Eak Mahobbath Ki Daastaan !!

by abdulqadeer on January 29, 2009, 04:46:00 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2098 times)
abdulqadeer
Guest
Reply with quote
Doosto agar  alfazon ke ahesaas tak pahonch gaye to nawaz dena !!


Raath ke andhere me ! teri yadon ke basere me !!
Gumgin shab thi !! meri taherir me teri daastan thi !!
Charo simth tanha-e- thi !!
Na mera saya tha , na kissi ki parcha-e-thi !!
Raath ka paher mujh pe sitam dha raha tha !!
Rahe - rahe ke mujhe tadpa raha tha !!
Mai khud apni maazi ko khured raha tha !!
Khud apne app ko khoj raha tha !!
Na koi paimana tha na saaqi tha ,
Mai phot phot ke ro raha tha !!
Daman ko ashqon se bhigu raha tha !!

….itne me eak sada  aa-e- , hawaon me teri awaz aa-e- …

Tu kahe rahi thi ke to bewafa nahi majboor thi !!
Kismath ka kusoor tha , tu be kusoor thi !!
Meri sharik –a-hayath hone ki hasrath thi tujhe bhi !!
magar usloon ke samne har quesh bebas thi !!

......................Fir maine kaha  ……………..

Kusoor kismath ka ho ya tera ho !! saja maine pa-e- hai !!
Tu so rahi hai kissi ki agush me narm bistar pe !!
Aur mere nasib me ye charpa-e- hai !!
Pyaar karne ka gunha dono ne kiya !!
Saza maine tanha pa-e- hai !!

Fir bhi ye duva hai   ke tu abaad rahe !!
Mai rahoon gamoon ki qaid me,  tu azaad rahe !!
Teri bewafa-e- ka kabhi gila na karenge !!
Haqeeqath to door qabon me bhi mila na karenge !!

Ab tu bhi mujhe bhula de to bahetar hai !!
Mere saare qath jala de to bahetar hai !!
Shayad meri hi qata hai ke mai waqath pe ana saka !!
Mai badnaseeb teri chahat ko apna na saka !!
Ab meri yahi saza hai ke tujhe bhoolna hoga !!
Zindagi jine ka naya raasta dhondna hoga !!
Ye samjh lena Qadeer ke wo tujh se mila hi nahi !!
Pyaar wala gul teri zindagi  me kabhi khila hi nahi !!

Ab ja aye hawa mera bhi usko ye paigaam de !!
De dastak uske dar pe aur mera naam le !!
Kahede usko ke  ab uske bin ji longa !!
Zindagi bhale zaher hai magar pilonga !!
Aur kahedena ki meri maiyaath pe ane ki qata na kare !!
Meri maqfiriyath ki kabhi ilteja na   kare !!
Ab gamoo ka adhi hogaya hon Qadeer !!
Usse kahe dena meri jannath ki duva na kare !!

Ab ja aye hawa jis tarah uska paigaam la-e- ussi tarah mera ye paigam usko de dena !!


Qadeer Toopchi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Daastaan-e-gham by pankaj_pups in Shayri-E-Dard
Daastaan-e-Zindagi...! by sharmaarunkumar in Shairi - E - Zindagi « 1 2 3  All »
DARD KI DAASTAAN.... by khwahish in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 10 11 »
Teri Mahobbath Me Sari Haden............ by abdulqadeer in Ghazals
---daastaan--- by killbill in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
dead heart
Guest
«Reply #1 on: January 29, 2009, 05:46:29 AM »
Reply with quote
kamal kardia apne Qadeer saheb...kya khoob likha hai...bahaut hi khubsoorat likha hai apne...wah wah wah wah!!!ab toh lavz kam padgaye tarif karne ke liye...apki akhir ki do lines toh bahaut hi kamal thi..."Ab gamoo ka adhi hogaya hon Qadeer !!
Usse kahe dena meri jannath ki duva na kare !!"wah wah Qadeer saheb...


uss bewaffa ko maaf karna mere bas main nahin,
bayan kar sakun uski bewaffai ko aise lavz nahin,
ab toh toot kar bikhar jana meri aadat hai,
uske diye napak ashkon ko apnaun yeh mera haq nahin...

ek bewaffa ki diye daagon ke saath koi kaise jiye,
inn namak bhare zakhmon ke saath koi kaise jiye,
jee raha hoon uss bewaffa ka karz utarne ke liye,
pyaar ke do lamhe diye usne;aise daag bhare karz ke saath koi kaise jiye...

zakhmon ke beech rehna seekh lia maine,
ghamon ko apna na seekh lia maine,
ab jake khedo uss zalim se,
labon ki pyaas bujane ke liye khoon ko peena seekh lia maine...
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #2 on: January 29, 2009, 06:05:33 AM »
Reply with quote
Bahoth Bahoth shukriya Raheem tumne apne bhai ka dard mahesoos kiya allah tumhe jaza-a-qair de !! Ameen !!

Qadeer Toopchi
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #3 on: January 29, 2009, 07:13:00 AM »
Reply with quote
kamal kardia apne Qadeer saheb...kya khoob likha hai...bahaut hi khubsoorat likha hai apne...wah wah wah wah!!!ab toh lavz kam padgaye tarif karne ke liye...apki akhir ki do lines toh bahaut hi kamal thi..."Ab gamoo ka adhi hogaya hon Qadeer !!
Usse kahe dena meri jannath ki duva na kare !!"wah wah Qadeer saheb...


uss bewaffa ko maaf karna mere bas main nahin,
bayan kar sakun uski bewaffai ko aise lavz nahin,
ab toh toot kar bikhar jana meri aadat hai,
uske diye napak ashkon ko apnaun yeh mera haq nahin...

ek bewaffa ki diye daagon ke saath koi kaise jiye,
inn namak bhare zakhmon ke saath koi kaise jiye,
jee raha hoon uss bewaffa ka karz utarne ke liye,
pyaar ke do lamhe diye usne;aise daag bhare karz ke saath koi kaise jiye...

zakhmon ke beech rehna seekh lia maine,
ghamon ko apna na seekh lia maine,
ab jake khedo uss zalim se,
labon ki pyaas bujane ke liye khoon ko peena seekh lia maine...


Aur bahoth badiya likha hai apne raheem sahab !! Allah Apko Khush rakhe !! Ameen

Qadeer Toopchi
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #4 on: January 29, 2009, 07:40:48 AM »
Reply with quote
Wah qadeer bohat khoobsurat andaze bayaan........ Clapping Smiley
apni ek purani post yaad aa gayee.....1st line me thoda change kiya hain..

Aaj GHAYEL ko pagal na kaho dosto
Uski halet pe na tum haso dosto
Jab gum me tum bhi mub_tila ho jaoge
Jab apni hi zindagi se tum ghab_raoge
Apne paraye tumko jab dege daga
Jab apni mohabbat banegi bevafa
Jab aakho se aasu behne lagege
Logh tumko bhi pagal kehne lagage
Us dum meri batein tujko yaad aayegi
Har aah me teri shayri nazar aayegi


                                      -SAJID GHAYEL-
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #5 on: January 29, 2009, 07:45:35 AM »
Reply with quote
kamal kardia apne Qadeer saheb...kya khoob likha hai...bahaut hi khubsoorat likha hai apne...wah wah wah wah!!!ab toh lavz kam padgaye tarif karne ke liye...apki akhir ki do lines toh bahaut hi kamal thi..."Ab gamoo ka adhi hogaya hon Qadeer !!
Usse kahe dena meri jannath ki duva na kare !!"wah wah Qadeer saheb...


uss bewaffa ko maaf karna mere bas main nahin,
bayan kar sakun uski bewaffai ko aise lavz nahin,
ab toh toot kar bikhar jana meri aadat hai,
uske diye napak ashkon ko apnaun yeh mera haq nahin...

ek bewaffa ki diye daagon ke saath koi kaise jiye,
inn namak bhare zakhmon ke saath koi kaise jiye,
jee raha hoon uss bewaffa ka karz utarne ke liye,
pyaar ke do lamhe diye usne;aise daag bhare karz ke saath koi kaise jiye...

zakhmon ke beech rehna seekh lia maine,
ghamon ko apna na seekh lia maine,
ab jake khedo uss zalim se,
labon ki pyaas bujane ke liye khoon ko peena seekh lia maine...


Wah DH wah bohat khoooooooooob  Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #6 on: January 29, 2009, 08:36:55 AM »
Reply with quote
Wah qadeer bohat khoobsurat andaze bayaan........ Clapping Smiley
apni ek purani post yaad aa gayee.....1st line me thoda change kiya hain..

Aaj GHAYEL ko pagal na kaho dosto
Uski halet pe na tum haso dosto
Jab gum me tum bhi mub_tila ho jaoge
Jab apni hi zindagi se tum ghab_raoge
Apne paraye tumko jab dege daga
Jab apni mohabbat banegi bevafa
Jab aakho se aasu behne lagege
Logh tumko bhi pagal kehne lagage
Us dum meri batein tujko yaad aayegi
Har aah me teri shayri nazar aayegi


                                      -SAJID GHAYEL-


Bahoth Bahoth Shukriya Sajid !! Aur mashallah abhoth badiya likha hai apne bhi !!

Qadeer Toopchi
Logged
HumTum
Guest
«Reply #7 on: January 29, 2009, 08:52:02 AM »
Reply with quote
aree waaah ... bahut khoob ,, Qadeer sahab .. bade mood mein lag rhe hai aap ....  bahut acche .... aur baaqi sab ne bhi kamal ka likha hai.. yun hi likhte rhiye.


HumTum
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #8 on: January 29, 2009, 09:31:51 AM »
Reply with quote
aree waaah ... bahut khoob ,, Qadeer sahab .. bade mood mein lag rhe hai aap ....  bahut acche .... aur baaqi sab ne bhi kamal ka likha hai.. yun hi likhte rhiye.


HumTum

Khuch nahi Humtum sahab ,Kabhi kabhi khuch yaden shayari se hat ke likhne pe majboor kardeti hain !! ye shayari hai nahi to ghazal bus khuch alfaz jinko "ahesas-a-kamtari ka roop diya hai janab !! Allah apko khuch rakhe !!

Qadeer Toopchi
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: January 29, 2009, 10:24:38 AM »
Reply with quote
Bohat Bohat Khoob Qadeer Bhaiya,.
Sab Bhaiyon Ne Bohat Hi Achcha Likha Hai,.
Rahim Bhai,.
Sajid Bhaiya,.

Aur Aap Kyun Kuch Nahi Likhe Humtum Bhaijaan,
Logged
diya786
Guest
«Reply #10 on: January 29, 2009, 10:34:07 AM »
Reply with quote
bahut accha likha hai Qadeer bhai Applause Applause
Logged
diya786
Guest
«Reply #11 on: January 29, 2009, 10:38:04 AM »
Reply with quote
kamal kardia apne Qadeer saheb...kya khoob likha hai...bahaut hi khubsoorat likha hai apne...wah wah wah wah!!!ab toh lavz kam padgaye tarif karne ke liye...apki akhir ki do lines toh bahaut hi kamal thi..."Ab gamoo ka adhi hogaya hon Qadeer !!
Usse kahe dena meri jannath ki duva na kare !!"wah wah Qadeer saheb...


uss bewaffa ko maaf karna mere bas main nahin,
bayan kar sakun uski bewaffai ko aise lavz nahin,
ab toh toot kar bikhar jana meri aadat hai,
uske diye napak ashkon ko apnaun yeh mera haq nahin...

ek bewaffa ki diye daagon ke saath koi kaise jiye,
inn namak bhare zakhmon ke saath koi kaise jiye,
jee raha hoon uss bewaffa ka karz utarne ke liye,
pyaar ke do lamhe diye usne;aise daag bhare karz ke saath koi kaise jiye...

zakhmon ke beech rehna seekh lia maine,
ghamon ko apna na seekh lia maine,
ab jake khedo uss zalim se,
labon ki pyaas bujane ke liye khoon ko peena seekh lia maine...


too good DeadHeart
aapne bhi kamaal likha hai
Applause Applause


Wah qadeer bohat khoobsurat andaze bayaan........ Clapping Smiley
apni ek purani post yaad aa gayee.....1st line me thoda change kiya hain..

Aaj GHAYEL ko pagal na kaho dosto
Uski halet pe na tum haso dosto
Jab gum me tum bhi mub_tila ho jaoge
Jab apni hi zindagi se tum ghab_raoge
Apne paraye tumko jab dege daga
Jab apni mohabbat banegi bevafa
Jab aakho se aasu behne lagege
Logh tumko bhi pagal kehne lagage
Us dum meri batein tujko yaad aayegi
Har aah me teri shayri nazar aayegi


                                      -SAJID GHAYEL-


Sajid sahab aapne bhi khoob likha hai Applause Applause

Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #12 on: January 29, 2009, 11:50:53 AM »
Reply with quote
bahut accha likha hai Qadeer bhai Applause Applause

Nawazish janab !! Ahesand mand hai hum apke !!

Qadeer Toopchi
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #13 on: January 29, 2009, 12:00:26 PM »
Reply with quote
qadeer sahab aapki ghazal...balki Nazm kahun to behtar hoga..padh-kar ek sher yaad aaya..arz hai..
in shabdon ko padhna mere yaaron sambhal ke,
mahfil me rakh diya hai kaleja nikaal ke,

bahoot hi sunder likha....aapne..
Logged
dead heart
Guest
«Reply #14 on: January 29, 2009, 12:33:01 PM »
Reply with quote
bahaut bahaut shukriya Azeem bhai,Diya jee,Qadeer saheb,Ghayel jee...

bahaut acha likha hai apne Ghayel jee aur Bekarar apki toh do lines hi kamal kar gayi...
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:27:31 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.132 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer