Hum Bhool Na Sakengai!!!!!

by Daredevil on October 27, 2008, 02:36:22 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2081 times)
Daredevil
Guest
Reply with quote
Uss Shaam Woh Rukhsat Ka Samaan Yad Rahay Ga
Woh Shaher, Woh Kocha, Woh Makan Yad Rahay Ga

Woh Tees Kay Ubhree Thee Idher Yad Rahay Gee
Wog Dard Kay Utha Tha Yahan Yad Rahay Ga

Hum Shook Kay Sholay Key Lapak Bhool Bhe Jain
Woh Shamay Fasurda Ka Dhuwan Yaad Rahay Ga

Haan Bazm-e-Shabana Main Huma Shook Jo Uss Din
Hum Thay Tairee Janab Nigraan Yaad Rahay Ga

Kuch Mir Kay Abyaat Thay, Kuch Faiz Kay Misray
Ik Dard Ka Tha, Jin Main Biyaan Yaad Rahay Ga

Ankhoon Main Sulaghtii Howi Wahshat Kay Jaloo Main
Woh Hairat-o-Hasrat Ka Jahan Yaad Rahay Ga

Jaan Bux See Uss Barg-e-Gul-e-Tar Key Tarawat
Woh Lamas Aziz-e-Do Jahan Yaad Rahay Ga

Hum Bhool Sakay Hain Na Tujhay Bhool Sakain Gay
Too Yaad Rahay Ga, Humain Haan Yaad Rahay Ga


BM
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
bhool by Pooja in Miscellaneous Shayri
Bhool Ja by bazish in Shayri for Dard -e- Judai
eik bhool by hafza in Shayri-E-Dard
Tum hume bhool gaye,bhool gaye by karan q in Shayri for Dard -e- Judai
bhool by Anonymous in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Daredevil
Guest
«Reply #1 on: October 27, 2008, 04:07:22 PM »
Reply with quote
Mohabbat Mein Chin Gayi Izaat Koi Baat Nahi
Tu Nay Ki Be-Wafai Koi Baat Nahi

Mar Nahi Jatey Hai Marnay Waloo K Sath
Tera Sahara Nahi To Koi Baat Nahi

Zindagi Mein Mujhay Millay Hai Dukh Bay-Shumaar
Shoroo Say Hai Yeh Silsala Koi Baat Nahi

Darta Tha Main Bohaat Zalim Samaaj Say
Jab Tak Tha Tera Sath Kahaa Koi Baat Nahi

Chaha Tha Main Nay Aap Ko Sab Say Barh Kar
Hum Nahi Thay Is Laaiq Koi Baat Nahi

Is Qadar Seega-Raaz Rakha Tha Mohabbat Ko
Poocha Dil Nay Bhi To Kaha Koi Baat Nahi

Kehti Hai Auroo Say K Pagal Hoo Main
Chalo Issi Mein Hai Achai Koi Baat Nahi

Mujhay Chor Kar Jab Tu Nay Apna Liya Kissi Ko
Tujhay Deekh Kar Hosh Nay Kaha Koi Baat Nahi

Mohabbat Mein Ruswa Loog Hotay Hai Bohaat
Zinda Ho Issi Khayaal Say Koi Baat Nahi

Socha Tha Teray Sang''Rishi''Ghuzar ay Ga Zindagi
Tu Muqaddar Mein Nahi Hai To Koi Baat Nahi !!


NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #2 on: October 27, 2008, 04:07:42 PM »
Reply with quote
Dua ki soorat main uski khatir,
Jo mairy honton se lafz niklay,
Jo meri ankhon se ashk niklay,
unhi ke badle main, Ae KHUDAA,
jab bhi uska naseeb likhna
"UROOJ likhna, Kamal likhna,
kabhi na lafz-e- zawal likhna"


NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #3 on: October 27, 2008, 04:08:00 PM »
Reply with quote
Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker

Chand Nikla Hai Teri Aankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker

Meri Jaagi Huyi Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Banker

Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai Jo Sheron Ki Tarah
Meray Hontoon Pay Machalta Hai Jo Naghma Banker

Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rouh Main Phail Gaya Hai Woh Ujala Banker

Mera Kya Haal Hai Yeh Aakay Kabhi dekh To Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hoa Vada Banker


NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #4 on: October 27, 2008, 04:09:18 PM »
Reply with quote
Main ab khayalon me teri tasveer banaun magar kaise,
Tu hi bata, haal-e-dil tujhe sunaun magar kaise...
Jo mahal banaye the khwabon me humne,
In mahalon me wafa ke deep jalaun magar kaise...
Mohabbat, wafa, chahat sab toot chuke hain,
Ab main khud ko kisi khilone se behlaun magar kaise...
Apne aas paas jo tanhayion ke mele dekhe to khayal aaya,
Tumhari tarah main bhi bewafa banjaun magar kaise.



NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #5 on: October 27, 2008, 04:09:40 PM »
Reply with quote
Sochta houn kay usay NEEND bhi aati hogi
Ya faqat meri tarhan ashk bahati hogi

Woo meri shakal mera nam bholanay wali
Apni tasveer say kiya ankh milati hogi

Sham hotay hee woo chokhat pay jala kay shamain
Apni palkoun pay kai khawab solati hogi

Uss nay silwa bhi liya houn gai siyah rang libas
Abb moharam ke tarhan eid manati hogi

Hoti hogi meray BOOSAY le talab main pagal
Jub bhi zulfoun main koi phool sajati hogi


NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #6 on: October 27, 2008, 04:10:38 PM »
Reply with quote
Mein Lafzooon Mein Kuch Be Ezhaar Nahi Karta
Iss Ka Matlab Yeh Nahi K Mein Pyar Nahi Karta

Chahta Hoon Mein Tujhy Aaj Bhi Par
Teri Sooch Mein Apna Waqt Beqar Nahi Karta

Tamasha Na Ban Jaye Kahain Meri Muhabbat
Iss Liye Mein Apne Dard Ka Ezhaar Nahi Karta

Jo Kuch Milla Hay Oss Mein Khush Hoon Mein
Tere Liye KHUDA Se Takrar Nahi Karta

Par Kuch Tooo Baat Hay Teri Fitrat Mein "Rishi" warna
Mein Tujhy Chahne Ki Khata Bar Bar Nahi Karta...

NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #7 on: October 27, 2008, 04:11:10 PM »
Reply with quote
HazaaroN KHwahishaiN 'eisee ke har KHwahish pe dam nikle
bohot nikle mere armaaN lekin fir bhee kam nikle

nikalna KHuld se aadam ka sunte aayaiN haiN lekin
bohot be_aabru hokar tere kooche se ham nikle

mohabbat meiN naheeN hai farq jeene aur marne kaa
usee ko dekh kar jeete haiN jis kaafir pe dam nikle

KHuda ke waaste parda na kaabe se uThaa zaalim
kaheeN 'eisa na ho yaaN bhee wohee kaafir sanam nikle

kahaaN maiKHaane ka darwaaza 'GHalib' aur kahaaN waaiz
par itana jaante haiN kal wo jaata tha ke ham nikle ....


NM
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: October 27, 2008, 04:44:48 PM »
Reply with quote
HazaaroN KHwahishaiN 'eisee ke har KHwahish pe dam nikle
bohot nikle mere armaaN lekin fir bhee kam nikle

nikalna KHuld se aadam ka sunte aayaiN haiN lekin
bohot be_aabru hokar tere kooche se ham nikle

mohabbat meiN naheeN hai farq jeene aur marne kaa
usee ko dekh kar jeete haiN jis kaafir pe dam nikle

KHuda ke waaste parda na kaabe se uThaa zaalim
kaheeN 'eisa na ho yaaN bhee wohee kaafir sanam nikle

kahaaN maiKHaane ka darwaaza 'GHalib' aur kahaaN waaiz
par itana jaante haiN kal wo jaata tha ke ham nikle ....


NM

Mere Bade Pita ji (Grand Father) aor meri Fav. Gazal!!

HazaaroN KHwahishaiN 'eisee ke har KHwahish pe dam nikle
bohot nikle mere armaaN lekin fir bhee kam nikle ..............

Good collectiona and nice sharing Rishii ji!!
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #9 on: October 27, 2008, 04:47:58 PM »
Reply with quote
Thanku Pooooja Ji

Ab kay yu dil ko saza di hamnay
Uski har baat bhuladi hamnay
Ek ek phool bohat yaad aaya.
Shaakh –e- gul jab wo jala di humnay

Aaj tak jis par who sharmatey rahe..
Baat who kab ki bhuladi hamnay..

Sheher –e- jaha rakh se abaad hua .
Aag jab dil ki bujhadi humnay.
Aaj phir bohat yad aya woh
Aaj phir usko dua di humnay..

Koi to baat thi us mei ai MUJAHID
Har khushi jis par luti di humnai....


NM
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #10 on: October 27, 2008, 05:21:46 PM »
Reply with quote
Nice sharing Rishii Ji
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #11 on: October 27, 2008, 05:23:02 PM »
Reply with quote

Thanku Sir

koi to tha jo mera apna tha,
jis ne jeena sikhaya woh mera apna tha,
dil to bikhar chuka tha toote huy mootieon ki tarha
dil ko jis ne sawara woh mera apna tha,
kho chuki thi umeed khushiyan pane ki,
khusiyan jis ne sametien woh mera apna tha,
kehta tha sath doon ga saat janmoon ka ,
beech rah mien jo chhor gaya woh mera apna tha,
shikva bus itna hai ye k wo Apna tha!!!
NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #12 on: October 27, 2008, 05:29:05 PM »
Reply with quote
Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi!!!


NM
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: October 28, 2008, 04:08:04 AM »
Reply with quote
Apna likha bhi kuch likhe Rishii ji
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #14 on: October 28, 2008, 09:52:32 AM »
Reply with quote
Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi!!!


NM
Beautiful sharing Rishi bohat bohat maza aaya nice sharing yaar specially the 2 lines i loved most. Yehi bohat hain ke tum dekhte ho sahil se, Safeena doob raha hain to koi baat nahi . i will definately memorize this poem shared by u.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:32:14 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer