----- /// Hamare dard ko samajhna asaan nahi /// ----- klaskar

by klaskar on July 20, 2010, 09:30:43 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 8127 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #15 on: July 25, 2010, 09:36:29 PM »
Reply with quote
bahut khoob likha hai aapne Kasak ji... !!!

na to mai tumhe bewafaa kehta hoon na koi shikayat karta hoon,
main to ab ishq aur mohabbat ke bhi naam se bahut darta hoon,

kami kuch mujhme hi rahi hogi aaj is baat ka iqraar karta hoon,
tum maano ya na maano main aaj bhi tumse bahut pyaar karta hoon,

zindagi ki sooni raahon me main aaj bhi tumhaara intezaar karta hoon,
hothon se chahe kuch bhi kahun par dil se tumpe aetbaar karta hoon,

tumhaari judaaai ka dard hai jiske kaaran main shikayat karta hoon,
warna sach to ye hai ki har saans ke saath main tumhe yaad karta hoon...

klaskar ji kuch meri taraf se aapki iss peshkash k samne....

kya khubb mere yaar tune ye ilzaam diya hai
mujhe bhi gairon ki bheed me khada kiya hai

dekhti rahi raasta har pal main tera
tune mere intezar ko mazak ka naam diya hai

meri har saan maine khoi tere waaste
tune mujhe auron se dillagi ka paigaam diya hai

kyun meri wafaaa ko na samjh paye tum
kyun tumne mujhe bewafa ka naam diya hai
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #16 on: July 25, 2010, 09:39:44 PM »
Reply with quote
U are always welcome Koyal ji.... aur ek aur khoobsurat peshkash hai ye aapki...bahut achcha likha hai aapne... waise kya baat hai aap to hasne hasaane waali ladki hain... isme itni udaasi kyun... Ye lijiye hum hi haar maan lete hain...!!!


meri kahi baaton ko tu sach na samajh jaana,
ye to tujhe sataane ka mera tha koi bahaana,

chidti hai tu mujhse to lagti hai bahut khoob,
mujhe bahut pasand hai tera gusse se barbarana,

bhai se kab milwaayegi mujhe tu ye mujhe batana,
maang lu tera haath main, zaraa jaldi tu milwaana...


Thanks Kapil-ji for your comments.... icon_flower angel11 angel11

Apne swaarth ko mujhe jhooti keh key na sahlaao
Kya sach hai jaante huye bhi tum yu na jhutlaao

Dil me shaq rakh k kabhee pyaar nahi hota
Bataaya n aankho dekha bhi sach nahi hota

Aa jaao tum ghar mere beshak kabhi bhi
Milwa dungi tumko mein bhaiyaa se mere

Par Samay ka tum ko rakhna hoga khayaal
Laut jaayenge wo America bees dino baad

Pyaar ko sanam khuda maante rahe hain hum
Tumhaare binaa bhee jeena jaante hain hum

Tumhaare shaq ney hila di hai pyaar ki buneeyaad
Toot gaya jab vishwaash tou ab kya karu fariyaad



Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #17 on: July 26, 2010, 03:44:12 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

mind blowing replies klaskar ji........
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #18 on: July 26, 2010, 05:07:50 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Kasak ji... par aap bhi kuch likhte to achcha lagta ...!!!

Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

mind blowing replies klaskar ji........
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #19 on: July 26, 2010, 05:59:06 AM »
Reply with quote
likhenge ji thoda intezar kijiye
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #20 on: July 26, 2010, 01:26:04 PM »
Reply with quote
Ji shukriya... humein intezaar rahega...!!!

likhenge ji thoda intezar kijiye
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #21 on: July 26, 2010, 07:05:28 PM »
Reply with quote
bahut khoob likha hai aapne Kasak ji... !!!

na to mai tumhe bewafaa kehta hoon na koi shikayat karta hoon,
main to ab ishq aur mohabbat ke bhi naam se bahut darta hoon,

kami kuch mujhme hi rahi hogi aaj is baat ka iqraar karta hoon,
tum maano ya na maano main aaj bhi tumse bahut pyaar karta hoon,

zindagi ki sooni raahon me main aaj bhi tumhaara intezaar karta hoon,
hothon se chahe kuch bhi kahun par dil se tumpe aetbaar karta hoon,

tumhaari judaaai ka dard hai jiske kaaran main shikayat karta hoon,
warna sach to ye hai ki har saans ke saath main tumhe yaad karta hoon...

aapke reply k aage mera jawab shayad aapko pasand na aye....lekin bas yehi feelings hain iss pal dil me...jo humne keh di..

nahin kehta tu kuch mujhse bas chup chap rehta hai
yehi tera dard mujhe andar hi andar tadpata hai

teri aankhon se nahin behte aansu magar jaan meri
tera dil lahu se sane hue ashk chup rehke peeta hai

teri khamoshi mujhe har pal til til maarti hai
kyun meri ye baat tu nahin samjhta hai

keh de har dard har taklif jo maine di hai tujhe
mera dil tujhse har uss khata ki saza mangta hai

ab nahin keh paungi kuch main tujhe manane ko meri jaan
mera har aanewala pal meri maut ki dua me beettta hai...!!
![/color][/b]
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #22 on: July 28, 2010, 06:47:20 AM »
Reply with quote
Kasak ji aap bhi na kabhi kabhi chot kar deti hain... aisa kyun kehti hain baar baar ki aapka likha humein pasand nahi aayega ... bahut bahut pasand aaya humko...

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
bahut achcha likha hai aapne... sach ... dil se kehta hoon... par bahut painful hai...

ye lijiye hamara jawaab tayyar hai...


kuch pal ke milan ke baad barso ki judai se dar lagta hai,
kuch pal ki tujhe khushiyaan deke dard dene se dar lagta hai,

tujhe meri baaton ki aadat na pad jaaye isiliye main chup rehta hoon,
tere har dard ko samajhta hoon main par tujhse kehne se dar lagta hai,

mere aansoo dekh kahin tu bhi na ro de isiliye main nahi rota hoon,
apne aansoo to main pi leta hoon par tere aansuon se dar lagta hai,

tu ne mujhe bas khushiyaan hi di hain, teri wajah se koi dard nahi hai,
kuch apni hi majbooriyaan hain jinhe zaahir karne se dar lagta hai,

khud se bhi jyaada chahta hoon main tujhe, tere liye main jaan bhi de dun,
main na rahun to kaun chahega tujhe itna yahi soch ke mujhe dar lagta hai...
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #23 on: July 28, 2010, 07:23:26 AM »
Reply with quote
hayeeeeee rabbbaaaaa.........kya mastam reply diya hai aapne......ufffffffff ab kya kahun....



 
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #24 on: July 28, 2010, 07:39:47 AM »
Reply with quote
hahahahahahahaah..... itna pasand aaya kya aapko  hamaara jawab.... shukriya Kasak ji..... intezaar rahega aapke jawaab ka ...!!!
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:42:07 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer