Humaari galti kya thi

by lay_a_bet on July 30, 2006, 08:22:24 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1661 times)
lay_a_bet
Guest
Reply with quote
Jabhi tanhai mein dil rota hai
aksar yeh ehsaas hota hai
agar tum hoti toh kya hota
magar wahi hota hai jo manzoore khuda hota hai

Tum mujhse chup gaye ho magar
tumhe yeh pata nahi
dhoond lenge hum bhi tumhe
aaj nahi toh kal sahi

Hai agar tumhe kisi aur ki baaton par yakeen
toh is mein galti kya hai humari
tumhaare liye jhutey they hum
aur humare liye jhuti duniya saari

Yeh kya kehe diya tumne
ki teer ki tarah chubi hai tumhaari baatein
din toh hum guzaar hi lenge
magar yeh kambakht lambi raatein

Khulegi aankh kabhi na kabhi tumhari
pachtave tumhe bhi zaroor hoga
aankhon mein aasoon liye aaoge tum ek din
magar waqt guzar chuka hoga

siskiyaan le le kar roye hai hum bhi
un aansoo o ka hisaab kaun chukayega
tumhe bhi rulaayega koi ek din
haan,aisa waqt zaroor aayega

samjhaate samjhate tumko zindagi guzar gayi
par tum samajhna hi nahi chaahate they
kaash tumne meri baaton par thoda gaur kiya hota
toh aaj tum itna nahi pachtaate they

kisi aur ki bahon mein tumhe dekh kar
main roya toh bohot tha
dukh is baat ka nahi ki tu kisi aur ki hai
gham to is baat ka hai , ki woh shaqs mera yaar tha

Ishq ka matlab tumne mujhe sikha diya
pyaar ka asli roop dikha diya
aye jaane ja yeh tumne kya kiya
aaj phir mujhe rula diya

ek din sabka hisaab loonga
eeth ka jawab patthar se doonga
marna toh sabhi ko hai ek din
jaate jaate tujhe dekh loonga

Tere yeh aashiq se bad kar koi aashiq nahi
agar main hi tujhe pyaar nahi kar paya to
Nafrat ho jaayegi mujhe apni  zindagi se
agar main tujhe yeh ehsaas nahi kara paya toh

Nafarat hai mujhe un jhoote kasmo se
jo tum mujhe kabhi diya karte they
kitne bewkoof they hum bhi
jo tum pe bharosa kiya karte they

Kahi saal baad tumko dekh kar
hum khud ko rokh na paye
khushiyon ke lamhon ke beech
aaj phir meri aankhon mein aansoo aaye.





[/img]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Humaari galti kya thi by lay_a_bet in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Aaye Humaari Kareeb Woh by Carya in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
***Humaari Khushio'n Ki Khaatir*** by AVTAR RAYAT in Shayri-E-Dard
Wo humaari mulaqat ke din the.. by Mirza Nazar in Shayri for Dard -e- Judai
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: September 26, 2006, 10:23:54 AM »
Reply with quote
Waah Dost Bahoot Khoob Likha Hai,..
Nice OneKeep Going,..
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #2 on: September 26, 2006, 10:41:31 AM »
Reply with quote
very nice...................keep goin'..



hamari galtiyo per tumne
uthayi hai ungliya kai
 per kya kabhi jhankkar
khudko sheeshe mai uatakar
apna bhi daman dekha hai
dekho zara unme bhi kitne hai sikwe-gile
hai kitne aise lamhe jo nasoor bankar the khile

per kabhi labo ne mere
tumse na kuch kaha hai
marta raha hoon har ek pal mai
sab chupchaap saha hai
sayad jaanta hoon main ki chup rehna hi bhala hai
tumse kehkar bhi dard apna, kab ,kya mujhko mila hai............
kuch nahi .............haan kuch nahi hai pass tumhaare
 siwaye in bebawafayi ki baaton ke
adhure se dhoondhlaate din ke
suramayi andheri raaton ke...............kuch nahi ............hai kuch nahi siwaaye ashko ki barsaato ke.

...................@fahi@......................
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: September 27, 2006, 08:53:17 AM »
Reply with quote
nice ONE
 Yaar PJAG,..
Bahoot Dino Baad Aaye Ho Aur Zabardast Aaye ho,..
Keep Going
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #4 on: September 30, 2006, 07:43:17 AM »
Reply with quote
thanx janasheen ji .........per tarif inki kijiye meri nahi,suruaat to inhi ki thi na............
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:31:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer