---- /// Main itna bhi nirdayi nahi hoon /// ----

by klaskar on April 23, 2010, 11:49:00 PM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 4109 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
Reply with quote
tere jaane se kuch aisa ho gaya hoon,
dil k hi haathon majboor ho gaya hoon,
kal tak tere kahe raaston pe chalta tha,
aur aaj tera hi gunehgaar ho gaya hoon,
jaane anjaane me kuch galtiyaan ki hongi,
us pal tu bhi to mere sang rahi hogi,
par priye, main tujhe gunehgaar keh doon,
main itna bhi nirdayi nahi hoon,

tu hi thi jisne kabhi mujhe hasna sikhaya,
tu ne hi kabhi mere dil ko dhadakna sikhaya,
jab mujhe mohabbat ho chali thi maut se,
tu ne hi us pal mujhe jeena sikhaya,
jis safar me kuch pal saath chali thi tu mere,
aaj wahaan main chal raha hoon akela bin tere,
par priye, main tujhe bewafaa keh doon,
main itna bhi nirdayi nahi hoon,

ab mujhe har haseen chehre se dar lagta hai,
jaane q ab mujhe mohabbat se bhi dar lagta hai,
kal tak har saans k sath tera naam liya karta tha,
ab to mujhe apni saanso se bhi dar lagta hai,
jis din se tune mera saath chhod diya,
mere hothon ne bhi muskurana chhod diya,
par priye, main tujhe uski wajah keh doon,
main itna bhi nirdayi nahi hoon,

har safar me manzil paana mumkin nahi hai,
har ek ko haasil milna mumkin nahi hai,
kuch khwaab adhure reh jaate hain,
har khwaab ka poora hona mumkin nahi hai,
jo khwaab tere sang jeene ka tha mera,
usme saath chhut gaya hai ab tera,
par priye, main tujhe bewafaa keh doon,
main itna bhi nirdayi nahi hoon,

ab mere dil me koi aarzoo na rahi,
kisi ko paane ki tamanna na rahi,
ji chuke hain apni zindagi tere sang,
ab aur jeene ki tamanna na rahi,
zindagi k har pal ko humne muskura k jiya,
ab tere naam se zeher bhi muskrura k piya,
par priye, main tujhe apna qaatil keh doon,
main itna bhi nirdayi nahi hoon...
Logged
neelgold
Guest
«Reply #1 on: April 24, 2010, 12:07:54 AM »
Reply with quote
Wah ji wah..........

"KAMAL"

Bhut hi khoob!!!!!!!!!!!

Yeh dil ka dard hai jo khud hi Byan ho jata hai
Kitna b khoshish kar lo isse chupane ki ,fir yeh chera pe nazar aah hi jata hai  love9 love9


Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #2 on: April 24, 2010, 01:51:22 AM »
Reply with quote
Wah! Bahut khoob likha hai aap ne Kapil Ji
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #3 on: April 24, 2010, 06:34:08 PM »
Reply with quote
wwaah waah waah bahut khob kapil ji neel ji ne sahi kaha dil ka dard chhupaye nhi chhupta...bahut khoob...Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: April 24, 2010, 06:57:04 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Neel ji...bahut din baad aapne KAMAL likha hai... jiska arth main samajh gaya... shukriya Neel ji...!!! Aapne bhi bahut khoob likha hai...!!!

wo hamaari hasi k pichhe chhipe dard ko dekh lete hain,
bhari barsaat me bhi hamaare aansuon ko dekh lete hain...


Wah ji wah..........

"KAMAL"

Bhut hi khoob!!!!!!!!!!!

Yeh dil ka dard hai jo khud hi Byan ho jata hai
Kitna b khoshish kar lo isse chupane ki ,fir yeh chera pe nazar aah hi jata hai  love9 love9



Logged
neelgold
Guest
«Reply #5 on: April 24, 2010, 07:25:38 PM »
Reply with quote
Thanx Dear !!!!!!!!!
wwaah waah waah bahut khob kapil ji neel ji ne sahi kaha dil ka dard chhupaye nhi chhupta...bahut khoob...Applause Applause
Logged
neelgold
Guest
«Reply #6 on: April 24, 2010, 07:28:10 PM »
Reply with quote
Voh kabhi hamri ankh se ek ansoo bi na girne dete the
Kya hua aab jo unne barsaat ka b pata na chala

bahut bahut shukriya Neel ji...bahut din baad aapne KAMAL likha hai... jiska arth main samajh gaya... shukriya Neel ji...!!! Aapne bhi bahut khoob likha hai...!!!

wo hamaari hasi k pichhe chhipe dard ko dekh lete hain,
bhari barsaat me bhi hamaare aansuon ko dekh lete hain...


Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #7 on: April 24, 2010, 07:31:48 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Rajesh ji...!!!

Wah! Bahut khoob likha hai aap ne Kapil Ji
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: April 24, 2010, 07:32:38 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Geet ji... tahe dil se sukriya adaa karta hoon main aapka...!!!

wwaah waah waah bahut khob kapil ji neel ji ne sahi kaha dil ka dard chhupaye nhi chhupta...bahut khoob...Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #9 on: April 24, 2010, 07:40:22 PM »
Reply with quote
bahut khoob likha hai aapne Neel ji...

na barsaat ko dekh paate hain na teri aansuon ko hum dekh paate hain,
aansuon k samundar me doobke ab teri gili aankhon ko kam dekh paate hain...


Voh kabhi hamri ankh se ek ansoo bi na girne dete the
Kya hua aab jo unne barsaat ka b pata na chala

Logged
neelgold
Guest
«Reply #10 on: April 24, 2010, 07:49:56 PM »
Reply with quote
Jo har Sawan se phele aah jata
Jo gata se phele cha jata
Kitni barish sukhi nikal gaye
zalim, ek baar to zlak dikha jata
bahut khoob likha hai aapne Neel ji...

na barsaat ko dekh paate hain na teri aansuon ko hum dekh paate hain,
aansuon k samundar me doobke ab teri gili aankhon ko kam dekh paate hain...


Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #11 on: April 24, 2010, 08:15:06 PM »
Reply with quote
beautiful...

subah ki suraj k saath main aaya tha,
raat ko chaand k saath main aaya tha,
tune dekh k bhi andekha kar diya mujhe,
teri har dhadkan k saath main aaya tha...


Jo har Sawan se phele aah jata
Jo gata se phele cha jata
Kitni barish sukhi nikal gaye
zalim, ek baar to zlak dikha jata
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #12 on: April 24, 2010, 09:00:57 PM »
Reply with quote
Wah wah Kapil ji aur Neel ji bahut hi khoob,bahut dard aur khoobsurati se likha aap dono ne.great work.excellent,keep up the good work. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #13 on: April 24, 2010, 09:09:57 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Madhu ji..!!!

Wah wah Kapil ji aur Neel ji bahut hi khoob,bahut dard aur khoobsurati se likha aap dono ne.great work.excellent,keep up the good work. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
neelgold
Guest
«Reply #14 on: April 24, 2010, 11:15:33 PM »
Reply with quote
THnx Madhu ji ..
Relly thnx 4 ur appericaition
Wah wah Kapil ji aur Neel ji bahut hi khoob,bahut dard aur khoobsurati se likha aap dono ne.great work.excellent,keep up the good work. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 08:42:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer