Kuch toot gaye kuch baaqi hain!!!!

by Talat on December 25, 2004, 01:56:36 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3734 times)
Talat
Guest
Reply with quote
Kuch toot gaye hain kuch khawab baaqi hain
Maazi ki wafaon main kuch sarab baaqi hain

Ab bhi waazai nahin hui tasveer zindagi ki
Darparda ab bhi kuch naqaab baaqi hain

Har sawal apni jagah joon ka toon raha
Zubaan pe shikayaton ke kuch jawab baaqi hain

Khali hua behte behte yaad main behta sagar
Phir bhi nigahon main kuch sailaab baaqi hain

Maaf kiya khoon-e-jigar apna kisi dosti ko
To usi dosti se kuch hisaab baaqi hain

Kisi ka aasmaan tareekiyon ka ujala ban gaya
kahin be-rukhi ke kuch mehtaab baaqi hain

Mar bhi nahin sakte ab to sukoon-e-zalim
Hasrate reh jaain gi kuch hijaab baaqi hain

Musalsal jal rahe aatish-e-ishq ke angaron main
Parastish ke aur bhi kuch aadaab baaqi hain

Kaghaz ke nazaron se mahak aaye gi kaise
Haqeeqat ke guldano main kuch gulaab baaqi hain

Sab ko samajh na 'Shaiki' tu yaar be wafa
Teri tarah lute yahan kuch nawab baaqi hain!!
(NM
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
KUCH LOOG BADAL GAYE HAIN .. by waheed_rose2004 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3 4 5 »
Ab kuch baaqi nahin ......... !!!!!!!!!!!!!!!! by Talat in Miscellaneous Shayri « 1 2 ... 20 21 »
Kuch Log Badal Gaye Hain by Sonu in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Kahe kuch likhe kuch gaye lafz akhbaar par by pawan16 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
waheed_rose2004
Guest
«Reply #1 on: December 25, 2004, 04:49:33 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Kuch toot gaye hain kuch khawab baaqi hain
Maazi ki wafaon main kuch sarab baaqi hain

Ab bhi waazai nahin hui tasveer zindagi ki
Darparda ab bhi kuch naqaab baaqi hain

Har sawal apni jagah joon ka toon raha
Zubaan pe shikayaton ke kuch jawab baaqi hain

Khali hua behte behte yaad main behta sagar
Phir bhi nigahon main kuch sailaab baaqi hain

Maaf kiya khoon-e-jigar apna kisi dosti ko
To usi dosti se kuch hisaab baaqi hain ..............

Kisi ka aasmaan tareekiyon ka ujala ban gaya
kahin be-rukhi ke kuch mehtaab baaqi hain

Mar bhi nahin sakte ab to sukoon-e-zalim
Hasrate reh jaain gi kuch hijaab baaqi hain

Musalsal jal rahe aatish-e-ishq ke angaron main
Parastish ke aur bhi kuch aadaab baaqi hain

Kaghaz ke nazaron se mahak aaye gi kaise
Haqeeqat ke guldano main kuch gulaab baaqi hain

Sab ko samajh na 'Shaiki' tu yaar be wafa
Teri tarah lute yahan kuch nawab baaqi hain!!
(NM

superb.......................talat............... ......bahot khoob...........

teri yaad nain meray dil ko sajja rakha hai
teray piyar main sab kuch bhula rakha hai

kuch accha nahin lagta teri judai ke baad
ek teri yaad ko sinay se laga rakha hai

tera milna tu ab ek khuwab hi hai
na janey kyun ab dil ko bhula rakha hai

faqat teri yadon ko palkon main chupa rakha hai
muqadar se milte milte bichar gaye warna

aaj bhi tera naam dil main sajja rakha hai
na janey kyun koi jachta nahin in ankhon main

ek teri tasveer ko dil main sajja rakha hai
khusiyan tu pal main ati aur chali jaati hain

hum nai tu ghumon ko bhi apna dost bana rakha hai
sabhi aye tu bhi aa kar dekh mera haal
ke main ne teray piyar main khud ko bhula rakha hai ...............
Logged
Meena
Guest
«Reply #2 on: December 26, 2004, 12:08:57 PM »
Reply with quote
wahhhhhhh talat sis aur waheed ji!

bohot acha likha aap dono ne!

 :D
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: December 26, 2004, 02:11:14 PM »
Reply with quote
Thanks!! Waheed n Meena :D

Very Nice Waheed!!!! Too good!!
Logged
lovebites
Guest
«Reply #4 on: December 27, 2004, 07:26:17 AM »
Reply with quote
wah bohat achey Talat and Waheed Bhai.......................!
Logged
lovebites
Guest
«Reply #5 on: December 27, 2004, 07:29:59 AM »
Reply with quote
apne tanhaee ko mairay naam pay aabad karay
kon hoga jo mujhey uski tarah yaad karay

dil ajab sheher k jis perbhi khula der iska
wo musafir usay her simat say barbaad karay

apnay qatil ki zahanat say pareshaan hoon
roz ik mot nayew taraz ki ijaad karay

itna heraan hoon mire betalbee k aagay
wa qafas mai koi derkhud mera sayyaad karay

salab benaee k ahkaam milay hai jo kabhi
roshni chonay ki khuwahish koi shab-e-zaad karay

soch rakhna bhi jaraem mai hai shamilab to
wahi masoom hai her baat py jo sayyaad karay

jab laho bol paray us kay gawahoo k khilaaf
qazi-e-sheher kuch is baab mai irshaad karay

is ki muthe mai buhut roz raha mera wajood
miray saahir say kaho ab mujhe aazad karay

by:parveen shakir
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #6 on: December 28, 2004, 04:14:46 PM »
Reply with quote
ur welcome...........meena...talat.l....lovebites... .....
toog good ........lovebites..............  :lol:
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #7 on: December 29, 2004, 11:07:00 AM »
Reply with quote
wahhhhhhhh talat Usual Smile
Logged
lovebites
Guest
«Reply #8 on: December 29, 2004, 02:09:30 PM »
Reply with quote
Thanks Waheed bhai and Ur welcome...............!

aatish-e-jaan say qafas aap hi jal jana tha
kufl-e-zinda'n! tera maqsoom pighal jana tha

jisko ik nasl nay sencha tha lahu say apney
ik na ik roz to uss perr ko phal jana tha

waqt say pehle kabhi shaam na yun aa leti
munh andhere hi hamein ghar say nikal jana tha

harney waloun say samjhota kahan mumkin tha
harf milte bhi to mafhoom badal jana tha

kisko thehrayein gay meesaq-e-muhabbat mein fareeq
ham nay khud ko bhi iradey ka atal jana tha

uss nay hi pehli hawa mein mera daman thama
jis diye ko kisi naiki ka badal jana tha

waqt ki itni kamee'n gahoun say ho ayee hai
zindagi!! ab to kisi tor sambhal jana tha

By-Perveen Shakir
Logged
guhar
Guest
«Reply #9 on: January 06, 2010, 07:00:53 AM »
Reply with quote
Kuch toot gaye hain kuch khawab baaqi hain
Maazi ki wafaon main kuch sarab baaqi hain

Ab bhi waazai nahin hui tasveer zindagi ki
Darparda ab bhi kuch naqaab baaqi hain

Har sawal apni jagah joon ka toon raha
Zubaan pe shikayaton ke kuch jawab baaqi hain

Khali hua behte behte yaad main behta sagar
Phir bhi nigahon main kuch sailaab baaqi hain

Maaf kiya khoon-e-jigar apna kisi dosti ko
To usi dosti se kuch hisaab baaqi hain

Kisi ka aasmaan tareekiyon ka ujala ban gaya
kahin be-rukhi ke kuch mehtaab baaqi hain

Mar bhi nahin sakte ab to sukoon-e-zalim
Hasrate reh jaain gi kuch hijaab baaqi hain

Musalsal jal rahe aatish-e-ishq ke angaron main
Parastish ke aur bhi kuch aadaab baaqi hain

Kaghaz ke nazaron se mahak aaye gi kaise
Haqeeqat ke guldano main kuch gulaab baaqi hain

Sab ko samajh na 'Shaiki' tu yaar be wafa
Teri tarah lute yahan kuch nawab baaqi hain!!
(NM

in saadiyon me kitne aaye,
 lubhaaye aur chal diye,
pr zaif shaayaron ke haath,
aab bhi shabaab baaki hai.
dil ka hisaab baaki hai,
zindigi ki kitaab baaki hai.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #10 on: January 07, 2010, 06:47:17 AM »
Reply with quote
Kuch toot gaye hain kuch khawab baaqi hain
Maazi ki wafaon main kuch sarab baaqi hain

Ab bhi waazai nahin hui tasveer zindagi ki
Darparda ab bhi kuch naqaab baaqi hain

Har sawal apni jagah joon ka toon raha
Zubaan pe shikayaton ke kuch jawab baaqi hain

Khali hua behte behte yaad main behta sagar
Phir bhi nigahon main kuch sailaab baaqi hain

Maaf kiya khoon-e-jigar apna kisi dosti ko
To usi dosti se kuch hisaab baaqi hain

Kisi ka aasmaan tareekiyon ka ujala ban gaya
kahin be-rukhi ke kuch mehtaab baaqi hain

Mar bhi nahin sakte ab to sukoon-e-zalim
Hasrate reh jaain gi kuch hijaab baaqi hain

Musalsal jal rahe aatish-e-ishq ke angaron main
Parastish ke aur bhi kuch aadaab baaqi hain

Kaghaz ke nazaron se mahak aaye gi kaise
Haqeeqat ke guldano main kuch gulaab baaqi hain

Sab ko samajh na 'Shaiki' tu yaar be wafa
Teri tarah lute yahan kuch nawab baaqi hain!!
(NM

Very wonderful sharing Celmira Ji
Logged
malli
Guest
«Reply #11 on: February 05, 2010, 02:59:48 AM »

Wah great sharing dear Talat
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006

View Profile
«Reply #12 on: March 21, 2010, 09:07:32 PM »
Reply with quote
Kuch toot gaye hain kuch khawab baaqi hain
Maazi ki wafaon main kuch sarab baaqi hain

Ab bhi waazai nahin hui tasveer zindagi ki
Darparda ab bhi kuch naqaab baaqi hain

Har sawal apni jagah joon ka toon raha
Zubaan pe shikayaton ke kuch jawab baaqi hain

Khali hua behte behte yaad main behta sagar
Phir bhi nigahon main kuch sailaab baaqi hain

Maaf kiya khoon-e-jigar apna kisi dosti ko
To usi dosti se kuch hisaab baaqi hain

Kisi ka aasmaan tareekiyon ka ujala ban gaya
kahin be-rukhi ke kuch mehtaab baaqi hain

Mar bhi nahin sakte ab to sukoon-e-zalim
Hasrate reh jaain gi kuch hijaab baaqi hain

Musalsal jal rahe aatish-e-ishq ke angaron main
Parastish ke aur bhi kuch aadaab baaqi hain

Kaghaz ke nazaron se mahak aaye gi kaise
Haqeeqat ke guldano main kuch gulaab baaqi hain

Sab ko samajh na 'Shaiki' tu yaar be wafa
Teri tarah lute yahan kuch nawab baaqi hain!!
(NM

Wah Wah Kya Khoob Sharing Ki Hia Aapne Celmira Ji
Waqai Mein Maza Aa Gaya Parhke...
Sidha Dil Ko Chhu Gaya....Bahut Badiya...
Logged
Tabish_wahid
Guest
«Reply #13 on: January 28, 2012, 02:19:51 PM »
Reply with quote
Very Nice....
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:52:45 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer