Maa Main Jeena Chaahti Thi

by sweetsandynarwal on June 11, 2012, 10:49:42 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1430 times)
sweetsandynarwal
Guest
Reply with quote
So Kyon Manda Aakhiye
Jis Jamme Rajaan!!!!

Guru Nanak Dev Ji Ne Yeh Anmol Bachan Uchaare The Ke Hum Usse Kaise Bura Keh sakte hai Jo Ek Janani hai,Yeh Insaan Ko kabhi nahi Bhoolna Chahiye Ke Bade-Bade Raje-Mahraajo,Peer-Paighambar,Sant-Avtaar Ko Janam Dene Wali Ek Aurat Hi Hai..

Aaj Ka Sach.....

“She was Thrown in the garbage dump outside the village for dogs that ate her.

Her only fault — she was the fourth girl born in a poor family,” said By
paediatric doctor here, recalling the first time she witnessed discrimination against female infants.

Even today In Modern Times Birth of girl child is viewed as a bad investment for future..

India’s female to male ratio is 100 males to 93 females compared to a world average of 100 males to 105 females......

Yeh Hai Aaj ke daur Ka Ghinona Sach..Main Iss Kavita Ko Kavita Naa Maankar Sirf Ek Pukaar ka Darja Dunga,Ek Aisi Pukaar Jo Ek Ladki Apni Maa,Apne baap se Kardi hai Ke Aakhir Kyon Usse Hi Janam Milne Se Pehle Maar Diya Jaata Hai..

Iss Kavita Par Comments dena Na Dena,Shayad Zaroori nahi hai Par Iss Kavita Ke Dard Ko,Ehsaas Ko Samjhna Bahut Zaroori Hai,Agar Yeh kavita Kisi Ke dil Mein Dard paida kar sake,Aur Hum Yeh sab Hone Se Rok sake Jisse Jeev Hatya Ya Female Infanticide Kehte Hai to Bas Wahi Ek Anmol Inaam Hi Iss Kavita Ka..Shukriya..

Maa Teri saanson se meri saansein chalti Rahi
par pata Nahi kyon aaj saanso Ka Aana Band sa ho gaya
Ek Rooh Thi Main Tere Jism Ki
Par pata Nahi Kyon Aaj Iss Rooh Se Jism Hi Juda Ho Gaya

Maa Main Tujhse Kuch Kehna Chaahti Thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi...

Jaane Kyon Mujhe Woh Tera Pyaar Naa Mila
Teri Balayen, Tera Woh Dulaar Naa Mila
Maa Main Teri Aanhkon Ka Tara Bankar Jhilmilana Chaahti Thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi...

Maa main thi To ek Beti Par Kisi Bete Sa Kam naa Thi
Ek Baar Sach Kehna,Mujhe maarne Par Kya Teri Aankhein Nam Na Thi..
Maa Main Bhi tere Kadmon se Kadam Milakar chalna Chaahti thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi...

Ek Beti ko Hi kyon Har baar Parkha Jaata Hai
eK jageh par janam Dete waqt Kehte Ho ghar Ki laxmi Ne Janam liya
Aur Dusre Hi pal usse paraya Dhan Kaha Jaata Hai
Maa Main Teri Dost, Teri Sakhi, Tera Hi Roop Bana Chahti thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi...

Betiyan To Papa ki Laadliyan Hoti hai
Betiyan to papa Ke Liye Jaan Se Pyaari Hoti hai
Main Aap Dono Ki Izzat Bankar Duniya Mein Rehna Chaahti thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi..

"Khwaish" Kehta Hai Har Ek Jeev Ko haq Hai Zindagi Ko Jeene Ka
Kisi Ke haq Ko Cheena gunaah hai,
Ek masoon Si Jaan Ka Qatl karna, Kya Woh Insaan Hai??

Beti To Ek Phool Bankar Ghar-Aangan Mein Khilna Chaahti Thi..
bas..Uski Pukaar Yehi Thi..."Maa Main Jeena Chaahti Thi..."
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Jeena bhi kya jeena NM by uditakeehsaas in Shayri-E-Dard
~~jeena aa gya~~~~ by umraan in Shayeri for Dard -e- Bewafai
JAB JEENA HR HAAL MAIN HAI... by prabhat.singh in Shayri for Khumar -e- Ishq
-----/// Jaane kya kya lautaana chaahti hai /// ----- Hriday by ~Hriday~ in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Taish- Vo CHAAHTI hai...!! by ghayal_shayar in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: June 11, 2012, 10:57:16 AM »
Reply with quote
naaree ko vedon men purushon se oonchaa sthaan diyaa gayaa hai kyon? kyonki naaree mastishk paidaa kartee hai aur aadmee ye kaam naheen kar saktaa hai naaree se sansaar chaltaa hai.kalpnaa karo yadi saaree naariyaan khatm ho jaaye to kyaa sansaar chalegaa naheen naheen lekin yadi saare purush khatm ho jaaye to bhee ye sansaar chalegaa kyon aap khud samajhdaar hain so jo log naaree ko mitaane kaa ye dushkarm karte hain un par thoo thoo.aapkee is peshkash par aapko sadhuwaad aur dheron daad. aur ek rau bhee
Logged
himanshuIITR
Guest
«Reply #2 on: June 11, 2012, 11:23:43 AM »
Reply with quote
beautiful creation
Logged
YoursKaran1985
Guest
«Reply #3 on: June 11, 2012, 12:09:17 PM »
Reply with quote
Sir yeh to khawahish ji ki likhi hui hai na....... Maine padhi hai unhone post bhi ki hui hai yahan  par.....dobara ise yahan padha to wo yaad taja ho gai
Logged
roy
Guest
«Reply #4 on: June 11, 2012, 05:08:14 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause
khoob likha hai g
Logged
sarfira
Guest
«Reply #5 on: June 11, 2012, 07:20:20 PM »
Reply with quote
sad5sad5sad5sad5
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: June 12, 2012, 10:28:24 AM »
Reply with quote
So Kyon Manda Aakhiye
Jis Jamme Rajaan!!!!

Guru Nanak Dev Ji Ne Yeh Anmol Bachan Uchaare The Ke Hum Usse Kaise Bura Keh sakte hai Jo Ek Janani hai,Yeh Insaan Ko kabhi nahi Bhoolna Chahiye Ke Bade-Bade Raje-Mahraajo,Peer-Paighambar,Sant-Avtaar Ko Janam Dene Wali Ek Aurat Hi Hai..

Aaj Ka Sach.....

“She was Thrown in the garbage dump outside the village for dogs that ate her.

Her only fault — she was the fourth girl born in a poor family,” said By
paediatric doctor here, recalling the first time she witnessed discrimination against female infants.

Even today In Modern Times Birth of girl child is viewed as a bad investment for future..

India’s female to male ratio is 100 males to 93 females compared to a world average of 100 males to 105 females......

Yeh Hai Aaj ke daur Ka Ghinona Sach..Main Iss Kavita Ko Kavita Naa Maankar Sirf Ek Pukaar ka Darja Dunga,Ek Aisi Pukaar Jo Ek Ladki Apni Maa,Apne baap se Kardi hai Ke Aakhir Kyon Usse Hi Janam Milne Se Pehle Maar Diya Jaata Hai..

Iss Kavita Par Comments dena Na Dena,Shayad Zaroori nahi hai Par Iss Kavita Ke Dard Ko,Ehsaas Ko Samjhna Bahut Zaroori Hai,Agar Yeh kavita Kisi Ke dil Mein Dard paida kar sake,Aur Hum Yeh sab Hone Se Rok sake Jisse Jeev Hatya Ya Female Infanticide Kehte Hai to Bas Wahi Ek Anmol Inaam Hi Iss Kavita Ka..Shukriya..

Maa Teri saanson se meri saansein chalti Rahi
par pata Nahi kyon aaj saanso Ka Aana Band sa ho gaya
Ek Rooh Thi Main Tere Jism Ki
Par pata Nahi Kyon Aaj Iss Rooh Se Jism Hi Juda Ho Gaya

Maa Main Tujhse Kuch Kehna Chaahti Thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi...

Jaane Kyon Mujhe Woh Tera Pyaar Naa Mila
Teri Balayen, Tera Woh Dulaar Naa Mila
Maa Main Teri Aanhkon Ka Tara Bankar Jhilmilana Chaahti Thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi...

Maa main thi To ek Beti Par Kisi Bete Sa Kam naa Thi
Ek Baar Sach Kehna,Mujhe maarne Par Kya Teri Aankhein Nam Na Thi..
Maa Main Bhi tere Kadmon se Kadam Milakar chalna Chaahti thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi...

Ek Beti ko Hi kyon Har baar Parkha Jaata Hai
eK jageh par janam Dete waqt Kehte Ho ghar Ki laxmi Ne Janam liya
Aur Dusre Hi pal usse paraya Dhan Kaha Jaata Hai
Maa Main Teri Dost, Teri Sakhi, Tera Hi Roop Bana Chahti thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi...

Betiyan To Papa ki Laadliyan Hoti hai
Betiyan to papa Ke Liye Jaan Se Pyaari Hoti hai
Main Aap Dono Ki Izzat Bankar Duniya Mein Rehna Chaahti thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi..

"Khwaish" Kehta Hai Har Ek Jeev Ko haq Hai Zindagi Ko Jeene Ka
Kisi Ke haq Ko Cheena gunaah hai,
Ek masoon Si Jaan Ka Qatl karna, Kya Woh Insaan Hai??

Beti To Ek Phool Bankar Ghar-Aangan Mein Khilna Chaahti Thi..
bas..Uski Pukaar Yehi Thi..."Maa Main Jeena Chaahti Thi..."



Sweetsandy Ji...Mujhe Bahut Acha laga Ke Aapne Meri yeh kalaam Share Ki Hai..Yeh Meri pasandida Kalaamo Mein Ek Hai Bas Itni Si Guzaarish Hai Aapse Ke Iska Title Naa Badle..Maine Isse Ek Pukaar, Ek Awaaz ka Darja Diya Hai...Main Khud Chaahta Hoon Ke Aur Bhi Log Isse Padhe..

Aur Iss Prata Ka Har tareh Sa Khaatma Ho...


Thankyou Soooooooooooooooooo For Sharing My Work!!!!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 05:00:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.15 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer