MAT AANAAAA

by karan q on May 12, 2005, 12:06:39 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 561 times)
karan q
Guest
Reply with quote
MAT AANA                  


dil se dil ko milaao to aa jaao tum
haath se haath milaane ke liye mat aana

jab bhee ghar aao to phir laut aana mere liye
Verna koi rasm nibhaane ke liye mat aana

Raat ki shaan me dil chodh diya jalta huaa
Shab ka ye noor bujhane ke liye mat aana

shab--night

Mujhko bas pyar ke chund bol sona dena tum
Mujhpe ilzaam lagaane ke liye mat aana

Aaj aao to koi baat nayi kerna humse
Vaadon ka zahar pilaane ke liye mat aana

Tere naaz-o-husn ke ab hum kahaan kaabil
Ishwa-o-adaa ko dikhane ke liye mat aana

Ishwa-o-adaa---- naaz nakhre

Koi bharosa nahi kab talak ke zinda houn
Kasam jhoothi meri khaane ke liye mat aana

Tu chali aana sehar bann ke mere khwabon me
Per meri neend mitaane ke liye mat aana

Janaaza guzar jaaye mera tumhare kuuche se lekin
Dariche per ashk bahaane ke liye mat aana

kuuche--street
dariche--window

Aana to muhobbat ko he dil me rakhker
Khuch khone or kuch paane ke liye mat aana

Ab ye rishta gar bojh lagne laga hai tumhe
To kabhi bojh utthane ke liye mat aana

Aankhen ab ashq banaati he nahi barso se
Mujhko e yaar rulaane ke liye mat aana

So gaya gehri neend karan intzaar karte karte
Aaj ke baad jagaane ke liye mat aana

karan.q
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #1 on: May 12, 2005, 12:21:05 PM »
Reply with quote
karan ji lajawaab hai yeh to

mat anaa tum
mat anaa tum.

bas padhta jata hum aur behust hotta jata hun.
Logged
Aarzuu
Guest
«Reply #2 on: June 12, 2005, 07:15:57 AM »
Reply with quote
Aankhen ab ashq banaati he nahi barso se
Mujhko e yaar rulaane ke liye mat aana

So gaya gehri neend karan intzaar karte karte
Aaj ke baad jagaane ke liye mat aana

Wah kahein ya Aah kahein..................
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #3 on: June 12, 2005, 08:13:08 AM »
Reply with quote
Quote from: "Aarzuu"
Aankhen ab ashq banaati he nahi barso se
Mujhko e yaar rulaane ke liye mat aana

So gaya gehri neend karan intzaar karte karte
Aaj ke baad jagaane ke liye mat aana

Wah kahein ya Aah kahein..................
nice



Yaad teri aaye tu phir kya karoonga main
tanhai mein beth kar phir rooya karoonga main


aghar naseeb ney kardiya eik dosre se juda hum ko
raaton ko na phir sooya karoonga main


zahar peeta jaoonga aansoo ka tamaam umar
aur tujh ko sada khush rehna ki dua karoonga main


aghar mil gayee himmat mujhe sambhalne ki
toote huwa dil ko phir milaya karoonga main
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
June 26, 2024, 03:01:39 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[June 26, 2024, 08:34:09 AM]

[June 26, 2024, 08:32:48 AM]

by ASIF
[June 14, 2024, 12:39:06 PM]

[June 12, 2024, 11:37:13 AM]

[June 12, 2024, 11:14:40 AM]

[June 09, 2024, 11:49:10 AM]

[June 09, 2024, 11:47:00 AM]

[June 09, 2024, 11:40:00 AM]

[June 09, 2024, 11:37:18 AM]

[June 09, 2024, 11:33:51 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8500 Real Poets and poetry admirer