khusboon ki tarha meri har saans main.......................

by ibrahim777 on January 30, 2008, 12:43:02 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1033 times)
ibrahim777
Guest
Reply with quote
khusboon ki tarha meri har saans main
pyar apna basane ka wada karo
rang jitne tumhari mohabbat ke hain
mere dil main sajane ka wada karo
hai tumhari wafaon pe mujko yakeen
phir bhi dil chahta hai mere dil nasheen
yoonhi meri tasali ki khatir zara
mujko apna banane ka wada karo
jab mohabbat ka iqrar karte ho tum
dhadkanoon main naya rang bharte ho tum
baarha kar chuke ho, magar aaj phir
mujhko apna banane ka wada karo
sirf lafzoon se iqrar hota nahi
ik janib say hi pyar hota nahi
main tumhain yaad rakhne ki khaon kasam


Mohammed Ibrahim
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1 on: January 30, 2008, 04:09:58 PM »
Reply with quote
nice Ibrahim
Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: February 05, 2008, 02:54:16 AM »
Reply with quote
khusboon ki tarha meri har saans main
pyar apna basane ka wada karo
rang jitne tumhari mohabbat ke hain
mere dil main sajane ka wada karo
hai tumhari wafaon pe mujko yakeen
phir bhi dil chahta hai mere dil nasheen
yoonhi meri tasali ki khatir zara
mujko apna banane ka wada karo
jab mohabbat ka iqrar karte ho tum
dhadkanoon main naya rang bharte ho tum
baarha kar chuke ho, magar aaj phir
mujhko apna banane ka wada karo
sirf lafzoon se iqrar hota nahi
ik janib say hi pyar hota nahi
main tumhain yaad rakhne ki khaon kasam


Mohammed Ibrahim


Ibrahim ji bahut khoob likha hai aapne.
Logged
rohit rai
Guest
«Reply #3 on: February 05, 2008, 07:42:32 AM »
Reply with quote
bahut khub likha hai.......yaar........ibrahim

khusboon banakar apke pass bikhar jayenge
muskrahat bankar apke hotoh per nazr aayenge
hum apki julfe nahi hain jo ulajh jaye
mitana hoga agar apki mohabbat main toh mit jayenge
magar aap per koi anch nahi aane denge
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #4 on: February 05, 2008, 08:12:45 AM »
Reply with quote
chah khusbu ki karo toh yeh maankar chalo
uska kaam hai bikhrana wohh bikharne ke liye he aayegi
paas chahe kitna bhi usse rakho aap apney
wohh hawa mein milkar tumse door chale jayegi.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 04:35:10 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.141 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer