**** Haan Bewfaa hai hum ****

by kritika sharma on December 07, 2010, 07:05:34 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 908 times)
kritika sharma
Guest
Reply with quote
Haan bewfaa hai hum ikraar karte hai
phir bhi sanam hum Aapse be-intehaah pyar karte hai

Wo humari  Majbooriyan thi is ko hum nahi mante hai
Matalbi the hum bas is  baat ko hi jaante  hai

Aapki kasam hume  bahut dard hota hai
Jab aapka aanshun aapke ruksaaro ko chhuta hai

Par hum aapke moti jese aanshun ko rok nahi paate hai
Chahkar bhi apne labon ko aapke ruksooro tak nahi le jate hai

Aapki Wafaa ke sahare hi  ab Jindgi jee rahe hai
Warna humari Bewfaai ne to hume saans lene kabil Nahi choda hai  

Ab to hansi bhi humara sath nahi deti hai
Har ek mukurahat ke sath ek aashun ki ladi piroti hai

Apne aap se hi Nafraat karne lage hai
Jab se aapse door door hum rehne lage hai

Ab or nahi kaha jata hai ye Bewfaa hone ka gham nahi saha jata hai
Phir bhi hum aitbaar karte hai BEwfaa hai hum ye ikraar karte hai

Ae sanam Haan bewfaa hai hum ikraar karte hai
Par apne rab ki kasam hum sach me aapse bahut pyar karte hai !! love9


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
bewfaa by SairaKhan in Shayri for Dard -e- Judai
haan tum ho by naamgum in Shayri for Dard -e- Judai
***Bewfaa Aanshu*** by kritika sharma in Shayeri for Dard -e- Bewafai
HAAN.NAA (2- 2Liners.) by surindarn in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
haan unke lab pe.. by kaunquest in Shayri for Khumar -e- Ishq
Intezar
Guest
«Reply #1 on: December 07, 2010, 07:18:55 PM »
Reply with quote
hai dard bhi aur hai ruswaayi bhi
kee hogi shayad tune bewafaayi bhi
par ye aitbaar mera tujhse khaali nahi
qaid de gayi mujhko teri rihaayi bhi... !

Intezar !
Logged
kritika sharma
Guest
«Reply #2 on: December 07, 2010, 07:25:09 PM »
Reply with quote
bahut gehri baat likhi hai  aapne intzaar ji .. nice !! Applause Applause
hai dard bhi aur hai ruswaayi bhi
kee hogi shayad tune bewafaayi bhi
par ye aitbaar mera tujhse khaali nahi
qaid de gayi mujhko teri rihaayi bhi... !

Intezar !
Logged
Intezar
Guest
«Reply #3 on: December 07, 2010, 07:29:20 PM »
Reply with quote
aap ne itna achha likha uski wajah se hi to hai ye... aapne bahut achha likha hai... actually lafzon mein nahin kehna chah raha tha isliye shayari se jawaab diya aapka... bahut badhiya... aise hi likhte rehiye..

Intezar !

bahut gehri baat likhi hai  aapne intzaar ji .. nice !! Applause Applause
Logged
kritika sharma
Guest
«Reply #4 on: December 07, 2010, 07:31:40 PM »
Reply with quote
shukriya intzaar ji !! 
aap ne itna achha likha uski wajah se hi to hai ye... aapne bahut achha likha hai... actually lafzon mein nahin kehna chah raha tha isliye shayari se jawaab diya aapka... bahut badhiya... aise hi likhte rehiye..

Intezar !

Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #5 on: December 07, 2010, 09:28:22 PM »
Reply with quote
Haan bewfaa hai hum ikraar karte hai
phir bhi sanam hum Aapse be-intehaah pyar karte hai

Wo humari  Majbooriyan thi is ko hum nahi mante hai
Matalbi the hum bas is  baat ko hi jaante  hai

Aapki kasam hume  bahut dard hota hai
Jab aapka aanshun aapke ruksaaro ko chhuta hai

Par hum aapke moti jese aanshun ko rok nahi paate hai
Chahkar bhi apne labon ko aapke ruksooro tak nahi le jate hai

Aapki Wafaa ke sahare hi  ab Jindgi jee rahe hai
Warna humari Bewfaai ne to hume saans lene kabil Nahi choda hai 

Ab to hansi bhi humara sath nahi deti hai
Har ek mukurahat ke sath ek aashun ki ladi piroti hai

Apne aap se hi Nafraat karne lage hai
Jab se aapse door door hum rehne lage hai

Ab or nahi kaha jata hai ye Bewfaa hone ka gham nahi saha jata hai
Phir bhi hum aitbaar karte hai BEwfaa hai hum ye ikraar karte hai

Ae sanam Haan bewfaa hai hum ikraar karte hai
Par apne rab ki kasam hum sach me aapse bahut pyar karte hai !! love9




Just really wonderful Ji
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #6 on: December 08, 2010, 05:53:18 AM »
Reply with quote
bhote khoob Kriti kaji---
****
kyun kahe hum bewafa tujhe
       jaana hi kahan tha tune mujhe...
gar sachhi hoti mohabbat teri       yun na tu usse jhuthlata...
fir tu nahi mai aur sirf mai hi
      bewafaa kahlaataa...
****
likhte rahiye Kritika ji..bhot khub Usual SmileUsual Smile
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:39:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.091 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer