Lagta hai margaya hun main.

by mazHur on December 13, 2009, 09:13:23 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 997 times)
mazHur
Guest
Reply with quote
Lagta hai margaya hun main
by mazHur


Beyjurm ik saza hun main

Ek dard-e-dil dawa hun main.
 

Baad-e-saba sambhal k chal

Bujhta hua diya hun main.
 

Kante ulajh rahay hain kyun

Gulshan ko jaraha hun main.
 

Aeena dekh kya lia

Aena ban gaya hun main.
 

Dhundlahatain nazar main hain

So kar abhi utha hun main.
 

Qudrat sara-pa raz hai

Yeh raaz janta hun main.
 

Aghaaz kuch bura nahi

Anjaam janta hun main.
 

Badnaam kar na aye junoon

Sach sach bata de kya hun main.
 

Firaun se na kar sawaal

Keh day ga woh khuda hun main.
 

Mujh ko na muskura k dekh

Aye zindagi khafa hun main.
 

Nazren chura rahe hain who

Palkein bicha raha hun main.

 

Iblees kha gaya fareb

apna jo lag raha hun main.

 

Sadqay teri  jafaon ke

Thora sa bewafa hun main.
 

Gar tu qareeb-e-jan hai

Phir kis ko dhoondta hun main?
 

Dil main utar k dekh le

Mujh se na puch kya hun main.

 

Rakhta hun paak farsh-e-dil

Kashaana-e-khuda hun main!
 

Tu hi na kuch   samajh saka

Tujh ko samajh chuka hun main.

 

Yeh shehr jo udaas hai

Lagta hai margaya hun main.
 

Mehfil teri saji rahe

Aye dost ja raha hun main. .
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
DAR LAGTA HA by yasir_sensitive in Shayri-E-Dard
***DAR LAGTA HAI*** by yasir_sensitive in Shayri-E-Dard
DaR LAgTA hAi by clicksahil in Shayri for Khumar -e- Ishq
LAGTA HAIN MAIN AKELA HOON by ANKIT RAO in Shayri-E-Dard
LAGTA HAIN MAIN MARKAR BHI KAAM NA AA SAKA by ANKIT RAO in Shayri-E-Dard
mazHur
Guest
«Reply #1 on: December 13, 2009, 09:14:45 PM »
Reply with quote
Lagta hai margaya hun main
by mazHur


Beyjurm ik saza hun main

Ek dard-e-la-dawa hun main.
 

Baad-e-saba sambhal k chal

Bujhta hua diya hun main.
 

Kante ulajh rahay hain kyun

Gulshan ko jaraha hun main.
 

Aeena dekh kya lia

Aena ban gaya hun main.
 

Dhundlahatain nazar main hain

So kar abhi utha hun main.
 

Qudrat sara-pa raz hai

Yeh raaz janta hun main.
 

Aghaaz kuch bura nahi

Anjaam janta hun main.
 

Badnaam kar na aye junoon

Sach sach bata de kya hun main.
 

Firaun se na kar sawaal

Keh day ga woh khuda hun main.
 

Mujh ko na muskura k dekh

Aye zindagi khafa hun main.
 

Nazren chura rahe hain who

Palkein bicha raha hun main.

 

Iblees kha gaya fareb

apna jo lag raha hun main.

 

Sadqay teri  jafaon ke

Thora sa bewafa hun main.
 

Gar tu qareeb-e-jan hai

Phir kis ko dhoondta hun main?
 

Dil main utar k dekh le

Mujh se na puch kya hun main.

 

Rakhta hun paak farsh-e-dil

Kashaana-e-khuda hun main!
 

Tu hi na kuch   samajh saka

Tujh ko samajh chuka hun main.

 

Yeh shehr jo udaas hai

Lagta hai margaya hun main.
 

Mehfil teri saji rahe

Aye dost ja raha hun main. .
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: December 16, 2009, 12:53:41 AM »
Reply with quote
Wah bahut khoob Mazhur ji,great creation.really touched icon_thumleft Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:38:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer