Kaash...Tum Fankaar bann Jao...

by nirbhay on June 11, 2006, 02:49:58 PM
Pages: 1 2 3 [4]
ReplyPrint
Author  (Read 4415 times)
harashmahajan
Guest
«Reply #45 on: June 21, 2006, 05:31:47 PM »
Reply with quote
Thnx badnaam and shikha ji
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #46 on: July 02, 2006, 09:12:35 AM »
Reply with quote
Quote from: "D K"
Very nice everyone .. too gud Usual Smile


Quote from: "nirbhay"
Mujhe Ye Zeed nahi ke tum mere Galley ka Haar ho jao
Akhela Bhi Chor dena humein, Agar tum khush waar ho jao

Bhot Jaldi Samajh mein ghool jaane lagty ho Zamane ki
Asaan to nahi thee mere khatir, kuch zamane ke liye bhi Duswaar ho jao

Meri MulaQatein zaraa kamm hoti hai tumse
Mein chahta hoon Tum harr MulaQat mein Nikharti hui wafaa daar ho jao

Mulaqakto mein merii bhi wafa ka hona zaroori hai
Soo tum ek Din Judaaee ke liye bhi Tayaar ho jao..

Chal chalati Dhoop ke Sehra Se aata hai koi bhi tumahare pass
Iska matlab ye nahi ki tum uskii Saya-e-Dewaar ho jao

Darya dilii ka Badaa Shouk hai tumhein Dill lagi ka bhi
Mein Chahta Hoon, Hum Chahat ki Mishaal baneIN sabke Khatir..
Mein Wafaa ki Murti bann jaun, Tum sabse paak mazaar ho jao..

Kal ka Suraaj mein bahut tumahari Roshni Sunil hogi..jhil mill hogi
Mein chup ho kar dekh Rahaa hoon, Tum Zaraa aaur Be-zaar ho jao

Bass mein chahta hoon tumhare pass dene ko jhoti tasali na ho
Aajaaye Jo aaisa dinn, Mujhse kahe binn tum Muntazaar ho jao

Humein kya pataa tha azaal se hi, ke apni kismat mein ranjh rakha hai
Mehan rakha hai, Sitam rakhya hai, aaur siraf Ghum hii ghum rakhya hai
Kaash mere inn ankahe sawaalon ka tum jawaab bann jao
Kaash ke tum hii mere jajjbaat ka ek khubsurat Fankaar bann jao..



In sooni aankhon ka tum kabhi intezaar ban jao...
Jaan lo bechaini inki, aur inki bahaar ban jao,

Dil nadan hai nahi samajhta judai ki majboori...
Kabhi to aa kar in dhadkano ki haqdaar ban jao,

Is qadar shiddat se kisi ko na chah sakunga...
Kaash tum bhi meri mohabbat ki talabgaar ban jao,

Wada hai zamane se ki har gham manzoor hai...
Bas tum meri ek baar, sirf ek baar ban jao,

Kaash ke tum mere zindagi ke har pehlu ke aashaar ban jao...
Kaash ke tum mere jazbaaton ka khoobsurat fankaar ban jao.




Ghaariyon mein na samaye, chaho to wo intezar bann jao
Dil mein reh kar tum Davaa aaur Dayaar Ho Jao

Paas rehna bhi Manzur nahi hai, Judaii bhi humse door nahi hai
aaisa karo Iss Raash-e-aalam ki tum talabgaar bann Jao

Wadaa Diya hai tumko na Dil ki baat Chipane ka
Ye Dil abb besahara hai, tumm iss Dil ki Diwaar bann Jao

Yoon to lamhein Bohat beetey baaton baaton Mein
Kuch wakt abb IshaQ pe nisaar ho jao
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #47 on: July 02, 2006, 12:04:36 PM »
Reply with quote
=D>  =D>  =D>  =D>  =D>
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #48 on: July 02, 2006, 01:03:49 PM »
Reply with quote
Nice One Nirbhay,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #49 on: July 02, 2006, 01:12:03 PM »
Reply with quote
Ek Bewafaa Se Rishtaa Jordkar Saare Rishte Tord Diya,..
Chot Aisi Lagi Dil Par Yaaron Aaj Humne Jeena Chord Diya,..

Sach Kehte The Duniya Waale Ke Mohabbat Se Zindagi Barbaad Hoti Hai,..
Sehna Pardhta Hai Gham Zindagi Mein Maut Ke Baad Rooh Roti Hai,..

Thukraakar Baateon Inki Maine Ek Bewafaa Se Pyaar Kiya,..'
Khushi Ke Sagar Mein THa Yaaron Dil Lagage Jeena Dushwaar Kiya,..

Ab Pachtaa Raha Hoon Us Ghadi Par Main Jis Waqt Izhaar Kiya,..
Loot Gayi Dekho Khushiaan Meri Yaaron Jab Main Us Se Pyaar Kiya,..

___________________________-Azeem-_____________________
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #50 on: July 20, 2006, 04:03:29 PM »
Reply with quote
Aap youn na Dil ko thukra ke jaaiye
Aakhir mera kasoor kya hai ye to bataiye

Nahin jeena manzoor hame tanhai ke sath
Agar jaana hi hai to humko mitaa ke jaaiye

Poochenge mujhse wajeh tumse bewafai ki
Ye bhoojh mere kaandho se hataa ke jaaiye

Kiss adaa na toda phool tumhare khavabon ka
Naam se rubaru iss Dil Jaley ko karke jaaiye

Dekhiye phir tanhaa reh na paaonga main
Na chiraag aashiQi ka jalaa ke jaaiye

Kehla kar bewafaa bhi tumko duaayen denge
Na rehiye udaas aap muskuraa ke jaaiye!!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #51 on: July 22, 2006, 02:10:56 PM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Nirbhay Bhaijaan Bahoot Dino Baad Reply Diya hai,..
Niec one,.
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #52 on: July 22, 2006, 04:07:34 PM »
Reply with quote
Dhanyawaad Bhai sahaab!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #53 on: July 24, 2006, 10:24:41 AM »
Reply with quote
Ur Always Welcome..
Logged
Pages: 1 2 3 [4]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 11:09:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer