Kaash...Tum Fankaar bann Jao...

by nirbhay on June 11, 2006, 02:49:58 PM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 4398 times)
nirbhay
Guest
Reply with quote
Mujhe Ye Zeed nahi ke tum mere Galley ka Haar ho jao
Akhela Bhi Chor dena humein, Agar tum khush waar ho jao

Bhot Jaldi Samajh mein ghool jaane lagty ho Zamane ki
Asaan to nahi thee mere khatir, kuch zamane ke liye bhi Duswaar ho jao

Meri MulaQatein zaraa kamm hoti hai tumse
Mein chahta hoon Tum harr MulaQat mein Nikharti hui wafaa daar ho jao

Mulaqakto mein merii bhi wafa ka hona zaroori hai
Soo tum ek Din Judaaee ke liye bhi Tayaar ho jao..

Chal chalati Dhoop ke Sehra Se aata hai koi bhi tumahare pass
Iska matlab ye nahi ki tum uskii Saya-e-Dewaar ho jao

Darya dilii ka Badaa Shouk hai tumhein Dill lagi ka bhi
Mein Chahta Hoon, Hum Chahat ki Mishaal baneIN sabke Khatir..
Mein Wafaa ki Murti bann jaun, Tum sabse paak mazaar ho jao..

Kal ka Suraaj mein bahut tumahari Roshni Sunil hogi..jhil mill hogi
Mein chup ho kar dekh Rahaa hoon, Tum Zaraa aaur Be-zaar ho jao

Bass mein chahta hoon tumhare pass dene ko jhoti tasali na ho
Aajaaye Jo aaisa dinn, Mujhse kahe binn tum Muntazaar ho jao

Humein kya pataa tha azaal se hi, ke apni kismat mein ranjh rakha hai
Mehan rakha hai, Sitam rakhya hai, aaur siraf Ghum hii ghum rakhya hai
Kaash mere inn ankahe sawaalon ka tum jawaab bann jao
Kaash ke tum hii mere jajjbaat ka ek khubsurat Fankaar bann jao..
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #1 on: June 11, 2006, 04:14:36 PM »
Reply with quote
Insa ki fitrat kya kahiye, murdon main khazana doond liya,
kahaan bechein zism ke ango ko, uska bhi thhikana doond liya.

chhodein na marghat mein wo kafan, kerte na her tan ko wo dafan,
insa ki keemat kutchh bhi nahi, apno ne nishana doond liya.
Logged
Tina Sheikh
Guest
«Reply #2 on: June 11, 2006, 04:16:00 PM »
Reply with quote
Yun bay kal bay kal lamhoun main
jab bojhal bojhal qadmoun se....
Sahil ki taraf mein jaati hoon
Tumhein saath main aksar paati hoon
jab aati jaati mojounse
Bay rabbt mein baatein karti hoon
Tabb yaad tumhein main karti hoon
Kabhi aadhi raat ko uth kar jabb..
Bay vajah tehla karti hoon
Ya apne kamray ki khidki se...
 chaand ko dekha karti hoon
Aur usski thandi Roshni ko ...
Mehsoos  jab mein karti hoon
Tabb yaad tumhein mein karti hoon
Jab zabt ke khhooni panjounse...
mein apna aap bachati hooon...
Kar kar k yaad woh guzre pall..
Mein pehroun ashk bahati hoon
Tabb yaad tumhein main karti hooon
Shayad ye muhabbat ki dheemi dheemi
AAnch mera daamann he jalana chahti hai.... :cry:  :cry:  :cry:
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #3 on: June 11, 2006, 04:23:31 PM »
Reply with quote
Harash Jee, Tina ..... Bahot hii khoob

=D> =D> Please keep Writing wid us
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #4 on: June 11, 2006, 04:30:30 PM »
Reply with quote
Quote from: "harashmahajan"
Insa ki fitrat kya kahiye, murdon main khazana doond liya,
kahaan bechein zism ke ango ko, uska bhi thhikana doond liya.

chhodein na marghat mein wo kafan, kerte na her tan ko wo dafan,
insa ki keemat kutchh bhi nahi, apno ne nishana doond liya.



Badaa Afsos rakha hai Harr Loot jaane waale ki awaaz mein
Yoon Pal Do pal ka sath kho karr kya Kismat kismat dhul mil hogayi...

Hamare Jigar mein bhi ek guncha shikayaton ka rakha hai
Kuch Shuruwaat karne se pahle hii saari raat khatam hogayi..
Logged
Tina Sheikh
Guest
«Reply #5 on: June 11, 2006, 04:34:51 PM »
Reply with quote
Sitaroun ki chammak madham huwee kyun?
Teri janib se chahat kam huwee kyun?
Main tujh ko bhoolne ki soch mein thi...
Achanak aankh meri num huwee kyun?
Tamanna aik jo dil main  bassi thi..
Bataoun kya?....Supurd-e-gham huwee kyun?
Tumhari yaad ki shama jalli thi....
Hawwa-e-dard yun bharram huwee kyun?
Meri rah-e-talab seedhi Bohatt thi...
Ye dooor ja kar Kham huwee kyun?










Roz kehti hoon bhool jaoun tumhein.....
Roz mein yahi baat bhool jaati hoon....
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #6 on: June 11, 2006, 04:37:46 PM »
Reply with quote
nirbhay ji aap ne same beher/our kafia/radeef bilkul alag ker diya....

aapko akhiri shabd same rakhne hain....jaise..ooper likha hai..usko aage badaana ho toh yuin badaiye ga...

naouker ho chahe vyapaari, chahe ho babu sarkaari,
daoulat ke bhookhe nango ne, unka bhi nishana doond liya.

Quote from: "nirbhay"
Quote from: "harashmahajan"
Insa ki fitrat kya kahiye, murdon main khazana doond liya,
kahaan bechein zism ke ango ko, uska bhi thhikana doond liya.

chhodein na marghat mein wo kafan, kerte na her tan ko wo dafan,
insa ki keemat kutchh bhi nahi, apno ne nishana doond liya.



Badaa Afsos rakha hai Harr Loot jaane waale ki awaaz mein
Yoon Pal Do pal ka sath kho karr kya Kismat kismat dhul mil hogayi...

Hamare Jigar mein bhi ek guncha shikayaton ka rakha hai
Kuch Shuruwaat karne se pahle hii saari raat khatam hogayi..
Logged
sanya310
Guest
«Reply #7 on: June 11, 2006, 07:51:25 PM »
Reply with quote
amazing write nirbhay bhaijaan Winking

ye meri taraf se kuch linein :D

reh gayi thi mere hi ishq mein koi kami
jo kar na sake tum wafaa humse   
hai meri zindagi mein kya ghum thodey
jo  hogaye tum bhi yun khafaa humse
dekhi na gayi hamari khushi jo kisisey
kar diya rub ne tumhe yun judaa humse
kar diya inkar jo maanga waps tumhe rub se
jaaney kyun naraaz hain khudaa humse
phoot phoot kar itna roye hain gham-e-ishq mein
ke ab aansu bhi karte hain ruswaa humse
aas miti, ummeed ka diya bujh gaya
koi nahi karta mohobbat yahan humse
rooth gaye apney, rooth gaye sapney
rooth gaye jo tum rooth gaya saraa jahan humse
Logged
D K
Guest
«Reply #8 on: June 11, 2006, 11:05:11 PM »
Reply with quote
Very nice everyone .. too gud Usual Smile


Quote from: "nirbhay"
Mujhe Ye Zeed nahi ke tum mere Galley ka Haar ho jao
Akhela Bhi Chor dena humein, Agar tum khush waar ho jao

Bhot Jaldi Samajh mein ghool jaane lagty ho Zamane ki
Asaan to nahi thee mere khatir, kuch zamane ke liye bhi Duswaar ho jao

Meri MulaQatein zaraa kamm hoti hai tumse
Mein chahta hoon Tum harr MulaQat mein Nikharti hui wafaa daar ho jao

Mulaqakto mein merii bhi wafa ka hona zaroori hai
Soo tum ek Din Judaaee ke liye bhi Tayaar ho jao..

Chal chalati Dhoop ke Sehra Se aata hai koi bhi tumahare pass
Iska matlab ye nahi ki tum uskii Saya-e-Dewaar ho jao

Darya dilii ka Badaa Shouk hai tumhein Dill lagi ka bhi
Mein Chahta Hoon, Hum Chahat ki Mishaal baneIN sabke Khatir..
Mein Wafaa ki Murti bann jaun, Tum sabse paak mazaar ho jao..

Kal ka Suraaj mein bahut tumahari Roshni Sunil hogi..jhil mill hogi
Mein chup ho kar dekh Rahaa hoon, Tum Zaraa aaur Be-zaar ho jao

Bass mein chahta hoon tumhare pass dene ko jhoti tasali na ho
Aajaaye Jo aaisa dinn, Mujhse kahe binn tum Muntazaar ho jao

Humein kya pataa tha azaal se hi, ke apni kismat mein ranjh rakha hai
Mehan rakha hai, Sitam rakhya hai, aaur siraf Ghum hii ghum rakhya hai
Kaash mere inn ankahe sawaalon ka tum jawaab bann jao
Kaash ke tum hii mere jajjbaat ka ek khubsurat Fankaar bann jao..



In sooni aankhon ka tum kabhi intezaar ban jao...
Jaan lo bechaini inki, aur inki bahaar ban jao,

Dil nadan hai nahi samajhta judai ki majboori...
Kabhi to aa kar in dhadkano ki haqdaar ban jao,

Is qadar shiddat se kisi ko na chah sakunga...
Kaash tum bhi meri mohabbat ki talabgaar ban jao,

Wada hai zamane se ki har gham manzoor hai...
Bas tum meri ek baar, sirf ek baar ban jao,

Kaash ke tum mere zindagi ke har pehlu ke aashaar ban jao...
Kaash ke tum mere jazbaaton ka khoobsurat fankaar ban jao.
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #9 on: June 12, 2006, 01:48:42 AM »
Reply with quote
Neer, Harash, Tina, Sanya, D K

Excellent doston !  Mazaa aa gaya padh kar =D> =D> =D>

Neer bhai ---> Bahut achchi thread shuru ki tumne

Harash aur Tina ---> Aap logon ne neer ka bahut achcha saath diya

Sanya ---> Ma'am aaj Arabic class ki bajaye yeh sab  :D

D K ----> Tu to pakka aaya hai PK  :wink:

Bravo ! Keep going  :arrow:

Rajbir
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: June 12, 2006, 08:38:56 AM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Likha Hai Sabne,..
Nirbhay, Tina, Dk, Sanya,.etc,..


Gale Ka Haar Banakar Hume Barbaadion Ka Tohfa Diya,..
Aaj Yahan Hum Khud Apni Khaak Udaa Rahe Hain,..

Diye Hume Kuch Aise Zakham Us Bewafaa Ne "Jaanasheen",..
Ke Muskuraakar Hum Uske Ghamon Ko Uthaa Rahe Hain,..

Bahoot Bedard Hain Ye Duniya Waale Ke Dete Hain Har Waqt Dard,..
Hume To Mile Zakham Apno Se Bhi Gairon Se Bhi Hum Hain Ke Zindagi Ko Is Kadar Jeeye Jaa Rahe Hain,..

Aye Khuda Ab Aur Seh Nahi Sakta Main Gham Ye Duniya Waalon Ko,...
Main Hoon Lachar Yahan Sehkar Gham Unke Aur Wo Hain Ke Muskuraa Rahe Hain,..

Dekh Raha Hoon Alam Ye, Main Hokar Bebas Ab Yahan,..
Hain Kuch Log Jo Apna Ghar Jalaa Rahe Hain,..

Bahoot Naaz Tha Mujhe Mere Chahne Waalon Par "Jaanasheen''
Jab Aaya Waqt Gardeeshon Ka Sab Apna Daman Bachaa Rahe Hain,..

Khush Hue Jo Sunkar Mere Mohabbat Ke Fasaane Ko "Jaanasheen"
Aaj Wohi Log Mere Naam-o-Nishaan Mitaa Rahe Hain.,..

Khush Raho Aye Duniya Waalon Ke Ye Duniya Tumhari Hai,..
Hum To The Musafir Yahan Ab Tumhari Duniyaa Se Jaa Rahe Hain,..

Bhoola Dena Agar Hui Ho Humse Galtiaan Anjaane Mein,..
Hum To The Nadaan Yahan Maut Jab Aayi Ab Hosh Mein Aa Rahe Hain,...

__________________________-Azeem-_______________________

Doston Bahoot Koshish Ke Baad Itna Likha Hai,..
Agar koi Galti Hui Ho Wordings Mein To Please, Maaf Kardena,..
Umeed Rakhta Hoon Ke Aap Ko Ye Kalam Pasand Aayega,..
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #11 on: June 12, 2006, 02:37:07 PM »
Reply with quote
Thanx rajbir ji
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #12 on: June 13, 2006, 04:24:06 AM »
Reply with quote
Quote from: "D K"
In sooni aankhon ka tum kabhi intezaar ban jao...
Jaan lo bechaini inki, aur inki bahaar ban jao,

Dil nadan hai nahi samajhta judai ki majboori...
Kabhi to aa kar in dhadkano ki haqdaar ban jao,

Is qadar shiddat se kisi ko na chah sakunga...
Kaash tum bhi meri mohabbat ki talabgaar ban jao,

Wada hai zamane se ki har gham manzoor hai...
Bas tum meri ek baar, sirf ek baar ban jao,

Kaash ke tum mere zindagi ke har pehlu ke aashaar ban jao...
Kaash ke tum mere jazbaaton ka khoobsurat fankaar ban jao.



DK bhai Shukriya Housla Afzai ka...& Thanks everyone...

Aacha likha hai aapne bhi...

==========================================


Mein Likhun jazzbaat kalam se
Aaur tum unki pukaar bann jao

Mein likhun Bahaar kalam se
Aaur tum gul-e-gulzar ho jao

Mein karun IshaQ tumse besabab
Aaur Tum mera khumaar bann jao

Mein Likh deta hoon khusiyaan tere naam
Tum ta-umar Guncha-e-khushwar ho jao

Mein Seh loonga saare Sitam
Khawaahish ho to Sitam gaar bhi ho jao

Teh-e-Dil se chahat rakhta hoon tumahri
Iskey siley mein tum mere liye na dushwaar ho jao

Dil ke jazzbaat ko samjho na tum bhi kuch
Tum dil mein chipii meri fankar bann jao...
:smile:
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #13 on: June 13, 2006, 04:35:31 AM »
Reply with quote
Quote from: "Jaanasheen"
Bahoot Khoob Likha Hai Sabne,..
Nirbhay, Tina, Dk, Sanya,.etc,..


Gale Ka Haar Banakar Hume Barbaadion Ka Tohfa Diya,..
Aaj Yahan Hum Khud Apni Khaak Udaa Rahe Hain,..

Diye Hume Kuch Aise Zakham Us Bewafaa Ne "Jaanasheen",..
Ke Muskuraakar Hum Uske Ghamon Ko Uthaa Rahe Hain,..

Bahoot Bedard Hain Ye Duniya Waale Ke Dete Hain Har Waqt Dard,..
Hume To Mile Zakham Apno Se Bhi Gairon Se Bhi Hum Hain Ke Zindagi Ko Is Kadar Jeeye Jaa Rahe Hain,..

Aye Khuda Ab Aur Seh Nahi Sakta Main Gham Ye Duniya Waalon Ko,...
Main Hoon Lachar Yahan Sehkar Gham Unke Aur Wo Hain Ke Muskuraa Rahe Hain,..

Dekh Raha Hoon Alam Ye, Main Hokar Bebas Ab Yahan,..
Hain Kuch Log Jo Apna Ghar Jalaa Rahe Hain,..

Bahoot Naaz Tha Mujhe Mere Chahne Waalon Par "Jaanasheen''
Jab Aaya Waqt Gardeeshon Ka Sab Apna Daman Bachaa Rahe Hain,..

Khush Hue Jo Sunkar Mere Mohabbat Ke Fasaane Ko "Jaanasheen"
Aaj Wohi Log Mere Naam-o-Nishaan Mitaa Rahe Hain.,..

Khush Raho Aye Duniya Waalon Ke Ye Duniya Tumhari Hai,..
Hum To The Musafir Yahan Ab Tumhari Duniyaa Se Jaa Rahe Hain,..

Bhoola Dena Agar Hui Ho Humse Galtiaan Anjaane Mein,..
Hum To The Nadaan Yahan Maut Jab Aayi Ab Hosh Mein Aa Rahe Hain,...

__________________________-Azeem-_______________________

Doston Bahoot Koshish Ke Baad Itna Likha Hai,..
Agar koi Galti Hui Ho Wordings Mein To Please, Maaf Kardena,..
Umeed Rakhta Hoon Ke Aap Ko Ye Kalam Pasand Aayega,..


Aare Jaanu bhai Aap to Ek dam Damn Perfect likhtein hain...

Barr barr Maafi matt manga karo yaar... Tum to Shabashi Deserve kartey  ho =D> =D>
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #14 on: June 13, 2006, 06:26:04 AM »
Reply with quote
Indeed very nice thread Nirbhay.... Really amazing... =D>  =D>  =D>  =D>  =D>  =D>  =D>

And also Harsh, Tina, DK, Sanya, Azeem bhai.... u too have done a very nice job.... =D>  =D>  =D> =D> =D>  
Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:14:02 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer