Mai bhi tou tera pyaar hoon....

by Alam Qazi on February 16, 2007, 02:32:43 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3124 times)
Alam Qazi
Guest
Reply with quote


Bahot khaamosh hoon, badaa bezaaar hoon
Gamo'n ke khwahisho'n ka, ek talabgaar hoon
Nigahei'n dekhtee hai , bahot doooor tak use
Wafaa bhi kehtee hai, mai kyon bekaraar hooon
Tune nigahei'n kyon , aaj mujhse ye fer lee
Aise na maar zaalim, mai bhi tou tera pyaar hoon
Kyon ! zindagi ne "ALAM" har waqt diya fareb
Khushiyo'n se khelne ka, mai bhi tou haqdaar hoon  :cry:  :cry:
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tera mera pyaar by sandeepparker in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Tera diwana hoon by redwhitegang in Shayri for Khumar -e- Ishq
Shaad hoon: un ney mujhey pyaar key qaabil samjhaa! by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
De Saza Khatawar Hoon Tera (Shihab) by majid in Shayeri for Dard -e- Bewafai
nikki
Guest
«Reply #1 on: February 16, 2007, 02:40:05 PM »
Reply with quote
very nice Alam ji...

maana hamare hisse mein gum hi likhe the
magar khushiya bhi kum na thi
jo mili hai mujhe usse pyar karne ki daulat
woh usse paa lene se to kum na thi
Logged
Alam Qazi
Guest
«Reply #2 on: February 16, 2007, 02:47:26 PM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
very nice Alam ji...

maana hamare hisse mein gum hi likhe the
magar khushiya bhi kum na thi
jo mili hai mujhe usse pyar karne ki daulat
woh usse paa lene se to kum na thi


thanks nikki for appreciation..
Logged
nikki
Guest
«Reply #3 on: February 16, 2007, 02:53:25 PM »
Reply with quote
ur welcome Alam G

yeh maana woh jaate-2 dil dukha kar gaya hai
na chahte hue bhi mujhe rulakar gaya hai

magar qaraar to usse bhi nahi aaya hoga
jab khayaal mein bhi mujhe sisakta hua paaya hoga
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #4 on: April 15, 2007, 05:56:44 AM »
Reply with quote
wah wah alam qazi ji.. kya kahein.. bohaat hi umda likha hai.. gr888


as always...very nice & impressive nikki...

jaise jaise khamoshi har lamha seene mein utar chali hai
mere vajood ki hasti pal pal,duniya se waise mitt rahi hai
haal-e-bayaan karne ki lafzon mein abb woh taQat nahi hai
Har ghadi ret ki tarah maano,zindagi abb toh fisal rahi hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: April 15, 2007, 07:41:14 AM »
Reply with quote
bahoot khoom Alam ji, Nikki and BD JI...
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #6 on: April 16, 2007, 02:30:24 PM »
Reply with quote
Quote from: "Alam Qazi"


Bahot khaamosh hoon, badaa bezaaar hoon
Gamo'n ke khwahisho'n ka, ek talabgaar hoon
Nigahei'n dekhtee hai , bahot doooor tak use
Wafaa bhi kehtee hai, mai kyon bekaraar hooon
Tune nigahei'n kyon , aaj mujhse ye fer lee
Aise na maar zaalim, mai bhi tou tera pyaar hoon
Kyon ! zindagi ne "ALAM" har waqt diya fareb
Khushiyo'n se khelne ka, mai bhi tou haqdaar hoon  :cry:  :cry:


waah alam saheb waah kya khoob likha hai....aapki nazer do shabd....


Zindagi se ab kya gila,per khamosh hooN, bada bekraar hooN maiN
bewafa se mili  judayii ka khuda kasam talabgaar hoon main.
Chae chhorh hi  diya hai tanha,  us zaalim ne mujhe is tarah
Phir bhi uski yaadoN se tanhayii mein milne ka haqdaar hooN main


Harash
[/b][/color]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: April 16, 2007, 03:08:37 PM »
Reply with quote
Bewafa hai wo bahoot,
dil mai, mere bhi daraar hai
kabhi jhagra kabhi muhobaat
shayad Zindagi issi ka naam hai
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #8 on: April 16, 2007, 07:37:56 PM »
Reply with quote
Kin kin be-wafaoN se milwaoge aap
Kitne our Zakham khaoge aap
Baithhe haiN hum aapki raah maiN
Fursat maiN kab aaoge aap


Harash
[/b][/color]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: April 16, 2007, 07:47:26 PM »
Reply with quote
Ek be-wafa kaafi hai satane ko
Torr kar dil, mujko rulane ko
Jab bhi chorna chaha chora nahi mujhe
Usse bhi chahiye koi her pal sataane ko
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #10 on: April 16, 2007, 08:01:46 PM »
Reply with quote
Ailaan ker do baat adhoori abhi rahi
Chalte haiN phir milenge agar zindagi rahi.



Harash
[/b][/color]
Logged
Chands
Guest
«Reply #11 on: April 16, 2007, 08:48:32 PM »
Reply with quote
Quote from: "harashmahajan"
Kin kin be-wafaoN se milwaoge aap
Kitne our Zakham khaoge aap
Baithhe haiN hum aapki raah maiN
Fursat maiN kab aaoge aap


Harash
[/b][/color]



wapasi ka uski toh koi sawal hi nahi
nikal gaya hai jo ansoo ki tarha...
Logged
Chands
Guest
«Reply #12 on: April 16, 2007, 08:52:43 PM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
Ek be-wafa kaafi hai satane ko
Torr kar dil, mujko rulane ko
Jab bhi chorna chaha chora nahi mujhe
Usse bhi chahiye koi her pal sataane ko




kya hua ho gaye tum jo udaas
unhone toh apna dil behla kar dekh liya...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: April 16, 2007, 08:54:48 PM »
Reply with quote
bahoot sahi kaha chand ji apne...

Behla kar chor dete to acha tha
Sath rahne ki yah zid kayun
Toot toot kar kab tak siskein
Hume zinda rakhne ki yah zid kayun
Logged
Chands
Guest
«Reply #14 on: April 16, 2007, 09:30:15 PM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
bahoot sahi kaha chand ji apne...

Behla kar chor dete to acha tha
Sath rahne ki yah zid kayun
Toot toot kar kab tak siskein
Hume zinda rakhne ki yah zid kayun




humi ne di hai use izzazat ki woh barbaad hume kar jaye
hum bawafa rahe chahe bewafai ki woh hade paar kar jaye...
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
October 31, 2024, 04:17:33 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]

[October 29, 2024, 06:05:52 AM]

[October 27, 2024, 11:20:13 AM]

[October 27, 2024, 11:11:07 AM]

[October 27, 2024, 10:00:45 AM]

[October 27, 2024, 09:34:15 AM]

[October 19, 2024, 08:53:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8504 Real Poets and poetry admirer