Kya yeh itna aasaan hai....?

by punam on July 16, 2007, 12:15:35 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2585 times)
punam
Guest
Reply with quote
Aankho me jo aansoo aaj hai
unhe rok pana itna aasaan nahi

jo zakhm mila hai pyar me
bhool pana itna aasaan nahi

bhulake dard dil ka..
muskurana bhi itna aasaan nahi

Dil me jo toofan uth raha
usse chupana itna aasaan nahi

chaldiye wo chor ke apni duniya basane
par laut sake hum..itna aasaan nahi

ab na raha woh tera..na aayega kabhi
yeh dil ko samjhana bhi itna aasaan nahi...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
na aasaan hai bulaana...... by anitha in Shayri-E-Dard
Aasaan to nahin tha...lekin....!!!!! by Talat in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
Mushkilon ko aasaan banata chal by @kaash in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Mat samajhnaa rah-e-ishq aasaan hai! by abdbundeli in Ghazals
Mat Samajhnaa Rah-E-Ishq Aasaan Hai by ishu_singh10 in Shayri-E-Dard
Rajbir
Guest
«Reply #1 on: July 16, 2007, 12:17:09 PM »
Reply with quote
Punam

Sach mein yeh sab itna aasaan nahi sad5
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #2 on: July 16, 2007, 06:28:42 PM »
Reply with quote
Really Bootifull Punam ji.....Gud going....!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: July 16, 2007, 07:17:15 PM »
Reply with quote
bahoot khoob punam...

bahoot hi sahi baat kahi hai apne!!!

Uski ankhon ke ansoo per ab bhi dil ro jaata hai
Dil ko uski bewafai ka yakin dilana asaan nahi

Her ek zakham per uske dil tadap uthata tha
Uski ek tadap bhi, is dil ko bardashat nahi

Bhool kar insaaniyat, jisne rond dala mujhko
Ussi ki socho ko rond dalna, itna asaan nahi

Dil mai uthate rahte hai her waqat kitne tufaan
Ek uski awaz per, phir koi tufaan uthana asaan nahi

Jab dil chaha uska, laut aye hai mere zahan main wo
Itni thokar kha ker bhi, un ko Na kahna asaan nahi

Na tha wo mera, na hi hoga kabhi wo mera
Ek is Such per yakin karna, ajj bhi asaan nahi!!!

Uski ankhon ke ansoo per ab bhi dil ro jaata hai
Dil ko uski bewafai ka yakin dilana asaan nahi!!!
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #4 on: July 16, 2007, 10:06:41 PM »
Reply with quote
Pooja

Bahut ache =D>

Very meaningful thoughts !

Nice company to punam.
Logged
punam
Guest
«Reply #5 on: July 17, 2007, 07:07:42 AM »
Reply with quote
bhai jaan tanku ...

thanx pooja di... bahot khoob likha aap ne ....
Logged
punam
Guest
«Reply #6 on: July 17, 2007, 07:12:14 AM »
Reply with quote
Unki chahat dil se..unka ehsaas saanso se
anjaan karna itna aasaan nahi..

naam unka aate hi khil uthta hai dil
aankho se woh chamak mitana itna aasaan nahi

bhulane ki kosish me aur yaad aate hain woh
tanhaiyon me unki yaad se bach pana itna aasaan nahi

jidhar dekhoon woh hi woh nazar aate hai
nazron se unki chabi hatana itna aasaan nahi

majboor hain woh, ho sakte hai dur...na mil paayenge hum
par dil me se unhe mitana, bhool pana itna aasaan nahi..
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #7 on: July 18, 2007, 09:32:23 AM »
Reply with quote
bhoot acha likha hai poonam ji =D>

netra....
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #8 on: July 18, 2007, 04:43:36 PM »
Reply with quote
Quote from: "punam"
Unki chahat dil se..unka ehsaas saanso se
anjaan karna itna aasaan nahi..

naam unka aate hi khil uthta hai dil
aankho se woh chamak mitana itna aasaan nahi

bhulane ki kosish me aur yaad aate hain woh
tanhaiyon me unki yaad se bach pana itna aasaan nahi

jidhar dekhoon woh hi woh nazar aate hai
nazron se unki chabi hatana itna aasaan nahi

majboor hain woh, ho sakte hai dur...na mil paayenge hum
par dil me se unhe mitana, bhool pana itna aasaan nahi..


Just Fantastic Punam....

Asaan nahi tha mere liye......
Tujhe bhool jana......

Bewafa Nikla Dard bhi.....
Kehta hai kabhi Khushion me mujhe azmaana......

Rehte hai ab bane bebas binn Armaano ke......
Kehti hai ab Raah bhi....Aye Musaafir aakhir tujhe hai kahan jana......

Le chalo mujhe wahin......
Jahan Saja ho meri Mohbbat ka Shamiyaana....!!!!!!!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #9 on: July 20, 2007, 01:17:13 PM »
Reply with quote
Quote from: "punam"
Aankho me jo aansoo aaj hai
unhe rok pana itna aasaan nahi

jo zakhm mila hai pyar me
bhool pana itna aasaan nahi

bhulake dard dil ka..
muskurana bhi itna aasaan nahi

Dil me jo toofan uth raha
usse chupana itna aasaan nahi

chaldiye wo chor ke apni duniya basane
par laut sake hum..itna aasaan nahi

ab na raha woh tera..na aayega kabhi
yeh dil ko samjhana bhi itna aasaan nahi...


Wah Wah Punam.. bahut Khooooob.. Behad Dard Bhara aur Ehasaason
Se Saji Rachna Pesh Ki hai aapne..... Really Great Work.....  Usual Smile  Usual Smile
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #10 on: July 25, 2007, 01:27:07 PM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
bahoot khoob punam...

bahoot hi sahi baat kahi hai apne!!!

Uski ankhon ke ansoo per ab bhi dil ro jaata hai
Dil ko uski bewafai ka yakin dilana asaan nahi

Her ek zakham per uske dil tadap uthata tha
Uski ek tadap bhi, is dil ko bardashat nahi

Bhool kar insaaniyat, jisne rond dala mujhko
Ussi ki socho ko rond dalna, itna asaan nahi

Dil mai uthate rahte hai her waqat kitne tufaan
Ek uski awaz per, phir koi tufaan uthana asaan nahi

Jab dil chaha uska, laut aye hai mere zahan main wo
Itni thokar kha ker bhi, un ko Na kahna asaan nahi

Na tha wo mera, na hi hoga kabhi wo mera
Ek is Such per yakin karna, ajj bhi asaan nahi!!!

Uski ankhon ke ansoo per ab bhi dil ro jaata hai
Dil ko uski bewafai ka yakin dilana asaan nahi!!!


bhoot khoob pooja jee chaa gayee aap to...........

aye malik itna de dya tune majhe
sametoo me kayse maloom nahi
bhar dee jholi tune jakhmo se meri
kah gaye wo bhee aaj bewafa mujhe

insaan ban ke ayaa the dwar se tere
aaj laye dard khada hoo dwar pe tere

nahi saha jata hai bojh darde-dil ka ab
jo bante the mallikaye-dil hamare hee
chod ke hame kisi or ashyaana sajate hai
sajate hai mahfile gairo kee bewafa hame batate hai

netra...
Logged
punam
Guest
«Reply #11 on: July 25, 2007, 04:06:29 PM »
Reply with quote
Quote from: "NETRAPAL"
bhoot acha likha hai poonam ji =D>

netra....


thanx netra ji.....
Logged
punam
Guest
«Reply #12 on: July 25, 2007, 04:11:24 PM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
Quote from: "punam"
Unki chahat dil se..unka ehsaas saanso se
anjaan karna itna aasaan nahi..

naam unka aate hi khil uthta hai dil
aankho se woh chamak mitana itna aasaan nahi

bhulane ki kosish me aur yaad aate hain woh
tanhaiyon me unki yaad se bach pana itna aasaan nahi

jidhar dekhoon woh hi woh nazar aate hai
nazron se unki chabi hatana itna aasaan nahi

majboor hain woh, ho sakte hai dur...na mil paayenge hum
par dil me se unhe mitana, bhool pana itna aasaan nahi..


Just Fantastic Punam....

Asaan nahi tha mere liye......
Tujhe bhool jana......

Bewafa Nikla Dard bhi.....
Kehta hai kabhi Khushion me mujhe azmaana......

Rehte hai ab bane bebas binn Armaano ke......
Kehti hai ab Raah bhi....Aye Musaafir aakhir tujhe hai kahan jana......

Le chalo mujhe wahin......
Jahan Saja ho meri Mohbbat ka Shamiyaana....!!!!!!!


thanx gaurav ji..... bahot khoob likha aapne....

thanx vicky ji..... aap sab aik jaise barke aik shayar ho.... yehan najar dala yeh bahot hai....
Logged
monali
Guest
«Reply #13 on: July 26, 2007, 06:01:55 PM »
Reply with quote
Punamji, Gauravji, Vickyji
gr8 work, bahut khub likha aap sabne
God bless you
Logged
punam
Guest
«Reply #14 on: August 12, 2007, 11:13:41 AM »
Reply with quote
Thanx monali....
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:09:19 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer