Ham apna dil kisi be dil se haar aaye to kya!

by Ghulam Haider on November 24, 2014, 03:05:06 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1110 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
Ham apna dil kisi be dil se haar aaye to kya!
Ham apni jaan bhi qaatil pe vaar aaye to kya!
==============================================

Chale the raah pe ulfat ki ham wafaa karne,
Hamaari raah me ab khaar-zaar aaye to kya!
==============================================

Khabar kisi ko nahiN hai sunaa kisi ne nahiN,
Kisi ko ham lab e daryaa pukaar aaye to kya!

==============================================
Hai  ab to apni ye haalat ke khud se haiN be zaar,
Kisi ke gham meN na dil ko qaraar aaye to kya!
==============================================

Koie to a’hd e wafaa kar ke ham ko bhool gayaa,
Kisi ki yaad hameN baar baar aaye to kya!
==============================================

Hamara ishq hai micl e nujoom o shams oqamar,
Kisi ko is pe na ab ie’tibaar aaye to kya!
==============================================

Hamaari rooh to daryaa e gham meN Doob gayi,
Bachaa ke jism jo toofaaN se paar aaye to kya!
==============================================

KhizaaN ke daur meN Haider kaTi hai umr tamaam,
Ab apne ba’d chaman meN bahaar aaye to kya!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mujhe Apna Banaane Aaye Ho.......Koyal by KOYAL46 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kisi ko na apna na sake by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
Dil Apna Kisi Par .......KAsh by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
Main kisi se haar maan nahi sakti… by cool neha in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
kisi ko apna rub mana tha by mauj in Shayri for Khumar -e- Ishq
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #1 on: November 24, 2014, 03:42:15 PM »
Reply with quote
waaaaaah bahut khoob Haider saheb.
Logged
jeet jainam
Khaas Shayar
**

Rau: 237
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
60 days, 12 hours and 13 minutes.

my rule no type no life and ,i m happy single

Posts: 10150
Member Since: Dec 2012


View Profile WWW
«Reply #2 on: November 24, 2014, 03:45:50 PM »
Reply with quote
Behad umda peshkash haider sir ji dherooooo daaaaaddd or rau kabool kijiye
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: November 24, 2014, 05:34:03 PM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #4 on: November 24, 2014, 07:35:42 PM »
Reply with quote


Haider Sahaab Aadaab ... !

Waah janab bahut khoob ... bade hi khoobsurat ashaar huye haiN...
Aik se badhkar aik sher haiN ...

Is umdaa kalaam par humari dheroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye ...
Likhte rahiye ... bazm ko roshan karte rahiye ...

Shaad O aabaad rahiye ...
Khuda Hafez ...
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #5 on: November 24, 2014, 08:15:11 PM »
Reply with quote
kyaa baat hai, bahut umdah.
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #6 on: November 25, 2014, 07:00:35 AM »
Reply with quote
Ham apna dil kisi be dil se haar aaye to kya!
Ham apni jaan bhi qaatil pe vaar aaye to kya!
==============================================

Chale the raah pe ulfat ki ham wafaa karne,
Hamaari raah me ab khaar-zaar aaye to kya!
==============================================

Khabar kisi ko nahiN hai sunaa kisi ne nahiN,
Kisi ko ham lab e daryaa pukaar aaye to kya!

==============================================
Hai  ab to apni ye haalat ke khud se haiN be zaar,
Kisi ke gham meN na dil ko qaraar aaye to kya!
==============================================

Koie to a’hd e wafaa kar ke ham ko bhool gayaa,
Kisi ki yaad hameN baar baar aaye to kya!
==============================================

Hamara ishq hai micl e nujoom o shams oqamar,
Kisi ko is pe na ab ie’tibaar aaye to kya!
==============================================

Hamaari rooh to daryaa e gham meN Doob gayi,
Bachaa ke jism jo toofaaN se paar aaye to kya!
==============================================

KhizaaN ke daur meN Haider kaTi hai umr tamaam,
Ab apne ba’d chaman meN bahaar aaye to kya!



waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa ah janaab alaa tareen ghazal ko rau ka nazaranaa pesh karta hoon Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #7 on: November 26, 2014, 03:00:36 PM »
Reply with quote
waaaaaah bahut khoob Haider saheb.
Bohot bohot shukriya mohtaram Iftakhar Ahmad sahib.
Ye aap ki mohabbat hai jo kalam ko pasand kiya aur daad o sitaaish se nawaza. Allah aap ko jaza e khair se nawaze.
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #8 on: November 26, 2014, 09:48:55 PM »
Reply with quote
Bahut khoob.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #9 on: November 27, 2014, 01:30:02 AM »
Reply with quote
Behad umda peshkash haider sir ji dherooooo daaaaaddd or rau kabool kijiye
Aap ki is pur khuloos daad aur dili mohabbat ke liye tah e dil se sipaas guzaar hooN. Shaad o aabaad raheN...
  Mukhlis : haider
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #10 on: November 27, 2014, 01:33:57 AM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob
Sksaini4 ji, is na cheez si kaavish ko sharaf e qabooliyyat se navaazne ke liye shukr  guzaar hooN. Mujhe khushi hai ke aap ko kalaam pasand aaya.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #11 on: November 27, 2014, 01:39:22 AM »
Reply with quote

Haider Sahaab Aadaab ... !

Waah janab bahut khoob ... bade hi khoobsurat ashaar huye haiN...
Aik se badhkar aik sher haiN ...

Is umdaa kalaam par humari dheroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye ...
Likhte rahiye ... bazm ko roshan karte rahiye ...

Shaad O aabaad rahiye ...
Khuda Hafez ...

Mohtaram ParwaaZ ji aap ki daad kalaam ko mustanad bana deti hai. Aap se is tarah daad o mubaarakbaad pa kar ye ehsaas hone lagta hai ke kalaam kisi qaabil tha. Aap ki dua'oN ke sahaare aur behtar likhne ki koshish karta rahooNga.
Taalib e dua'a : haider
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #12 on: December 02, 2014, 02:26:58 PM »
Reply with quote
kyaa baat hai, bahut umdah.
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Azizam surindarn ji aap ka intihaaie shukr guzaar hooN ke aap ne mere kalaam ko pasand farmaya aur daad se nawaza.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #13 on: December 02, 2014, 02:31:47 PM »
Reply with quote

waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa ah janaab alaa tareen ghazal ko rau ka nazaranaa pesh karta hoon Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Mohtaram "adil bechain" ji aap ne mere naa cheez se kalaam ko quote kiya aur us par daad de de kar himmat afzaayi ki. Aap ka tah e dil se shukriya. khush raheN...
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #14 on: December 02, 2014, 02:37:15 PM »
Reply with quote
Bahut khoob.
Janab "RavinderaRavi" ji kalaam pasand karne ke liye aap ka mamnoon hooN. Ummeed hai ki youN hi himmat afzaayi karte raheNge.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:20:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer