kya karu????????

by Saba_Saba on May 17, 2005, 07:33:15 AM
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11 12
ReplyPrint
Author  (Read 20092 times)
harashmahajan
Guest
«Reply #135 on: April 11, 2006, 03:12:23 PM »
Reply with quote
thx pooja ji...

Sheher yuin lage ki ab veeraan ho gaya,
Gayab yahaan per dekhiye insaan ho gaya.

Khul ke lag raha hai mol bebasi ka yuin,
ki aadmi lage hai ab saamaan ho gaya.

murzha gaye hain phool sab maali ki chaah main,
yuin lag raha mousam bahoot be-imaan ho gaya.

dost hi becha kiye ker-ker ke botian,
badnaam aaj dushmano ka naam ho gaya.

Sheher bane shamshaan ab pehchaan sab gayee,
charcha-e-naam 'harash' ka tamaam ho gaya.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kin shabdo se karu mai bayan!!!! by Pooja in Miscellaneous Shayri
kya karu by Himani Agarwal in Shayri-E-Dard
kya tarif karu unki by yogi in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tu hi bata main kaya karu.... by Pooja in Critics and Review only Forum
aise bahoon ka haar karu by VIPAL in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pooja
Guest
«Reply #136 on: April 11, 2006, 03:53:46 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Harsh ji!!! socha tha ki apke aor Saba ke bich mai na hi likhu, magar app ne likhne per majboor kar diya:

Shaher mai hai ronak, yah dil veeran hai
Sooni ankhon mai, ab na koi armaan hai

Her koi hai shikari, her koi swarthy yahan
Ansso bhi bikane lage, wah kaya yah bazaar hai

Zinda lash ban gaye ab, tarprati hai her zindagi
Mout ka hai tandav, karvate badalti hai zindagi

Payaar naam per, vishwaas kaise koi kar jaaye
Maa baap ke hatho se hi, bacha jab sar-e-aam bik jaaye

Her GHAR bana shamshaan. Her DIL kabristan, hai
Na jaane Pooja, yah kon si duniya ka paigaam hai!!!
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #137 on: April 13, 2006, 03:15:01 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"

waah pooja ji bahoot achay...bahoot muddat ke baad ek oomda jawaab sun ne ko mila...

Ho rahe jo haadse yuin, baat kutchh toh jaroor hai,
aadmi jo aam hai woh, her tarah mazboor hai.

ker rahe badnaamian our bin adalat faisla,
shaks jo paaye saza, bebas our mazboor hai.

bastion main jal rahe jo, kagazon ke hain makaan,
kasoor ab jispe likha woh, aadmi bekasoor hai.

kho chuke jo khud bharosa, kisko ab iljaam dein,
Shaks ab bhi chup khada use her saza manzoor hai.

jhooth ke peband lage hain 'harash' ab poushaakh per,
aadmi jispe lage woh, aadmi mash-hoor hai.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #138 on: April 13, 2006, 03:11:08 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Harsh ji!!!! apki kavita pad kar jo bhi man mai ayya wo likh rahi hu:

Mazboor uske zazbaat hai, warna kisi ki kaya okaat hai
Her hadsa uski khud ki kamjori karwaati hai, jroorat hi majboori ban jaati hai

Mana ki atyaachar bahoot hai, magar kayun nahi muchata koi shor hai
Kis liye chupchap sab sah jaaty hai, kayun nahi ghar se nikal kar baher atty hai

Jal rahe hai dil, jal rahe rishty, jal rahe ghar, jal rahe farishty
Phir bhi na jaagi duniya, kiska yah kasoor hai, kaise kah diya apne banda wo bekasoor hai

Kho kar bhi sabkuch, hosh mai ayya nahi,
chup rahi juban uski, kabhi kuch sunaya nahi
kayun ajj bhi usko her saza manjoor hai

kuch such bolne walo ke, sir kat gaye inke samne
Pooja khadi dekhein tamsha, her ek adami ka yah kasoor hai!!!!
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #139 on: April 14, 2006, 06:51:19 AM »

Theek kaha aapne Pooja ji....kutchh kehne se apna hi jism alaf hota hai...haan duniya ko samjaane ke liye..aap ki language ki jaroorat hai...lolssss..bahoot achhey thoughts hain aapke pooja ji...usko main kutchh is tarah kehna chahoonga..

Hawa shohrat ki bahar chal rahi hai,
Aour aandhi ghar ke ander chal rahi hai.

Ude jaate hain sab kapde badan ke,hawa faishan ki khul ker chal rahi hai.

amal takhleef ka hai jaan lewa,
chhuri ki dhaar dil per chal rahi hai.

ajab ye cheez hai apni ye mohabbat,
hamaare saath dafter bhi chal rahi hai.

'harash' ab saans hi meri kaatil,
kataari si braber chal rahi hai.
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #140 on: April 14, 2006, 07:00:23 AM »
Reply with quote
saba aisa koi bhi nahi chahega..lekin..kutchh toh hai jo apni our kheenchata chala jata hai...

Koi jo roye toh woh muskra ke dekhte hain,
chalo toh aaj hum aansu baha ke dekhte hain.

suna hai unko bhulaker hi mout aayegi,
toh aaj hi se hum unko bhula ker dekhte hain.

suna hai jaake wahan se koi nahi ata,
toh unke pas jara hum bhi ja ke dekhte hain.

suna hai dil ke makaan main zameer rehta hai,
toh fir makaan ka der khata-khata ker dekhte hain

Quote from: "Saba_Saba"
Mujeh Ye Zid nahi mere Gally ka Haar ho jaao
Akela Chor dena , tum jahaa Be-zaar ho jaao

Bahot Jaldi Samajh mein aane lagte ho Zamane ki
Bahot Aasaan ho, thore Bahot dushwaar ho jaao

Mulaqato mein wafa is liye hona zaroori hai
Ke tum ik din judayi ke liye tayyar ho jaao

Mai kaisee chil-chilaati dhoop ke sehra se aaya hoo
Bas ab aisa karo, tum saya-e-deewar ho jaao

Tumhare paas dene ke liye jhooti tasalli ho
Na aaye aisa din, tum is qadar naadaar ho jaao

Tumhe maloom ho jaaye ga kaise ranj sehte hai
Meri itni dua hai kaash tum fankaar ho jaao .. nm..
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005

View Profile
«Reply #141 on: April 14, 2006, 02:30:35 PM »
Reply with quote
Hmmmm shayad kuchh hai .... khair itna bhi na dekhe :oops:

Raah-e-wafa me qadam hum ne jab uthaye hai
Jo naguzair they woh kaam kar dikhaye hai

Khiza me reh ke bhi murjha nahi sakenge kabhi
Jigar ke khoon se hum ne woh gul khilaye hai

Jafaye milti hai aksar sile me ehsaa.n ke
Wafaye karke bohat hum ne gum uthaye hai

Nahi huye kabhi zindagi se hum mayus
Gum-o-alam me bhi har waqt muskuraye hai Usual Smile

Khushi ke saath rehte hai dard-o-gam bhi sada
Gulo.n ke saath kaante bhi hum ne paaye hai

Kare to kis se kare apni bekasi ka gila
Kabhi jo apne they Saba woh ab praye hai

Quote from: "harashmahajan"
saba aisa koi bhi nahi chahega..lekin..kutchh toh hai jo apni our kheenchata chala jata hai...

Koi jo roye toh woh muskra ke dekhte hain,
chalo toh aaj hum aansu baha ke dekhte hain.

suna hai unko bhulaker hi mout aayegi,
toh aaj hi se hum unko bhula ker dekhte hain.

suna hai jaake wahan se koi nahi ata,
toh unke pas jara hum bhi ja ke dekhte hain.

suna hai dil ke makaan main zameer rehta hai,
toh fir makaan ka der khata-khata ker dekhte hain

Quote from: "Saba_Saba"
Mujeh Ye Zid nahi mere Gally ka Haar ho jaao
Akela Chor dena , tum jahaa Be-zaar ho jaao

Bahot Jaldi Samajh mein aane lagte ho Zamane ki
Bahot Aasaan ho, thore Bahot dushwaar ho jaao

Mulaqato mein wafa is liye hona zaroori hai
Ke tum ik din judayi ke liye tayyar ho jaao

Mai kaisee chil-chilaati dhoop ke sehra se aaya hoo
Bas ab aisa karo, tum saya-e-deewar ho jaao

Tumhare paas dene ke liye jhooti tasalli ho
Na aaye aisa din, tum is qadar naadaar ho jaao

Tumhe maloom ho jaaye ga kaise ranj sehte hai
Meri itni dua hai kaash tum fankaar ho jaao .. nm..
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #142 on: April 15, 2006, 06:21:58 PM »

Ab dekhna kya our dikhana kya...ye toh apni chahat per hi nirbhar kerta hai....

Muzhe koun sa lutf haasil nahi hai,
Tera gam bhulaane ke kaabil nahi hai.

Tere dam kadam se diloon main hai rounaq,
Woh dil kya hai jo teri manzil nahi hai.

hue jab se abaad mere dil main,
Mera dil bhi ab toh mera dil nahi hai

woh rona toh bekaar rona hai 'harash'
lahoo jabki ashqon main shaamil nahi hai.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #143 on: April 16, 2006, 02:31:15 AM »
Reply with quote
Quote from: "harashmahajan"
Quote from: "Pooja"
bahoot khoob Harsh ji!!! socha tha ki apke aor Saba ke bich mai na hi likhu, magar app ne likhne per majboor kar diya:

Shaher mai hai ronak, yah dil veeran hai
Sooni ankhon mai, ab na koi armaan hai

Her koi hai shikari, her koi swarthy yahan
Ansso bhi bikane lage, wah kaya yah bazaar hai

Zinda lash ban gaye ab, tarprati hai her zindagi
Mout ka hai tandav, karvate badalti hai zindagi

Payaar naam per, vishwaas kaise koi kar jaaye
Maa baap ke hatho se hi, bacha jab sar-e-aam bik jaaye

Her GHAR bana shamshaan. Her DIL kabristan, hai
Na jaane Pooja, yah kon si duniya ka paigaam hai!!!
waah pooja ji bahoot achay...bahoot muddat ke baad ek oomda jawaab sun ne ko mila...

Ho rahe jo haadse yuin, baat kutchh toh jaroor hai,
aadmi jo aam hai woh, her tarah mazboor hai.

ker rahe badnaamian our bin adalat faisla,
shaks jo paaye saza, bebas our mazboor hai.

bastion main jal rahe jo, kagazon ke hain makaan,
kasoor ab jispe likha woh, aadmi bekasoor hai.

kho chuke jo khud bharosa, kisko ab iljaam dein,
Shaks ab bhi chup khada use her saza manzoor hai.

jhooth ke peband lage hain 'harash' ab poushaakh per,
aadmi jispe lage woh, aadmi mash-hoor hai.

Iradon ki andhi , udaye ja rahi hai
Insaan ko haiwan banaye ja rahi hai

Fashion ki hawa chal rahi hai charo aor
Kapre hi nahi, insaniyat koi bhi nuchaye ja rahi hai

Kon kisko ko dekhein kon kisko sune
Waqat ki dhaar sabko mitaye ja rahi hai

Muhobaat ka naam le ajj ki duniyan mai
Iske naam per, dhoka diye ja rahi hai

Her saans Pooja ki bojh hai uss per
Kis tarah wo is duniya mai jiye ja rahi hai
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #144 on: April 16, 2006, 02:22:08 PM »

waah pooja ji waah...aapne toh aajkal ka tapsra hi rakh diya apne lafzon main...warna aajkal ke Zakhmon main itna dard kahaan ki kutchh zubaan se nikal pade...

kis tarah maikade se nikla
our kaise kun-e-yaar chala aya
nawakif-e-raah, na hosh baaki tha
kyuin ker yahaan chala aya
girte, lad-khadate jyuin tyuin
Nizd-e-aastan-e-yaar ja gira
Girte hi sakoon aya
phir
sir khud-b-khud
tere Farsh-e-aasta tak chala aya.
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #145 on: April 17, 2006, 05:22:20 AM »
Reply with quote
kya baat hai HARASH JI, POOJA JI aur  SABA JI... kamaal ka likha hai aap sab ne.... bahut khoob
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #146 on: April 17, 2006, 12:52:05 PM »
Reply with quote
Bahoot Acha Likha Hai Sabhi Ne,..

Dekar Mujhe Wo Gham-e-Bewafai Muskurane ki Baatein Karte Hain..
Jab Tord Diya Unhone Dil Mera Bedardi Se Phir Kyun Aaj Dil Lagaane Ki Baatein Karte Hain,..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #147 on: April 24, 2006, 06:10:09 AM »
Reply with quote
Thanks Harsh, Vicky and Jshenn!! Harsh ji meri urdu bahoot hi kharab hai, Please agge se agar app meanings bhi likhy to mai kuch samjhane layak ho jau!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #148 on: April 24, 2006, 12:04:15 PM »
Reply with quote
Shukriya Pooja Ji,..
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #149 on: April 30, 2006, 02:36:27 PM »
Reply with quote
aakhiri baar jaane kyon maine
mud ke dekha tumhari aankhon men
ek lamha tha vo faqat lamha
bheed men doobkar jo tanha tha
sans bhi chup thi dhadkane bhi gum
ek sannata sa tha chaya hua
waqt ke belagam ghode ko
maine bebas sa ruka paya tha
kaash jo mere pas men hota
waqt ke ghode ka makhsoos chabuk
main yaqeenan us ek lamhe ko
itna dushvar na banne deti
tezgam zindagi ki rahon men
khushq patte sa hi uda deti
Logged
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11 12
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:48:19 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer