main tum ko har baithe hon

by anokhiladli on May 19, 2010, 06:13:32 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1389 times)
anokhiladli
Guest
Reply with quote
na mujh ko yad aoo tum
na mujh ko yon satao tum
suno yae bat mairi tum
karo gay ab na asay tum

tum mujh say door reh ker bhee
mairay he pass rehtay ho
yae keon ker batoon main
k mairi tum he chahat ho

mager ab aisa hona hay
or tum ko ker he daina hay
k mujh ko apni chahat say
tumhay azad kerna hay

tumhari baiwafaee per
tmhari sub aadaoon per
tumhari bayrukhi k sath
tumhari her jafa k sath

main itni bar tooti hon
bikher ker phir main simti hon
isi bannany bikhrnay main
main sub kuch kho sa baithi hon

tumhay maloom hay jana
main apni lakh koshish per
bikher ker ab jo toti hon
to khud ko jor na paee

k khud ko jornay ka jo
kabhee tha hosla mujh main
main us ko chore baithi hon
or thak ker har biathi hon

tumharay sath chlnay ka
yumhay apna bananay ka
maira apna jo sapna tha
main us ko tor baithi hon

main bazi har baiti hon
main tum ko jeet na paee
main tum ko har baithi hon
main tum ko har baithi hon
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
baithe baithe by Princess21 in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 9 10 »
Kya samajh baithe by thycreator in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Rog laga Baithe by muskaan.hir in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Dil lagaye baithe hai! by salma786 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
kal shaam yoon hi chhat par baithe baithe by MinakshiGil in Share Poetry You Like
likemaddy
Guest
«Reply #1 on: May 19, 2010, 06:37:22 AM »
Reply with quote
wah wah anokhiladi jee wah wah great lines

dil me vibration hone laga pad kar

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

 icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut
Logged
anokhiladli
Guest
«Reply #2 on: May 19, 2010, 06:43:34 AM »
Reply with quote
thanks likemaddy for liking my nazam
 Usual Smile
Logged
vb
Guest
«Reply #3 on: May 19, 2010, 08:32:02 AM »
Reply with quote
buhat khoob...

is beher ko jaisay aap follow kar rahi hain.. buhat control haasil kar liya hay aap ne.. achha laga isay parh kar.. rawani.. :]
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #4 on: May 19, 2010, 08:40:05 AM »
Reply with quote
wah bahoth qoob VB saheb , kya kahene ap ke kya kahene sahab la jawab kahete ho ,, nazm nazar nawaz howi ,, har bandh me lutf aya , 7th bandh me

Tumhare saath chalne ka..
tumhe apna banane ka .. ( shayad T ke jaga y Type hogaya hai .. dekh len ,,)

dad hazir hai apki is beshqitmi taqleeq pe qubool karen .. allah apko khush rakhe..


duwa go

qadeertoopchi
Logged
vb
Guest
«Reply #5 on: May 19, 2010, 11:50:47 AM »
Reply with quote
qadeer_junaid sahab!! kuch ghaltee huvee aap say..
ye hum nahi ... koi anokhiladli jeee hain.. ye kalaam un ka hay.. n yakeenan... buhat daad k laaik hay..
Logged
anokhiladli uzma
Guest
«Reply #6 on: May 19, 2010, 02:29:28 PM »
Reply with quote
bhut  shukria vb ji bary moaser andaz main ap nay izaat afzaee ki hay acha laga

qadeer shb ki ghalt fehmi door kernay ka bhee shkria,acha laga k kisi nay mairi nazam ko ap ki nazam smjh ker perha or dad bhee day dee, Usual Smile
Logged
vb
Guest
«Reply #7 on: May 19, 2010, 02:53:15 PM »
Reply with quote
g..
hamen yakeen hay k qadeer_junaid sahab ne isay hamara kalaam ya hamara qalam samajh kar nahi parha... k hamaray bayaan main itni shaaistagi, narmi n khoobsoorati nahi.. patharon par aaarhi tirchhi lakeeren hotee hain... wo bhe yakeenan samajhtay he hon gay is baat ko.. so ye un ki ghalat fehmi nahi.. balkay maamooli see ghaltee hay.. jisay karnay ka har insaan ko haq hay..

un ki n hamaari daad aap he k kalaam k leyay hay.. or qadeer_junaid sahab ki duaain bhe...
Logged
vb
Guest
«Reply #8 on: May 19, 2010, 03:03:07 PM »
Reply with quote
sorry again.. !

aap k words aap he k hain... or inhen aap he ka samajh kar parha jayay tu achha lagta hay.. lagna chahiyay..

apna kisi nazm main likha kuch yaad aata hay...k

*-------------------------*
Suno larki..... !
Tumharay lafz hain na jo…
So wo sub to tumharay hain…
K jub chaho inhain likho
Jo dil chahay so wo keh do
Yahan tum ko ijazat hay
K jo chahay so wo likho
Tumharay lafz hon ya hum
Jo dil chahay mita dalo
*-------------------------*


Logged
anokhiladli uzma
Guest
«Reply #9 on: May 19, 2010, 05:11:40 PM »
Reply with quote
zeberdast vb ji patron per arhi tirchi lakeron say kisi jazbay ka izhar kerna to zida muskil kam hay or ager aisa ho to wo he shakar hot hay aam sidhi bat to sub he kertay hain

pori nazam hi lkh dain jub kuch hisa itna dilmoh lainay wala hay to porri nazam to shandar he ho gi

apni aik ghazal(jo abhee takmeel kay marhil main hay) ka shir lkh rahee  hon
us ki her ik yad kay sath aankhain bher c jati hain
aankh kay her qatray main ab aik samunder rehta hay
Logged
vb
Guest
«Reply #10 on: May 19, 2010, 05:38:02 PM »
Reply with quote
nahi.. zabardast kuch nahi hay... patharon par likhna mushkil he hota hay.. tabhi tu likha nahi jaata.. na hum say.. na kisi or say.. aarhi tirchhi lakeeren reh jaatee hain.. hamaray haath ki rekhaaon ki tarha..

nazm kuch shaandaar etc nahi hay.. aap ne kaha hay tu paste kar rahay hain.. k apnay jazbon ki tasheheer he tu maqsad hay..

kisi ne hamari blog par kuch likha tha.. or phir.. mita daala tha.. tu ye aazaad see nazm paste ki thee hum ne..

*--------*
Suno larki!
Jo likha tha mitaya ku?

Jo kehna ho, chhupati ho
Jo likhna ho, mitati ho

Chalo mana, tumharay pas likhnay ko nahi hay kuch
Chalo jana, tumharay pas kehnay ko nahi hay kuch

Magar jo likh diya us ko mitanay ki waja kya hay?
Jo likha tha bhala us ko chhupanay ki waja kya hay?

Hamari blog hay na ye? Koi kismat naheen hay na?
k jis ne jab bhe jo chaha so likha phir mita dala

k likha phir
mita dala…

magar haan!
Tumharay lafz hain na jo…
So wo sub to tumharay hain…
K jub chaho inhain likho
Jo dil chahay so wo keh do
Yahan tum ko ijazat hay
jo dil main ho, hamen keh do
Tumharay lafz hon ya hum
Jo dil chahay mita dalo
*--------*

aur sher aap ka buhat he khoob hay.. hope k aap ki is ghazal/nazam ko hum parh paain gay.. soon..

Logged
uzma anokhiladli
Guest
«Reply #11 on: May 19, 2010, 07:19:25 PM »
Reply with quote
 jo pathron per lokh laita hay wohi phir ammer bhee ho jata hay

 aam s bat kertay kertay kuch khas keh jatain hain,yae ap ki tehreer ki khubsorti hay

daikhain jub ghazal mukamal ho gaee to shaid post ker doon
Logged
uzma anokhiladli
Guest
«Reply #12 on: May 19, 2010, 07:36:31 PM »
Reply with quote
ap k blog ka address maloom ker sakti hoon
Logged
vb
Guest
«Reply #13 on: May 20, 2010, 07:47:22 AM »
Reply with quote
g.. thanx k kuch point out kiya aap ne hamaari tehreeron main.. hum mazeed muhtaat rehnay ki koshish karen gay, garche hamara hum par kuch bas nahi chalta..

hum maafi chahtay hain k blog ka address bataanay say maazoor hain.. hope k ake majboor ko maghroor nahi samjha jayay ga..
waja kuch khaas nahi, faqt itni k wo blog sirf hamari hani..
Logged
anokhiladli uzma
Guest
«Reply #14 on: May 20, 2010, 07:51:55 AM »
Reply with quote
its ok main majbori ka matlab janti bhee hon or samjhti bhee hoon Usual Smile
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:05:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer