----- /// Hamare dard ko samajhna asaan nahi /// ----- klaskar

by klaskar on July 20, 2010, 09:30:43 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 8094 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
Reply with quote

yeh sach nahi ki kisi aur ke liye humne tumhe chhoda hai,
wajah kuch aur hi thi jis kaaran humne ye rishta toda hai,
tanhaayi to tumhare rehte bhi thi aur tumhare bina bhi hai,
tumhaare bina na kisi se dil joda tha na abhi tak joda hai,

wo lamha yaad ajata hai to dard se tadap uthta hai ye dil,
jab humne tumhe dekha tha kisi gair ki baahon me us din,
kabhi socha bhi hai tumne kya haal huwa hoga us pal hamara,
meri jaan hi meri jaan ki dushman ban gayi thi jis din,

aadat buri hai tumhari ki pehle khud hi chot pahuchati ho,
fir usi chot pe tum apni maasumiyat ki malham lagati ho,
jo baat zaraa si hai tumhaare liye wo mere liye nahi hai,
kyun meri mohabbat ko tum bachpan ka koi khel samajhti ho,

kehti ho ki mere yaadon me doobke raaton ko neend nahi aati,
tumhare baare me soch soch kar main ek pal so hi nahi paati,
khush ho tum apne sansar me fir ye pyaar ka dikhaawa kaisa,
kyun nahi kehti sach ki ab tumhe hamari yaad hi nahi aati,

tumpe bharosa kya karein hum ab to khud pe aetbaar raha nahi,
jise chaaha tha kabhi jaan se badhkar wo bhi ab apna nahi,
kehna to bada asaan hai ki tumne humein bewafa kyun kaha,
tumhaare beraham dil ke liye hamare dard ko samajhna asaan nahi...

*****HRIDAY*****
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #1 on: July 20, 2010, 03:50:38 PM »

Very Impressive Creation........Klaskar Ji....bahut umdaa nazm kahi hai aapne ...tahe dil se daad !
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #2 on: July 20, 2010, 09:04:32 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Naresh ji...!!!

Very Impressive Creation........Klaskar Ji....bahut umdaa nazm kahi hai aapne ...tahe dil se daad !
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: July 20, 2010, 11:01:15 PM »
Reply with quote
Dil janta hai aur ap bharosa kijiye iss baat ka Kapil dost kay meri ankhein bheeg gayi apki yeh kavita parrkar...5th stanza toh bas dil choo gaya..kay woh kyun sach nahin kehta kay ab teri yaad nahin ati..ab tujse mohobat na rahi..kay ab tujse behtar log hai zindagi main...bahaut khubsoorat dost... Applause Applause Applause Applause
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #4 on: July 21, 2010, 03:45:01 AM »
Reply with quote
dil udaas aur ruuh bechain ho gai hai
tere dard se ye aankhein bheeg gai hain..
nahin keh sakti ab kuch bhi main
in lafzon me meri soch ulajh gai hai.......
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #5 on: July 21, 2010, 08:29:52 AM »
Reply with quote
Wah Kalaskar ji achhi pesh-kash hai aapki.... Applause Applause Applause Applause Applause
Galatfehmi ka shikaar ho k dard mol le lia aapne..... sad11 sad7 sad5

Bahut kamjor hai pyaar tera bhole sanam
Hai kyu tujhe khud pey bhee aetbaar kam

Yu bina samjhe naa do tum mere pyaar ko illzaam
Achhaa nahee hota kaee baar sanam ess ka anjaam

Naa samjhe tum Aankho ka dekha bhee kayee baar sach nahi hota
Jis-se gale milte dekha wo USA se lauta rishte main mera bhai hota

yeh sach nahi ki kisi aur ke liye humne tumhe chhoda hai,
wajah kuch aur hi thi jis kaaran humne ye rishta toda hai,
tanhaayi to tumhare rehte bhi thi aur tumhare bina bhi hai,
tumhaare bina na kisi se dil joda tha na abhi tak joda hai,

wo lamha yaad ajata hai to dard se tadap uthta hai ye dil,
jab humne tumhe dekha tha kisi gair ki baahon me us din,
kabhi socha bhi hai tumne kya haal huwa hoga us pal hamara,
meri jaan hi meri jaan ki dushman ban gayi thi jis din,

aadat buri hai tumhari ki pehle khud hi chot pahuchati ho,
fir usi chot pe tum apni maasumiyat ki malham lagati ho,
jo baat zaraa si hai tumhaare liye wo mere liye nahi hai,
kyun meri mohabbat ko tum bachpan ka koi khel samajhti ho,

kehti ho ki mere yaadon me doobke raaton ko neend nahi aati,
tumhare baare me soch soch kar main ek pal so hi nahi paati,
khush ho tum apne sansar me fir ye pyaar ka dikhaawa kaisa,
kyun nahi kehti sach ki ab tumhe hamari yaad hi nahi aati,

tumpe bharosa kya karein hum ab to khud pe aetbaar raha nahi,
jise chaaha tha kabhi jaan se badhkar wo bhi ab apna nahi,
kehna to bada asaan hai ki tumne humein bewafa kyun kaha,
tumhaare beraham dil ke liye hamare dard ko samajhna asaan nahi...

*****HRIDAY*****
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #6 on: July 21, 2010, 08:42:04 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Kapilji..

Bahut Hi Khoobsurat Jazbaat Pesh Kiye hai Aapne..

bahut Ache Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #7 on: July 21, 2010, 01:44:22 PM »
Reply with quote
klaskar ji kuch koshish ki hai apni baat kehne ki....ummeed karti hun pasand aayegi aapko.....

Har lamha chaha jise usne hi bedardi se tukraya
Dil ke zakhmon ne pukara jise usne hi ek aur ghaaw lagaya

Har lamha simat ti rahi zindagi jiski aagosh me
Usne hi bejaaan samjhkar laash sa mujhko jalaya

Aankhon me talaashti rahi sapne jiski main
Usi ne mujhe andhe hone ka ehsaas dilaya

Kyun na samjh pai main iss dil ki chahat ka rang
Jis tasveer me bhi bhare usko kale rang me ranga paya

Mehfil sajai thi tere waste main apni panaah me
Tujhe usi mehfil se anjana awara tanha karke bhagaya

Har lamha tarasti rahi jiski bahon k sahare k liye
Wo samjha mujhe jab maine iss jahaan se apna pichha chudaya

Kabhi samne aaya mere to karengi aankhen meri tasveer ki
Kya kami thi mere pyaar me kyun mujhe iss taraf har bar aajmaya…..
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #8 on: July 22, 2010, 01:21:38 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Rahim bhai... main tahe dil se aapka shukriyaa adaa karta hoon...!!!

Dil janta hai aur ap bharosa kijiye iss baat ka Kapil dost kay meri ankhein bheeg gayi apki yeh kavita parrkar...5th stanza toh bas dil choo gaya..kay woh kyun sach nahin kehta kay ab teri yaad nahin ati..ab tujse mohobat na rahi..kay ab tujse behtar log hai zindagi main...bahaut khubsoorat dost... Applause Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #9 on: July 22, 2010, 01:22:02 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause

mera irada kabhi aapke aankhon ko bhigona nahi tha,
bas dil ki baatein main aapse yunhi keh gaya tha,
dil jaanta hai ki main aapko dard nahi dena chahta,
maine har lamha aapke hontho me muskaan hi chaha tha...

dil udaas aur ruuh bechain ho gai hai
tere dard se ye aankhein bheeg gai hain..
nahin keh sakti ab kuch bhi main
in lafzon me meri soch ulajh gai hai.......

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #10 on: July 22, 2010, 01:23:32 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Koyal ji...  aur aapne bhi bahut hi khoob likha hai...!!!

 Applause Applause Applause Applause

in jhooti baaton se ab tum mera dil na behlao,
mere aankhon dekhe sach ko tum yun na jhutlao,

wo bhai hai to zaraa ek baar use humse milwao,
mera sach jhoot tha mujhe ye yakeen to dilwao...

Wah Kalaskar ji achhi pesh-kash hai aapki.... Applause Applause Applause Applause Applause
Galatfehmi ka shikaar ho k dard mol le lia aapne..... sad11 sad7 sad5

Bahut kamjor hai pyaar tera bhole sanam
Hai kyu tujhe khud pey bhee aetbaar kam

Yu bina samjhe naa do tum mere pyaar ko illzaam
Achhaa nahee hota kaee baar sanam ess ka anjaam

Naa samjhe tum Aankho ka dekha bhee kayee baar sach nahi hota
Jis-se gale milte dekha wo USA se lauta rishte main mera bhai hota

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #11 on: July 22, 2010, 01:24:52 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Khwaish ji...!!!

Bahut Bahut Khoob Kapilji..

Bahut Hi Khoobsurat Jazbaat Pesh Kiye hai Aapne..

bahut Ache Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #12 on: July 22, 2010, 01:40:16 PM »
Reply with quote
bahut bahut khoob likha hai aapne Anamika ji... bahut khoobsurti se aapne apne ehsaason ko bayaan kiya hai... bahut khoob...!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

maine bhi koshish ki iske jawaab me kuch panktiyaan likhne ki...!!!

kahenge to hasoge, ye dard bhi ajeeb cheez hoti hai,
kahin pe aag lagti hai aur kahin se dhuan uthta hai,

afsaana bayaan kiya humne apne dard ka tumse aaj,
lag raha hai ki dard humein nahi wo to tumko hai,

daga humne diya to tumne kaunsa saath nibhaaya hai,
tumne bhi to hamare zakhmo pe khoob namak lagaya hai,

mohabbat tumne hi nahi humne bhi kiya tha tumse kabhi,
usi ka asar hai ki aaj bas aansoo hi hamara saathi hai,

kyun hum bewajah lad rahe hain jab kuch raha hi nahi,
kal tak jo hamari mohabbat thi aaj bas ek kahani hai,

jao tum apne raaste jaake apne liye khushiyaan dhund lo,
karlo roshan apni duniya, apna saathi to bas andhera hai,

zindagi ke is safar me kabhi bhoole se agar hum dikh jaayen,
keh dena "nahi jaanti main ise, ye mere liye koi ajnabi hai",

hum hi hat jayenge tumhare raste se alag apna rasta badalke,
samajh lenge us mulaqaat ko wo sach nahi koi jhoota sapna hai...

*****HRIDAY*****

klaskar ji kuch koshish ki hai apni baat kehne ki....ummeed karti hun pasand aayegi aapko.....

Har lamha chaha jise usne hi bedardi se tukraya
Dil ke zakhmon ne pukara jise usne hi ek aur ghaaw lagaya

Har lamha simat ti rahi zindagi jiski aagosh me
Usne hi bejaaan samjhkar laash sa mujhko jalaya

Aankhon me talaashti rahi sapne jiski main
Usi ne mujhe andhe hone ka ehsaas dilaya

Kyun na samjh pai main iss dil ki chahat ka rang
Jis tasveer me bhi bhare usko kale rang me ranga paya

Mehfil sajai thi tere waste main apni panaah me
Tujhe usi mehfil se anjana awara tanha karke bhagaya

Har lamha tarasti rahi jiski bahon k sahare k liye
Wo samjha mujhe jab maine iss jahaan se apna pichha chudaya

Kabhi samne aaya mere to karengi aankhen meri tasveer ki
Kya kami thi mere pyaar me kyun mujhe iss taraf har bar aajmaya…..
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #13 on: July 22, 2010, 02:32:38 PM »
Reply with quote
klaskar ji kuch meri taraf se aapki iss peshkash k samne....

kya khubb mere yaar tune ye ilzaam diya hai
mujhe bhi gairon ki bheed me khada kiya hai

dekhti rahi raasta har pal main tera
tune mere intezar ko mazak ka naam diya hai

meri har saan maine khoi tere waaste
tune mujhe auron se dillagi ka paigaam diya hai

kyun meri wafaaa ko na samjh paye tum
kyun tumne mujhe bewafa ka naam diya hai
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #14 on: July 23, 2010, 01:42:56 PM »
Reply with quote
Thanks Kapil-ji for your comments.... icon_flower angel11 angel11

Apne swaarth ko mujhe jhooti keh key na sahlaao
Kya sach hai jaante huye bhi tum yu na jhutlaao

Dil me shaq rakh k kabhee pyaar nahi hota
Bataaya n aankho dekha bhi sach nahi hota

Aa jaao tum ghar mere beshak kabhi bhi
Milwa dungi tumko mein bhaiyaa se mere

Par Samay ka tum ko rakhna hoga khayaal
Laut jaayenge wo America bees dino baad

Pyaar ko sanam khuda maante rahe hain hum
Tumhaare binaa bhee jeena jaante hain hum

Tumhaare shaq ney hila di hai pyaar ki buneeyaad
Toot gaya jab vishwaash tou ab kya karu fariyaad

bahut bahut shukriya Koyal ji...  aur aapne bhi bahut hi khoob likha hai...!!!

 Applause Applause Applause Applause

in jhooti baaton se ab tum mera dil na behlao,
mere aankhon dekhe sach ko tum yun na jhutlao,

wo bhai hai to zaraa ek baar use humse milwao,
mera sach jhoot tha mujhe ye yakeen to dilwao...

Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:17:26 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.159 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer