kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta…

Tere jahan me…aisa nahi ke pyaar na ho…
Jahan umeed ho isaki vahan nahi milta…

Kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta…
Kahin zami to kahin aasma nahi milta…


N/M
Logged
anmolarora
Guest
«Reply #6 on: November 30, 2012, 10:04:26 AM »
Reply with quote

yeh mera fav shayri hai. bahut si site mein pada hai. very good that you shared here arora sb.

sukriya suman ji chalo kuch to aacha kam kiya hum ne he he
Logged
suman59
Guest
«Reply #7 on: November 30, 2012, 10:11:49 AM »
Reply with quote
sukriya suman ji chalo kuch to aacha kam kiya hum ne he he

welcome arora sb 
Logged
anmolarora
Guest
«Reply #8 on: November 30, 2012, 10:16:59 AM »
Reply with quote
Kisi ki aankh sey sapney chura kar kuch nahi milta
Mandiron sey chiragon ko bujha kar kuch nahi milta
 
Koi aik aadh sapna ho to phir accha bhi lagta hay
Hazaron khuwab ankhon main saja kar kuch nahi milta
 
Yeh accha hay kay aapas kay bharam na tootne payein
Kabhi kabhi doston ko azma kar kuch nahi milta
 
Amal ki sookhti rag main zara sa khoon shamil kar
Mere humdam faqat batein bana kar kuch nahi milta

Mujhey aksar sitaron sey yeh awaz aati hay
Kisi kay hijar main neendein ganwa kar kuch nahi milta
 
Jiggar ho jayega chalni yeh ankhein khoon say royengi
Ae dil Befaiz logon sey nibah kar kuch nahi milta


n/m
bahut khoob suman ji
Logged
anmolarora
Guest
«Reply #9 on: November 30, 2012, 10:17:32 AM »
Reply with quote
welcome arora sb 

my pleasure suman ji
Logged
aqsh
Guest
«Reply #10 on: November 30, 2012, 10:42:51 AM »
Reply with quote
very nice sharing
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #11 on: November 30, 2012, 11:09:21 AM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
anmolarora
Guest
«Reply #12 on: November 30, 2012, 01:48:28 PM »
Reply with quote
very nice sharing
sukriya aqsh ji
Logged
anmolarora
Guest
«Reply #13 on: November 30, 2012, 01:48:51 PM »
Reply with quote
bahut khoob
thnkx sk saini ji
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #14 on: December 01, 2012, 09:23:30 AM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:27:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.23 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer