Mat poochhiye Kya soch kar Dil.........!

by sharmaarunkumar on October 08, 2004, 08:55:56 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 9
ReplyPrint
Author  (Read 9922 times)
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #30 on: November 20, 2004, 06:51:38 PM »
Reply with quote
Shukriya N very Nice Waheed Bhai!!!!Bahut Khoob Likha hai aapne! Usual Smile

Nishita ji Superb!!! Bahut achchhe!!! Beautyfully written!!!! Usual Smile
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Teri Soch, Meri Soch by FAREE in Shayri-E-Dard
SOCH by SAGAR11 in Shayri-E-Dard
Gadha maharaj se sab kuchh poochhiye by nandbahu in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
***Na Poochhiye Dil Ka Haal*** by AVTAR RAYAT in Shayri for Dard -e- Judai
Pooja
Guest
«Reply #31 on: November 21, 2004, 06:46:41 AM »
Reply with quote
wah!!!! bahoot khoob!!!
Logged
nishita
Guest
«Reply #32 on: November 21, 2004, 09:00:18 AM »
Reply with quote
thansk sharmaji and pooja
Logged
lovebites
Guest
«Reply #33 on: November 23, 2004, 01:40:28 PM »
Reply with quote
--------------Khalona-----------
Dil ko samajh ker khalona,
Tum ne tor diya,
Zindagi ko hijer k haathoon mein,
Tum ne chor diya,
Visal ki ratoon mein,
Tum hajaboon mein rahey,
Hijer ki ratoon mein,
Tum khawaboon mein rahey,
Dil ko samajh ker khalona,
Tum ne tor diya
Logged
Nedura!
Guest
«Reply #34 on: November 23, 2004, 05:39:40 PM »
Reply with quote
Quote from: "nishita"
Ik na ik shammaa andhere mein jalaye rakhiye
subah hone ko hai - maahaul banaye rakhiye

Jin ke haathon se hame zakm-e-nihaan pahunche hai
vo bhi kahte hai ki zakhmo ko chupaye rakhiye

Kaun jaane vo kis raah-guzar se guzare
har guzar-gaah ko phoolon se sajaaye rakhiye

Daaman-e-yaar ki zeenat na bane har aansoo
apani palko ke liye kuch to bachaye rakhiye....

(NM)


waaaaahhhh kya lika hai nishita...

Daaman-e-yaar ki zeenat na bane har aansoo
apani palko ke liye kuch to bachaye rakhiye....
Logged
lovebites
Guest
«Reply #35 on: November 24, 2004, 12:45:14 PM »
Reply with quote
Wohi GarDeSheN Wohi Pache-O-Khum Taray Baad Bi
Wohi Hoslay Maray Dam Ba Dam Taray Baad Bi
Taray Saath Bi Mari Her Jafa Mujha Mohtaber
Taray Saray Ghum Mujha Mohtaram Taray Baad Bi
Taray Gham Se Hai Meri Har Khusi Main Waqar Sa
Maray Haal Pay Hain Taray Karam Taray Baad Bi
Barhay Muztarib Maray Rastay Taray Baad Bi
Barhay Pur Sukoon Hain Maray Qadam Taray Baad Bi
Taray Saath Bi Mari Her Khusi Tari Muntazir
Tari Muntazir Meri Chasam-A-Ghum Taray Baad Bi
Taray Saath Thi Mari Dastrus Main Jo Roshani
Fakat Ek Pal Kabi Subha-A-Dum Taray Baad Bi
Tujha Jaan-A-Ghum Jo Kaha Kabi To Ghala Kaha
Mari Zindgaii Ka Jawan Hain Ghum Taray Baad Bi
Tujhe Pass Ahad-e-Wafa Raha Maray Saath Kub?
Mujha Jaan Se Bher Ker Tara Bharam Taray Baad Bi
Maray Baad Kitna Hee Roop Tu Na Badal Liye
Main Wohi Hoon Abb Bi Tari Kasam Taray Baad Bi
Tu Kisi K Qalib-e-Aarzoo Main To Dhal Gaya !
Main Na Ho Saka Kabi Khud Main Zum Taray Baad Bi
Tari Aahatoon Ka Ghudaaz Tha Mara Hum Safar
Yehi Ek Ghumaan Mara Hum Qadam Taray Baad Bi
Tu Chala Gaya Sabhi Qhaqahoon Ko Samait Ker
Maray Pass Hai Mera Zurf-e-Ghum Taray Baad Bi
Logged
Pooja
Guest
«Reply #36 on: November 24, 2004, 08:18:59 PM »
Reply with quote
wah!!! bahoot khoob love ji!!!!
Logged
lovebites
Guest
«Reply #37 on: November 25, 2004, 07:29:08 AM »
Reply with quote
Koi ummeed bar nahin aati
Koi soorat nazar nahin aati
maut ka ek din muayyan hai
need kyon raat bhar nahin aati
aage aati thi hale dil pe hansi
ab kisi baat par nahin aati
Hai kuchh aisi hi baat
jo chup hoon, varna kya baat kar nahin aati
kyon na cheehkoon ki yaad karte hain
meri awaaz gar nahin aati
marte hain aarzoo me marne ki
maut aati hai par nahin aati
kaba kis munh se jaoge Ghalib
sharm tumko magar nahin aati
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #38 on: November 25, 2004, 07:33:52 AM »
Reply with quote
Very Nice!!!!Love bitesji!! Whose Lines are these?
Logged
lovebites
Guest
«Reply #39 on: November 25, 2004, 07:59:45 AM »
Reply with quote
Yo...well Sharmaarunkumar these lines r by yeh......non other than Mirza Ghalib.!!!!!!!!
Logged
yasir_sensitive
Guest
«Reply #40 on: November 25, 2004, 11:40:52 AM »
Reply with quote
good arun and talat...
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #41 on: November 25, 2004, 06:03:57 PM »
Reply with quote
Thanx Yasir ji!
Logged
lovebites
Guest
«Reply #42 on: November 27, 2004, 08:27:28 AM »
Reply with quote
appni wafa ka manga hum naye kab sila tum say
wo tha muqadar mai dukh jo mila tum say
jala kaye meri hasti ko mitaya ashiaan tum nay
kuda saye tha jo kia kia kab gila tum say


nigahaoon main chupye thye apni bayee basi ki agg
nigahoon ko milanayee ka jo kya honsala tum say

apni tanhayoon main khud hi hum khoo gaye
tanhayoon ko ya janoo mila tum say

tumhari aase main hum katahraye mai kharayee thay
hummarayee huq mai na ho saqa ya faisala tum say
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #43 on: November 27, 2004, 10:11:38 AM »
Reply with quote
Wah! Lovebites ji!! Very Nice!

Apni Mohabbat ki aag mein jhulasta raha yeh dil!
Kya Kya na Sitam is Ishq mein Sahta raha yeh dil!

Yoon to Dikh Gaye the Humko Unki Bewafai ke manzar,
Magar Badi Sanzeedagi ke Saath wafa karta raha yeh Dil!

Unhone jo kiya woh to koi Gair bhi Karta nahin,
Yaad Unko Phir bhi Raat bhar Karta Raha Yeh Dil!

De kar ke Unko Apni Khushiyon ke aasmaan,
Par kate Panchhi ki tarah tadapta raha yeh Dil!

Bata gayi Thi Zindagi Humein, Ab Apne nahin rahe hain woh,
Rah-rah kar Phir Bhi Unke liye machalta raha yeh Dil!

Besakhta In Aankhon se jab aansoo Nikla kiye,
Askhon ke Jharnon Tale Sulagta Raha yeh Dil!

Sitam Ulfat ke sab Sah liye Uff tak bhi na ki Humne,
Unki Zafaaon ke badle Duayein Deta raha yeh Dil!

Bujh hi gaye the Sare Chiragh apne Ujde hue Makaan mein,
Na Jaane kis ki aas liye jalta raha yeh Dil!

Hai Kise Khabar kab Maut is Deewangi ko Aayegi,
Yoon to har pal Katra-katra marta raha yeh dil!
Logged
lovebites
Guest
«Reply #44 on: November 27, 2004, 12:33:43 PM »
Reply with quote
jo khayal thay, naa qayaas thay,
wahee loog mujh say bichar gayae
Jo mohabaton kee asaas thay wahee,
loog mujh say bichar gayae
Jinhain mantaa hee nahin yeah dil,
wahee loog meray hain ham safar
Mujhay har tarah say joo raas thay,
wahee loog mujh say bichar gayae
Mujhay lamhay bhar kee rafaqaton kay saraab or sataeengay
Mairee umar bhar kee joo pyas thay
wahee loog mujh say bichar gayae
Yeah khayal saray hain aaarzeee,
yeah gulaab saaray hain kaghzi
Gul aarzu kee joo ba-as thay,
wahee loog mujh say bichar gayae
Jinhain kar sakaa naa qubool main,
woh shareek raah-e-safar howay
Jo meray talab, meray aas thay,
wahee loog mujh say bichar gayae
Meri dharkanon kay qareeb thay,
meri chah thay, mera khuwaab thay
Woh joo roz-o-shab meray paas thay,
wahee loog mujh say bichar gayae
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 9
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 02:51:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer