Ishq Mein Hum Tumhe Kya Bataayein,..

by Jaanasheen on July 07, 2006, 02:14:47 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3889 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Reply with quote
Ishq Mein Hum Tumhe Kya Batayein, Kis Kadar Chot Khaaye Hue Hain,..
Maut Ne Humko Mara Hai Aur Hum, Zindagi Ke Sataaye Hue Hain,..

Usne Shaadi Ka Joda Pehankar, Sirf Chuma Tha Mere Kafan KO,..
Bas Usi Din Se Jannath Ki Hoorein, Mujhko Dulha Banaaye Hue Hain...

Surkh Aankhon Mein Kajal Laga Hai, Rukh Pe Gazaa Lagaye Hue Hain,..
Aise Aaye Hain Mayyat Pe Meri, Jaise Shaadi Mein Aaye Hue Hain,..

Aye Lehat Apni Mitti Se Kehde, Daag Lagne Na Paaye Kafan Ko,..
Aaj Hi Humne Badle Hain Kapde, Aaj Hi Hum Nahaaye Hue Hain,..

Bikhri Zulfein Pareshaan Chehra, Ashq Aankhon Mein Aaye Hue Hain..
Aye Ajal Tehar Jaa Chand Lamhe, Wo Ayadat Ko Aaye Hue Hain,..

Dushmano Ki Shikayat Hai Baakhi, Doston Se Gila Kya Kareinge,..
Jhar Juke Jin Darrakhton Ke Patte, Phir Kahan Unke Saaye Hue Hain,..

Kya Hai Anjaam-e-Ulfat Patangon, Jaake Shamma Ke Nazdeek Dekho,..
Kuch Patango Ke Laashein Padi Hai, Par Kisi Ke Jalaaye Hue Hain,..

Katal Ke Waqt Sab Doston Ne, Ye Chukaya Mohabbat Ka Badla,..
Daal Di Khaakh Mere Badan Par, Ye Na Socha Nahaaye Hue Hain,..

Unki Tareef Kya Poochte Ho, Umar Saari Gunaaho Mein Guzri,..
Farsa Ban Rahe Hain Wo Aise, Jaise Ganga Nahaaye Hue Hain,..

Zindagi Mein Na Raas Aayi Rahat, Chain Se Ab Sone Do Lehat Mein,..
Aye Farishton Na Chedo Na Chedo, Hum Jahan Ke Sataaye Hue Hain,..

Khoi Khoi Si Bechain Aankhein, Bekarari Hai Chehre Se Zaheer,..
Hona Ho App Bhi Meri Tarah Ishq Ki Chot Khaaye Hue Hain,..

______________________-Ata Ullah Khan-__________________
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: July 07, 2006, 02:16:52 PM »
Reply with quote
Maut Ka Gham Nahi Hai,
Gham To Ye Hai Aaj Bhi Tu Mere Ghar Nahi Hai,,..
Teri Aagosh Mein Jaan Nikle,
 Aisa Mera Mukadaar Nahi Hai,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: July 08, 2006, 07:15:27 AM »
Reply with quote
Anjan Ho Tum Mere Sitam Se Jo Guzre Hain Mujpar Tumhare Jaane Ke Baad,..
Kis Kadar Roya Hoon Main Tanha Raaton Mein Ek Baar Muskuraane Ke Baad,..

Bahoot Tardpa Hoon Main Wafa Paane Ke Liye Tumse,..
Phir Bhi Tanha Hoon Dekho Main Mehfil Mein Aane Ke Baad,..

Samajhkar Jise Humraaz Maine Dil Ka Haal Sunaya,..
De Gaya Wohi Dagaa Mujhe Mera Haal Jaan-ne Ke Baad,..

Sach Kehte The Log Ke Mohabbat Char Din Ki Bahaar Hai,.
Ab Kali Ki Hasrat Main Kya Karoon Chaman Lootaane Ke Baad,..

Sitam Zamaane ke Pal Pal Mujhpar Bardte Gaye,..
Ro Rahein Hain Dekho Dekho Sab Mujhe Azmaane Ke Baad,..

Ek Main Hoon Jo Gham Sehkar Bhi Muskura Raha Hoon,..
Log To Toot Jaate Hain Thokarein Khaane Ke Baad,..

Aaj Bhi Teri Raah Ko Roshan Karta Hai Ghar Mera,..
Jo Kabhi Ban Gaya Raakh Tere Jalaane Ke Baad,..

Tere kadmo Ki Dhool Ko Bhi Maine Chahat Ki Nishani Samjha,..
Aur Tum Rote Ho Kyun, Hamari Hasti Mitaane Ke Baad,,,.

Jahan ke Sataye Hue Hain Hum, Kabar Mein Kahin Rahat Mile,..
Farishton Na Cherdo Hume Warna Ro Padoge Mujhe Sataane Ke Baad,..

Kehte The Jo Hume Zindagi Apni Hume "Jaanasheen",..
Baith Rahe Hain Dekho Ab Wo Doli Mein Mujhe Dafnaane Ke Baad,..

________________________-Azeem-______________________
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: July 08, 2006, 07:23:37 AM »
Reply with quote
Meri Barbaadion Par Na Manao Is Kadar Jashan Yaaron,..
Ke Maine Paayi Hai Rahat Ab, Sadiaan Gumnaami Mein Bitaane Ke Baad,..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4 on: July 10, 2006, 06:11:09 AM »
Reply with quote
Bahut khoooooob azeem ji...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #5 on: July 10, 2006, 06:12:37 AM »
Reply with quote
Zindagi Ne Maut Se Parda Kiya
Aye Kafan Tune To SharMinda Kiya...

Unko Aana Tha Na Aaye Aur Yahan
Marnewala Raasta Dekha Kiya...

Koi Bhi Mehfil Ho Ji Lagta Nahi
Uski Yaadone HaMein Tanha Kiya...

Tha Use Kitna Bichhadne Ka Malaal
Jaate Jaate Wo Mujhe Dekha Kiya...
* * * * *
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: July 11, 2006, 09:51:17 AM »
Reply with quote
Quote from: "angel4u"
Bahut khoooooob azeem ji...


Shukriya Angel Ji,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: July 11, 2006, 09:52:51 AM »
Reply with quote
Quote from: "angel4u"
Zindagi Ne Maut Se Parda Kiya
Aye Kafan Tune To SharMinda Kiya...

Unko Aana Tha Na Aaye Aur Yahan
Marnewala Raasta Dekha Kiya...

Koi Bhi Mehfil Ho Ji Lagta Nahi
Uski Yaadone HaMein Tanha Kiya...

Tha Use Kitna Bichhadne Ka Malaal
Jaate Jaate Wo Mujhe Dekha Kiya...
* * * * *


Waah Angel Ji Bahoot Khoob,..
Nice One,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: September 26, 2006, 10:17:54 AM »
Reply with quote
Barbaadion Ka Sabab Ban Gayi Ye Mohabbat Uski,..
Pehla Milaa Karti Thi Jiske Dum Se Rahaatein Mujhe,..

____________________________________-Jaanasheen-
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #9 on: September 27, 2006, 08:56:37 AM »
Reply with quote
Kaya kahe ai jeene wale
kabhi mar ke bhi dekh
isme bhi bahut maza hai....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: September 27, 2006, 09:39:51 AM »
Reply with quote
Waah Bhai Do Labzon Mein Bahoot Gehri Baat kehdi,..

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: September 27, 2006, 09:45:03 AM »
Reply with quote
Quote from: "vikas2210"
Kaya kahe ai jeene wale
kabhi mar ke bhi dekh
isme bhi bahut maza hai....


Gul Chadaaeinge Lehat Par Jinse Ye Umed thi,
Wo Bhi Pathar Rakh Gaye Seene Par Dafnaane ke Baad,..
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #12 on: September 27, 2006, 10:20:35 AM »
Reply with quote
Shukriya JS bahi.......

saari umar mitti dalte rahe mere karmo par
dekho in namuradon ko janaze par phool daal rah hai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: October 01, 2006, 04:21:12 AM »
Reply with quote
Quote from: "vikas2210"
Shukriya JS bahi.......

saari umar mitti dalte rahe mere karmo par
dekho in namuradon ko janaze par phool daal rah hai


Waah Bhai Bahoot Khoob,..

Zaleem The Yaaron Mere Chahne Waale Is Zamaane Mein,..
Aaj Bhi Daal Rahe Hain Dekho Khaakh Wo Meri Laash Par,..

________________________________________-Jaanasheen-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: October 09, 2006, 05:13:33 PM »
Reply with quote
Main Rahoon Ya Na Rahoon Yaad Aaoonga Sab Ko Ek Din,..
Kahoge Tum Bhi Kisi Se Ke Tha Ek Shaks Jisne Mohabbat Ki Thi Kabhi,..

________________________________________________-Jaanasheen-
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 07:07:08 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer