Hai dil meN kaisa gham apni zubaN se kuchh nahiN kehte.

by Ghulam Haider on October 10, 2014, 03:59:32 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1069 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
Hai dil meN kaisa gham apni zubaN se kuchh nahiN kehte.
RaheN woh khush ke ham apni zubaN se kuchh nahiN kehte.

Bohot kuchh ham ko is haalat meN bhi sun.ne ko miltaa hai,
Jo ham ab kam se kam apni zubaN se kuchh nahiN kehte.

Bataate ham jo khaamoshi hamaari ye na batlaati,
Ke ham ay mohtaram apni zubaN se kuchh nahiN kehte.

Huve barbaad ham mujrim bhi Thehraayaa gayaa ham ko,
Ye hai kis ka karam apni zubaN se kuchh nahiN kehte.

Shikasta dil se uTh kar aah reh jaati hai seene meN,
GhuTaa jaataa hai dam apni zubaN se kuchh nahiN kehte.

Dam e aakhir shikaayat wo bhi ham se kar chale aisi,
Chale soo e a'dam apni zubaN se kuchh nahiN kehte.

Ye andaaz e bayaN rakhtaa hai kya taceer dekheNge,
Rakhaa ham ne qalam apni zubaN se kuchh nahiN kehte.

Haqeeqat hai magar Haider zamaane se chhupaate haiN,
Ye aaNkheN kyoN haiN nam apni zubaN se kuchh nahiN kehte.
Logged
kumaar
Maqbool Shayar
****

Rau: 33
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
5 days, 5 hours and 59 minutes.
Posts: 674
Member Since: Aug 2014


View Profile WWW
«Reply #1 on: October 10, 2014, 05:44:05 PM »
Reply with quote
nice one... Usual Smile
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #2 on: October 10, 2014, 08:53:49 PM »
Reply with quote
Bahut khoob.
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #3 on: October 11, 2014, 02:10:42 AM »
Reply with quote
Nihaat khoobsurat, dheron daad.
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: October 11, 2014, 04:07:28 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Rajigujral
Khususi Shayar
*****

Rau: 17
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 59 minutes.
Posts: 1703
Member Since: Apr 2014


View Profile
«Reply #5 on: October 11, 2014, 06:04:57 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #6 on: October 11, 2014, 03:04:02 PM »
Reply with quote
waah waah waah
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #7 on: October 11, 2014, 06:45:07 PM »
Reply with quote


Haider Sahaab Aadaab O Assalaam ...!

Walaah janab kia kahne bahut khoob behad laa jawaab radiff ka istemaal kiya hai aapne. .. itne bade radiff ko bahut khoobi se nibhaya bhi hai ...

Behad laa jawaab ashaar huye haiN janab waaah aur bus waaaah hi nikal rahi hai ...
Is laa jawaab kalaam par humari hazaaroN dili daad kabul kijiye ...

Likhte rahiye... bazm meiN shirkat karte rahiye...
Shaad O aabaad rahiye..
Khuda Hafez... Usual Smile

Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #8 on: November 05, 2014, 11:05:30 AM »
Reply with quote
nice one... Usual Smile

Kumaar ji aap ka shukriya ke aap ne kalaam pasand kiya.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #9 on: November 05, 2014, 11:07:23 AM »
Reply with quote
Bahut khoob.
Ta'reef ke liye saraapa sipaas guzaar hooN.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #10 on: November 05, 2014, 11:09:26 AM »
Reply with quote
Nihaat khoobsurat, dheron daad.
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower

Aap ka be had shukriya surindarn ji ke aap ne kalaam ko daad o sitaaish ke qaabil samjha.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #11 on: November 05, 2014, 11:11:02 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Hriday ji is nawaazish ke liye aap ka shukriya
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #12 on: November 05, 2014, 11:13:39 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause
Rajigujral ji aap ka bohot 2 shukriya ke is tarh karm-farma huve.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #13 on: November 05, 2014, 11:18:37 AM »
Reply with quote
waah waah waah

Sksaini4 ji aap ka shukriya, aap ne na cheez ke kalaam ko tahseen ke laaiq samjha.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #14 on: November 05, 2014, 11:25:01 AM »
Reply with quote
[quote a

Haider Sahaab Aadaab O Assalaam ...!

Walaah janab kia kahne bahut khoob behad laa jawaab radiff ka istemaal kiya hai aapne. .. itne bade radiff ko bahut khoobi se nibhaya bhi hai ...

Behad laa jawaab ashaar huye haiN janab waaah aur bus waaaah hi nikal rahi hai ...
Is laa jawaab kalaam par humari hazaaroN dili daad kabul kijiye ...

Likhte rahiye... bazm meiN shirkat karte rahiye...
Shaad O aabaad rahiye..
Khuda Hafez... Usual Smile


thor=ParwaaZ link=topic=117449.msg1516121#msg1516121 date=1413053107]

Haider Sahaab Aadaab O Assalaam ...!

Walaah janab kia kahne bahut khoob behad laa jawaab radiff ka istemaal kiya hai aapne. .. itne bade radiff ko bahut khoobi se nibhaya bhi hai ...

Behad laa jawaab ashaar huye haiN janab waaah aur bus waaaah hi nikal rahi hai ...
Is laa jawaab kalaam par humari hazaaroN dili daad kabul kijiye ...

Likhte rahiye... bazm meiN shirkat karte rahiye...
Shaad O aabaad rahiye..
Khuda Hafez... Usual Smile


[/quote]
Mohtaram ParwaaZ ji aap ki khusoosi tavajjoh aur jin alfaaz meN aap ne adnaa si kaavish ko saraha aur meri hausla afzaaie ki hai us ka shukriya adaa karne se qaasir hoN. Allah aap ko jazaa e khair se nawaaze. Hamesha khush rakhe.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:02:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer