kya karu????????

by Saba_Saba on May 17, 2005, 07:33:15 AM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 12
ReplyPrint
Author  (Read 19988 times)
FAREE
Guest
«Reply #60 on: July 24, 2005, 08:06:53 AM »
Reply with quote
Nice............................................. ......................:D
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kin shabdo se karu mai bayan!!!! by Pooja in Miscellaneous Shayri
kya karu by Himani Agarwal in Shayri-E-Dard
kya tarif karu unki by yogi in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tu hi bata main kaya karu.... by Pooja in Critics and Review only Forum
aise bahoon ka haar karu by VIPAL in Shayri for Khumar -e- Ishq
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #61 on: July 30, 2005, 05:53:44 PM »
Reply with quote
Sukhriya keh bhi na sake us ko
ke pehle hi woh chala gaya duur
Sharminda hai aaj bhi us waqt se
jab woh hua tha humari Mohabbat me choor
Logged
FAREE
Guest
«Reply #62 on: August 03, 2005, 04:31:21 AM »
Reply with quote
Iss se pehle ke bewafaa hojayein...
Kyun na ae dost hum juda hojayein...

Tu bhi heere se ban gaya paththar...
Hum bhi jaane kiya hojayein...

Hum agar manzilein na bann paayein...
Manzilon tak ka raasta hojayein...

Der se soch mein hain parwaane...
Raakh hojayein ya hawa hojayein...

Ab ke gar tu mile to hum tujh se...
AisE liptein ke hum ek hojayein...

Bandagi hum ne chod di faraaz...
Kya karein jab log khuda hojayein...!!
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #63 on: August 03, 2005, 04:04:38 PM »
Reply with quote
Hmmmm Nice Selection................ Usual Smile

Kya khabar kal ko kya ho jaaye
Humsafar raah me juda ho jaaye
Aaj aayi hai baharein is dil me
Kisi ko pata na chale aur khiza ho jaaye
Logged
FAREE
Guest
«Reply #64 on: August 07, 2005, 10:57:20 PM »
Reply with quote
Thank You Saba


ItNi Bhi Kia NaRazGi AiSe Ho KYuN KhaFa

Kho GaYa Hai DeKho Na SaRa QaRaaR MeRa

MudDaToN Ke BaaD TuMhaRa KhuWaaB AaYa Hai

Yeh ShaB Na DhaLNe PaYe AaYe Na SaVeRa

ShaaM Ke SaYe TeRe BiNa KitNe TanHa HoTe HaiN

MuJh Ko SaMet LeTa Hai TeRi YaaDoN Ka AnDheRa

TeRi TaLaaSh MaiN BaTa MaiN KaHaaN JaaooN

Tu KaHaaN Hai AuR Hai KauN Sa DeSh TeRa.......................
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #65 on: August 09, 2005, 05:56:04 PM »
Reply with quote
Ohh so sweet

Qarar mera tum ne loot liya
Aur khud beqarar phirte ho
Zara hume bhi khabar ho
Tum hum se kitna pyar karte ho
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #66 on: August 13, 2005, 06:46:55 PM »
Reply with quote
Lab si liye hai hum ne na aah koi aayi
Yeh kaisi mohabbat hai yeh kaisi bewafayi
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #67 on: November 24, 2005, 05:29:09 PM »
Reply with quote
Saari duniya ki nigaaho.n ka bharam tod diya
Teri tasveer banate hi qalam tod diya

Chaandni jaisa sanam aur qamar sa chehra
Dekh kar tujh ko ujale ne bhi dam tod diya

Haal kuchh aisa hua tujh se bichar kar dil ka
Jaise machhli ne bina paani ke dam tod diya

Yeh mere ishq ki meraaj nahi to aur kya hai
Faisla likhte hi munsif ne qalam tod diya

Un ki nafrat na sahi jaaye gi hum se SABA
Dil ki majboor tamannao ne dam tod diya
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #68 on: December 11, 2005, 08:46:16 PM »
Reply with quote
Bewafayi kya hai dosto.n
Bas ek dard ka darya hai dosto.n
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #69 on: December 17, 2005, 05:48:19 AM »
Reply with quote
Quote from: "FAREE"
Iss se pehle ke bewafaa hojayein...
Kyun na ae dost hum juda hojayein...

Tu bhi heere se ban gaya paththar...
Hum bhi jaane kiya hojayein...

Hum agar manzilein na bann paayein...
Manzilon tak ka raasta hojayein...

Der se soch mein hain parwaane...
Raakh hojayein ya hawa hojayein...

Ab ke gar tu mile to hum tujh se...
AisE liptein ke hum ek hojayein...

Bandagi hum ne chod di faraaz...
Kya karein jab log khuda hojayein...!!



Faree ji bahoot hi llajwaab Gazal ka matla aour makta dono hi bahoot khoob hain...our Gazal ka har ashar achha raha...lekin Faree ji...Is leher main ek ashar ek dam ulat raha...last but one...." ab ke gar tu mile......hum ek ho jaaayein"..Ek taraf aap sarcasti remarks par dhayaan de rahein dujhe taraf..aap ek hone ki baat kar rahein hain...isi ek ashar ne Gazal ko pheeka kiya hai....anayatha...ye aapki Gazal awaal number lene waali hai...bahoot khoob....
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #70 on: December 17, 2005, 11:05:27 AM »
Reply with quote
Bewafayi ka ajab nazara hai
Har ek kahi na dosh humara hai

Raakh kar ke meri duniya logo.n
Woh kehta hai sanam humara hai
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #71 on: December 17, 2005, 03:02:13 PM »
Reply with quote
Tanha Rehne do meri tanhaayee yahi to ek sahara hai,
Soye hue mere Ishq ko jaane kisne pukaara hai.
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #72 on: December 18, 2005, 10:13:29 AM »
Reply with quote
Pukaarne wala koi apna hoga ~Harash~
warna is duniya me kaun humara hai
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #73 on: December 18, 2005, 04:01:55 PM »
Reply with quote
Saba ji ab kya kahein..na hi poochho toh achha hai....

Apno se ab talak jo paya woh hamne Gazlon main dhala hai,
khud hi andaza kare kis simt andhera our kis simt ujala hai.

meri ik-ik ashar ki dhun jo taar se nikli woh sabne suni hai,
Zamana kya jane jo saaz pe Guzri hai kis dil pe hua chhala hai.
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #74 on: December 22, 2005, 06:00:46 AM »
Reply with quote
Maine kiya hai mehsoos tere dil ke dard ko
Lafzo me jo dhala hai us jaan lewa qarb ko

Mit.ti nahi hai zehan se mere woh ajeeb sham
Jab dil me utara tha gazal ke harf ko
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 12
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:00:22 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer