Khabar na thi sirf be wafaa hai..

by Ghulam Haider on October 26, 2008, 03:00:11 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1057 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
khabar na thi sirf be wafaa hai wo jis se is dil ko pyaar hoga.
Jo zaahiran phool lag raha hai wo hi kisi roz khaar hoga.

Wo narm o naazuk mizaaj waala wo naaz o sharm o hayaa ka paikar,
Banega yoN sang dil ke us par hamaara dil ashkbaar hoga,

Jo jaan lete to dil na dete kabhi ye jaam-e-daghaa na peete,
ke us ke chehre pe be wafaai ki rah ravi ka ghubaar hoga.

Chale haiN sahraa ko chhoR basti ke apni haalat pe khud hi royeN,
WahiN milega sukoon dil ko wahiN pe apnaa mazaar hoga.

Ye hi haqeeqat hai is se haider na hona tum zindagi meN ghaafil,
Jo dil kisi ka bhi tum ne toRaa tumhaara dil be qaraar hoga.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Wafaa ke hai rang kai by Nino in Shayri-E-Dard
Uski wafaa by Nino in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
BE-WAFAA NAA HO JAYAE by ISHU in Shayeri for Dard -e- Bewafai
wafaa ki baatein.. by amrita in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
Sirf ayr sirf usi ko yaad karti hoon.... by maya01 in Shayri-E-Dard
syednaami
Guest
«Reply #1 on: October 29, 2008, 02:34:44 AM »
Reply with quote
G. Haider Miyan
Bahut umda bahut kamaal ka andaaz hai. Wah
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: October 31, 2008, 12:34:14 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Haider Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: October 31, 2008, 02:16:09 PM »
Reply with quote
Bahoot Achche Haider Ji,.
Nice One,.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #4 on: November 01, 2008, 08:17:35 AM »
Reply with quote
Pasand karne ke liye Jaanasheen,Celmira,syednaami aap sab ka bohot bohot shukriya. PaRhte rahiye aur maza lete rahiye.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: November 02, 2008, 02:09:12 PM »
Reply with quote
Inshallah Aapke Aur Kalaamin Ka Intezaar Rahega,.


Khabar Mere Marne Ki, Sunte Hi Dekho,.
Wo Haaton Mein Mehandi, Rachaane Lage Hain,.

Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #6 on: November 07, 2008, 02:54:31 PM »
Reply with quote
Inshallah Aapke Aur Kalaamin Ka Intezaar Rahega,.


Khabar Mere Marne Ki, Sunte Hi Dekho,.
Wo Haaton Mein Mehandi, Rachaane Lage Hain,.


Bilkull janaab, Aap navaazte rahiye aur nae nae kalaam se lutf anddoz hote rahiye
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: November 08, 2008, 10:17:04 AM »
Reply with quote
Meri Maut Ka Jashn Jab Manaana Tum,.
Meri Bebasi Ka Mazaak na Udaana Tum,.

Log Poochenge Tumse, Tumhari Khushi Ka Sabab,.
Khudaa Ke Liye, Unhe Mera Naam Na Batana Tum,.

______________________________-Jaanasheen-
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 23, 2024, 12:57:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.09 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer