Masoom Deewangi

by javedarshad on December 24, 2006, 12:28:57 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1271 times)
javedarshad
Guest
Reply with quote
Woh mere hi
Aansoo they
JO tune
Apni hatheli per sajaye they
Aur suraj ki kiran se
Satrangi  noor diya tha
Us noor ko apni aankhoon main bhar ker
Tune qasam khaie thee
Ab yeh moti
Kabhi na bikhrain ge
Phir
Us shab tune
Tanoo ki hararat se
Kuch aanukhe jazbe jagaye they
Aik anjana sa ehsas pilaya tha
Khud apni hi sansain
kuch anjan si lagain thien
Aisa aik bandhan tha
Aisi aik tadpan thee
Bus her lamhain
us bandhan main tadapne ko man karta tha
Es Safar ke hichkolon main
Un anjane rastoon per
Raat kab beeti
Mujhe kuch yaad nahin
Suraj ki masoom kirnoo ne
Subah ki yaad dilayi thee
Joban ne jab lee thee angdaaye
Nas nas meri tute thee
Kaisi yeh chubhan thee mujhko
khud se main sharmai thee
Nikharte mere joban se
Aaiana bhi sharmaya thaa
Shamain dhalti rahain
Ratain guzarti rahain
Bahoon main  teri machalti rahi
Na maloom kuin main bikharti rahi
Achanak tujhe yeh kia ho gaya
Khuwaboon se mere too kahan khoo gaya
Her aik aahat
Jaise  aahat ho teri
Shamo saher
thee muntazir main teri
Garmi biti sawan aaya
Mere ander bhi aik sawan utra
Us sawan ki garmi se aise main lajai thee
Jiase pahle din tere chune se ander hi ander main sharmai thee
Main khushi se pagal thee
Apne wajood main tujhko paya hai
Are
Yeh meri aankhain nam kuin hain
Yeh dar kuin samaya hai
Gar pucha kisi ne
Kis ka wajood dhoti hai
Main khud se munh chupai baithi hun
Aaj phir dhanak chamki hai
Magar uska har rang juda juda sa hai
Main kaise dikh laaun
Tere un jazbaat ko
Dubti sansoon main
Khud ko samuye bathi hun
Teri woh qasam ,mang main kaise sajawn
Sans ab yeh ukhad ne lagi hai
Mootiyun ki ladi bikharne lagi hai
Meri be noor aankhoo ke
in aashkoon ko
Teri hateli ki zaroorat hai
Mai hateli kahan se lau
Tu kahan hai     tu kahan hai
Tujhe kahan se paaun
Teri hatheli pe aansoo kaise sajaaun
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
....~~Deewangi~~.... by HumTum in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 43 44 »
meri deewangi by majid in Shayri-E-Dard
shayeri, awaargi, deewangi by samnoj in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Meri Deewangi. by majid in Shayri for Khumar -e- Ishq
Bhut masoom thi wo ........masoom by masoom shahjada in Miscellaneous Shayri
Talat
Guest
«Reply #1 on: December 24, 2006, 10:02:40 AM »
Reply with quote
Very Nice !!!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:17:51 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.083 seconds with 21 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer