Ritesh Modi
Guest
|
|
|
woh josh-e-junoon, woh khoon ki rawani, thi woh meri jawani ki nishane,
mehfil-e saja karti thi jaha se ham guzarte the, gulistan ke phool bhi toh ham hi se mehakte the,
bade khoobsurat khwab ham ne sajaye the, zindage ki har raah per ham muskuraye the,
phir jaane kab unka didaar hua, jaane kaise unse pyaar hua,
unhone bhi toh izhaar kiya, pyar ke badle mein pyaar diya,
duniya badi haseen hame lagne lagi thi, jis din woh hame dekh muskurane lagi thi,
apni duniya ko ham ne bas unmein sameta tha, unko paane ki chah ko zindagi se lapeta tha,
har pal dil bus unka didaar ko tarasta tha, itna pyar kiya ki har shaksh ham par hasta tha,
logo ne kaha ek aur naam likhlo deewano mein, dil bada khush hota tha jab yaar mera ye sun hasta tha,
yaar ne mere pyar ki kasmein thi khayi, saath jeene merne ki zid thi jatayi,
phir jaane kya wajah hui mere dil ko jalane ki, na socha tha jo, woh din dikhlane ki,
ekdum se woh badal gaye. wadon ko toh chodo woh hamko hi bhool gaye, saath kisi aur ka pa, woh hamse jaise rooth gaye,
duniya hamari uss din ujadi thi, jis din doli mere yaar ki uthni thi,
dil toota bhi hamara aur awaaz bhi hui thi, bas uss bewafa hi ne woh awaaz nahi suni thi,
abh dard ka daur tha aur ruswayio se bhara manzar, ashq tha aankho mein aur zakhmo bhara jahaan,
jeete bhi toh kaise, ki yaadein unki har pal satati thi, har aane wali khushi ko, gam ki nazar lag jaati thi,
bas abh nahi hota tha aur bardast, ke raatein bahut rote hue ham ne kaati thi,
phir jab hamara janaza nikala, toh sara jahan pichhe uss janaze ke nekala,
bas woh hi na nikala darwaze se, jiske pichhe mera janaza nikala....
|