Ek Bewafaa ke naam humne...

by Alam Qazi on September 05, 2007, 02:23:25 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1805 times)
Alam Qazi
Guest
Reply with quote

khud ko mohabbat par, karke Qurbaan humne
kar di wafa apni, ek bewafaa ke naam humne ,

rooh tadpi hai meri, Kiss Qadr bataon kaise
fir zakhm ek aur mila mujhko, bataon kaise
usne ehsaas ko mere, kabhi samjha hi nahi
mai talabgaar hoon uska, usko bataon kaise

khud ko mohabbat par, karke Qurbaan humne
kar di wafa apni, ek bewafaa ke naam humne ,

kya ho gya hai, kyon rehta hoon mai tanha tanha
iss dil-E-viraa'n ko abb, mai samjhaon kaise
hum muntazir hi rahe, uski ek nazar ke liye
woh bewafaa ho gayee, ye zamaane ko bataon kaise

__________Alam
Logged
Sahiba Zehra
Guest
«Reply #1 on: September 09, 2007, 03:42:41 PM »
Reply with quote
wow

too gud alam G
bohot acha

appreication

:D :D :D
Logged
Alam Qazi
Guest
«Reply #2 on: September 15, 2007, 07:26:29 AM »
Reply with quote
Quote from: "Sahiba Zehra"
wow

too gud alam G
bohot acha

appreication

:D :D :D

thanks zahra. zahra maine firse likhan shuru jo kiya hai, woh sirf aapki wajeh se warna maine likhna band kar diya tha. yakeen karein aap. pata nahi kyon firse kuch na kuch likhkar post kar deta hoon. khair. allah hafiz.
Logged
Sahiba Zehra
Guest
«Reply #3 on: September 16, 2007, 05:53:54 PM »
Reply with quote
thanku alam G

aap acha likhte hain

yuhi likhte rahiye
Logged
Alam Qazi
Guest
«Reply #4 on: September 20, 2007, 06:37:04 AM »
Reply with quote
Quote from: Sahiba Zehra
thanku alam G

aap acha likhte hain

yuhi likhte rahiye

Girtee Hai Bijliyaa’n Kyon Aksar, Mere Makaan Par
Kyon Jeeta Raha  Isi Tarha, Mai Malbo’n Ke Dher Par
Daulat Ki Khaatir Kyon, Wafaa Ka Qatl Kar diya
Kyon Saudaa Kiya Mera, Tune Mohabbat Ke Naam Par

Ilzaam Dekar Mujhko, Chal Dee Nazro’n Ko Ferkar
Baahei’n Chudakar Meri, Mere Iss Dil Ko Cheerkar
Aaye Kabhi Na Tera Naam, Abb Meri Zubaan Par
Jaaa Tu Bhi Na Rahegee Khush, Meri Duniya Ujaadkar

Afsos Rahega Taa Hayaat, Iss Baat Ka Humein
Ek Bewafa Ne Qatl Kiya, Dil Mein Khanjar Utaarkar
“ALAM” Nahi Khabar Tujhe, Ki Ulfat Ki Raah Par
Milta Hai Fareb Aksar Yaha’n , Mohabbat Ke Naam Par !!!!

___________Alam
 
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #5 on: September 20, 2007, 07:51:37 AM »
Reply with quote
Bahut hi khoob.....  Bahut hi achha likha hai aapne..

Dono ki kalaam ek se badh kar ek hai... Usual Smile

Likhte Rahiyega...
Logged
Sahiba Zehra
Guest
«Reply #6 on: September 21, 2007, 05:55:12 PM »
Reply with quote
ek baar fir
nice

gud work alam G

:D :D :D
Logged
aankhain
Guest
«Reply #7 on: October 06, 2007, 09:14:55 PM »
Reply with quote
boahat acha likha=D>
Logged
Roja
Guest
«Reply #8 on: October 07, 2007, 12:21:13 AM »
Reply with quote
Quote from: "Alam Qazi"
Quote from: "Sahiba Zehra"
thanku alam G

aap acha likhte hain

yuhi likhte rahiye

Girtee Hai Bijliyaa’n Kyon Aksar, Mere Makaan Par
Kyon Jeeta Raha  Isi Tarha, Mai Malbo’n Ke Dher Par
Daulat Ki Khaatir Kyon, Wafaa Ka Qatl Kar diya
Kyon Saudaa Kiya Mera, Tune Mohabbat Ke Naam Par

Ilzaam Dekar Mujhko, Chal Dee Nazro’n Ko Ferkar
Baahei’n Chudakar Meri, Mere Iss Dil Ko Cheerkar
Aaye Kabhi Na Tera Naam, Abb Meri Zubaan Par
Jaaa Tu Bhi Na Rahegee Khush, Meri Duniya Ujaadkar

Afsos Rahega Taa Hayaat, Iss Baat Ka Humein
Ek Bewafa Ne Qatl Kiya, Dil Mein Khanjar Utaarkar
“ALAM” Nahi Khabar Tujhe, Ki Ulfat Ki Raah Par
 Milta Hai Fareb Aksar Yaha’n , Mohabbat Ke Naam Par !!!!

 :cry:  :cry:  :cry:

Bahut khoob Alam sb...

Humko hamari ulfat ne mar dala
Tumhe shaurat ne aur humko, gurbat ne mar dala

Apne beganon ke sitam, sehkar bhi rahe zinda
Aapki sher ki halki si, nafrat ne mar dala

Dikhake khaak se kwaab, hame aasma.n ka kar diya
Hume dil ki pehli hi, hasrat ne mar dala

Muskurate huwe aaye, meri maiyat ko kafan dene
Rooh ko bhi tera is harkat ne mar dala

Roja
[/color]
Logged
CoolAnjali
Guest
«Reply #9 on: October 10, 2007, 04:25:03 AM »
Reply with quote
Quote from: "Roja"

Alam - great job...you writr very well..
Logged
CoolAnjali
Guest
«Reply #10 on: October 10, 2007, 04:41:30 AM »
Reply with quote
khud ko mhabbat par, kerke kurbaam humne
kar di wafa apni, ek bewaffa ke naam humne,

kya khoob likha hai Alam ji....dil ko choo gaya aapki ye shayeri...

itne toot chuke hai zakm kha ker hum us sitamger ke
ki ab koi aas aati nahi nazer unse koi mohabbat ki
kyon ki humse mohhabat kabhi puchnege unse fursat mein
bhula ker jab nibhane the dusre kai rishte is zindangi mein...

Quote from: "Alam Qazi"

khud ko mohabbat par, karke kurbaan humne
kar di wafa apni, ek bewfaa ke naam humne ,

rooh tadpi hai meri, iss Qadr bataon kaise
fir zakhm ek aur mila mujhko, bataon kaise
usne ehsaas ko mere, kabhi samjha hi nahi
mai talabgaar hoon uska, usko bataon kaise

khud ko mohabbat par, karke kurbaan humne
kar di wafa apni, ek bewfaa ke naam humne ,

kya ho gya hai, kyon rehta hoon mai tanha tanha
iss dil-E-viraa'n ko abb, mai samjhaon kaise
hum muntazir hi rahe, uski ek nazar ke liye
woh bewafaa ho gayee, ye zamaane ko bataon kaise

khud ko mohabbat par, karke kurbaan humne
kar di wafa apni, ek bewfaa ke naam humne ,
 :cry:  :cry:  :cry:
Logged
farawaynuts123
Guest
«Reply #11 on: October 10, 2007, 10:13:10 AM »
Reply with quote
hello,
very well written...
keep it up..looking fwd 4 moreee

Nuts
Logged
CoolAnjali
Guest
«Reply #12 on: October 10, 2007, 09:33:34 PM »
Reply with quote
shukriya Nut ...
Logged
paani
Guest
«Reply #13 on: October 13, 2007, 07:02:54 AM »
Reply with quote
Qazi sahab aap aur bewafai ka dard.. bahut khub
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #14 on: April 29, 2009, 05:42:33 AM »
Reply with quote

khud ko mohabbat par, karke kurbaan humne
kar di wafa apni, ek bewfaa ke naam humne ,

rooh tadpi hai meri, iss Qadr bataon kaise
fir zakhm ek aur mila mujhko, bataon kaise
usne ehsaas ko mere, kabhi samjha hi nahi
mai talabgaar hoon uska, usko bataon kaise

khud ko mohabbat par, karke kurbaan humne
kar di wafa apni, ek bewfaa ke naam humne ,

kya ho gya hai, kyon rehta hoon mai tanha tanha
iss dil-E-viraa'n ko abb, mai samjhaon kaise
hum muntazir hi rahe, uski ek nazar ke liye
woh bewafaa ho gayee, ye zamaane ko bataon kaise

khud ko mohabbat par, karke kurbaan humne
kar di wafa apni, ek bewfaa ke naam humne ,
 :cry:  :cry:  :cry:

Bahut Khoob Alam Ji
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:12:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer