Arifa
Guest
|
|
|
kal raat mein nay ek sapna dekha sapnay mein ek ladkay ko dekha
sorat se woh masoom aur acha nazar aata tha dil mein magar uskay ek chor dekha
karta tha woh ek ladki se pyar bohat magar apnatay use kisi aur ko dekha
woh usko karnay lagi bohat pyar ladki ko din raat us ladkay par jaan lutatay dekha
ek din ladkay nay ladki se kah tum mujh se itna pyar koin karti ho? tum nay mujh mein esa kiya dekha
ladki nay kah pyar tou tum bhi mujh se kartay ho aur tumhray undar mein nay ek achchay insan ko hai dekha
ek din ladkay nay kah mein tum ko ek baat batana chata hoon
mien ek ladki ko chata hoon usko bohat pyar karta hoon usko choar naih sakta hoon mein bewafa naih par majboor hoon
ladki nay kah jaab tum usko itna chatay ho usko itna pyar kartay ho tou usko apnatay kion naih ho
ladkay nay kah woh ziddi hai woh khudsar hai woh azad rahenay wali hai
magar tum mujhe kabhi uskay pass janay se rokna mat ladki nay uski aankho mein kisi aur kay liyea itna pyar dekha
aur hans kay han kar diya ladka kush ho gayea
mein is ladki ko humaysha kush rakho ga ladkay ko ye dua kartay dekha aur ladki ko mein nay akelay mein rotay dekha
................................................. ............................
kiya ladki agar usko inkar kar deati tou woh usko kush naih rakhta? woh usko pyar naih karta?
plz give me some suggestions.yes/no
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
myheart_ursonly
Guest
|
|
«Reply #1 on: January 23, 2005, 08:18:12 PM » |
|
it made me cry.... i'll comment later for it..... sis! dont mind plz....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nikki
Guest
|
|
«Reply #2 on: January 23, 2005, 08:42:54 PM » |
|
hello sis
what I think is ...pyar to woh pehle se hi kisi aur ko karta tha...khush to rakhta(farz nibhata) magar shayad itni izzat nahi deta....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
dolly
Guest
|
|
«Reply #3 on: January 24, 2005, 08:06:33 AM » |
|
well!!arifaji...really touching.....
agar uss ladke ne sachha pyaar kiya hoga to chhahe agar woh ladki inkaar karti tab bhi woh ladka usse khush rakhta...aur rakhna bhi chhahiye...respect bhi deni chhahiye....par ek gilla zaroor rehta usse ki ladki ne uske dil ko shaayad kabhi samjha nahi....yaa woh ladka khud apne ko dosh deta ke woh itna bhi vishwaas uss ladki ke dil mein nahi jaagaa paaya..shaayad sochta ki uske pyaar mein koi kami thi.....
main itna hi kehti hoon....ki pyaar karne waalon ko apne pyaar ko baandhnaa nahi chaahiye...nahi to ek din aap unko kho sakte ho....
waise bhi pyaar ek ehsaas hai jo har waqt aapke dil mein rehta hai uske liye jisse aap pyaar karte hain....is duniya mein sirf ek hi inssan hi aisa nahi jisse aap pyaar karein....khuda ne bahut se achhe insaan banaaye hain....sabka sahaara banna mumkin nahi par saath to de hi sakte hain....aur yeh baat woh ladki jaanti thi isiliye usne inkaar nahi kiya...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Arifa
Guest
|
|
«Reply #4 on: January 24, 2005, 08:44:23 AM » |
|
thanks AMIT JI ,NIKKI and thank u so much DOLLY Aap ki soach aur meri soach same as it hai lekin kiya ladki ka dil nahi dukha hoga ?kay woh apni puri zindagi ek easa insan kay naam kartay jo khud kisi aur se pyar karta hai?pyar tou tinoo nay kiya hai lekin sacha pyar kis ka us ladki ka jis nay in dono kay pyar ko apnayea ye un dono ka jinnoh nay apnay pyar kay liye us ladki ka dil dukha yea
any comments?
|
|
|
Logged
|
|
|
|
a_simple_boy_4u
Guest
|
|
«Reply #5 on: January 24, 2005, 09:02:24 AM » |
|
Nice post ..very very nice reply...very very touchin...
ek chota sa purana magar saccha sher hai.....
har kisi ko mukammal jahan nahi milta... har kisi ko mukammal jahan nahi milta... Kahin zami to kahin aasma nahi milta.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Arifa
Guest
|
|
«Reply #6 on: January 24, 2005, 09:14:07 AM » |
|
thank u simple _boy and very nice
duhk sab kay ek jesay thay magar hoslay juda koi bikhar gayea tou koi muskra diyea
|
|
|
Logged
|
|
|
|
a_simple_boy_4u
Guest
|
|
«Reply #7 on: January 24, 2005, 09:22:02 AM » |
|
nice Arifa.........
humne poocha majnoo se zindagi ka haal... humne poocha majnoo se zindagi ka haal...
Woh Hansa or shama Bhuja Di........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Arifa
Guest
|
|
«Reply #8 on: January 24, 2005, 09:39:40 AM » |
|
hum nay shama ko raat bhar jaltay dekha aur parwanoo ko iskay gird mandlatay dekha shama jal jal kay bhuj gi aur parwanay apnay rastay chal diye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
a_simple_boy_4u
Guest
|
|
«Reply #9 on: January 24, 2005, 09:41:25 AM » |
|
shama bhujh gayi hai parwano ko jalakar..... khub sila mila isey apni bewafai ka.......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
dolly
Guest
|
|
«Reply #10 on: January 24, 2005, 09:43:26 AM » |
|
thanks AMIT JI ,NIKKI and thank you so much DOLLY Aap ki soach aur meri soach same as it hai lekin kiya ladki ka dil nahi dukha hoga ?kay woh apni puri zindagi ek easa insan kay naam kartay jo khud kisi aur se pyar karta hai?pyar tou tinoo nay kiya hai lekin sacha pyar kis ka us ladki ka jis nay in dono kay pyar ko apnayea ye un dono ka jinnoh nay apnay pyar kay liye us ladki ka dil dukha yea
any comments? thanx arifaji for appreciation.... dekhiye arifaji yeh sahi hai ki uss ladke ne jo kiya usse accept karna aasaan nahi hai ...par itna to maanti hain naa aap ke uss ladke ne kuch chupaaya nahi .....uska bhi to kahin vishwaas tha naa uss ladki par....aapne kaha pyaar teeno ne kiya.....uss ladke ne do ladkiyon se pyaar kiya...ab woh bhi to ladki hi hai...humaari aapki tarah....uske nazariye se yeh ladka usse chod aaya....har kissi ka nazariyaa apna hai...woh ladki kuch aur sochtio hogi..ki usko to itni ahmiyyat bhi nahi di gayee..ke uske saath zindagi bitaaye yeh ladka.... mujhe lagta hai...agar yeh ladki...uss ladke ko ab utna pyaar nahi degi to...ladka yehi sochega ki shaayad main sach mein nahi samjha isse...dono hi kahin dukhi hain ...ek doosre ka sahaara banenge to ...dono ko khushi milegi...nahi to dono hi udaas...ab kisi ko khushi dena us khuda ko khush karna hota hai...hai naa??ab aap kya sochti hain iss baarein zaroor likhiyega....thanx once again....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Arifa
Guest
|
|
«Reply #11 on: January 24, 2005, 10:09:36 AM » |
|
thanks AMIT JI ,NIKKI and thank you so much DOLLY Aap ki soach aur meri soach same as it hai lekin kiya ladki ka dil nahi dukha hoga ?kay woh apni puri zindagi ek easa insan kay naam kartay jo khud kisi aur se pyar karta hai?pyar tou tinoo nay kiya hai lekin sacha pyar kis ka us ladki ka jis nay in dono kay pyar ko apnayea ye un dono ka jinnoh nay apnay pyar kay liye us ladki ka dil dukha yea
any comments? thanx arifaji for appreciation.... dekhiye arifaji yeh sahi hai ki uss ladke ne jo kiya usse accept karna aasaan nahi hai ...par itna to maanti hain naa aap ke uss ladke ne kuch chupaaya nahi .....uska bhi to kahin vishwaas tha naa uss ladki par....aapne kaha pyaar teeno ne kiya.....uss ladke ne do ladkiyon se pyaar kiya...ab woh bhi to ladki hi hai...humaari aapki tarah....uske nazariye se yeh ladka usse chod aaya....har kissi ka nazariyaa apna hai...woh ladki kuch aur sochtio hogi..ki usko to itni ahmiyyat bhi nahi di gayee..ke uske saath zindagi bitaaye yeh ladka.... mujhe lagta hai...agar yeh ladki...uss ladke ko ab utna pyaar nahi degi to...ladka yehi sochega ki shaayad main sach mein nahi samjha isse...dono hi kahin dukhi hain ...ek doosre ka sahaara banenge to ...dono ko khushi milegi...nahi to dono hi udaas...ab kisi ko khushi dena us khuda ko khush karna hota hai...hai naa??ab aap kya sochti hain iss baarein zaroor likhiyega....thanx once again.... good thinking i like it dolly ,ye baat tou sahi hai kay kisi ko khush karna khuda ko khush karna hai, lekin kiya ladka anjanay mein us ladki kay sath kuch gallat nahi kar rha hai . ladke ko tou donoo ka pyar mila ,us ladki kay pass bhi apna pyar hai .magar is ladki ko kiya mila kiya iska dil nahi chata kay us ko bhi koi sache dil se pyar kare binna kisi garz kay aur uskay pyar mein koi shrik na ho kiya kaho gi tum zaroor batana mangay se gar milay mohabbat bhi ek traha se hoti hai woh bhi kheraat
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tanha dil tanha safar
Guest
|
|
«Reply #12 on: January 24, 2005, 12:00:29 PM » |
|
main to isse padke kuch bhi comment karne ki halat mein nahi hoon.
bus jo sher ooper likha hai usi ko poora kar raha hoon
har kisi ko mukammal jahaan nahi milta kahin zamee to kahin aasma nahi milta aisa nahi ke tere iss jahan mein pyar nahi lekin jahaan ummid ho iski wahaan nahi milta.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Arifa
Guest
|
|
«Reply #13 on: January 24, 2005, 12:59:04 PM » |
|
thanks tanha dil ,but plz give me few words for comment
aap kay is sher kay liye mein ye kaho tou sahi rahe ga kay
har insan kay sath do almeyea hotay hain ek woh jis ko woh chata hai isko woh nahi milta dosra, woh jis ko woh nahi chata isko woh mil jata hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sulmuh
Aghaaz ae Shayar
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:0 minutes.
Posts: 33 Member Since: Jan 2005
|
|
«Reply #14 on: January 24, 2005, 03:21:46 PM » |
|
arifa..a verycomplex situation....nsum verygud advice from evry1......hum kya kahe abhi...
jisne humko chaha, use hum chaah na sake jisko chahte the use paa na sake, ye samjo ki dil tutneka yeh khel hai, kisiska toda aur apna bacha na sake
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|