yu kalam uthi aur ek kaam kar diya
us bewafaa ka fir ek baar naam likh diya
bhulna chahte the jise ham ek sapna samajhkar
usi khwab ki kahani ko byaan kar diya
us bewafaa ka fir.....................
milta hai dard judai ka mohabbat me shayad
yahi payaam aaj sare aam kar diya
us bewafaa ka fir.....................
manaate hai shauk se wo jash-o-diwali
jinhone mere ghar me andhera kar diya
us bewafaa ka fir.....................
na socha tha "raj" yu hame dega daga
par usne b mohabbat ko badnaam kar diya
us bewafaa ka fir.....................
chahte na the jiski mohabbt ko b yaad karna
is kalam ne likh kar uska naam meri mohabbat ko b badnaam kar diya
us bewafaa ka fir......................
bhawna ji......Is mehfil-e-yarana maiN aapki tehrer ko padker dil maiN ik tees si mehsoos hui...aapke ahsaas aapki kalam kse beh ker kagaz per aise utri jaise dard ka katra aankh se utar jata hai......bahoot khoob.....ek baat kehna chahooNga....jis ranwaanagi se aapi tehrer chal rahi thi kahiN kahiN iski tootan si nazer aayii....jis se dard maiN thoda sa khalal sa mehsoos hua.....
jaise chouthe pehremaiN doosra misra....jinhone mere ghar me andhera kar diya
Our sixth pehra mmaiN......doosra misra..
is kalam ne likh kar uska naam meri mohabbat ko b badnaam kar diya
ye aapki tehrer maiN khalal ke baias bane haiN......inki taraf dubara rujhaan kareNge toh dard maiN ko padne ka our bhi anand aayega.......ShukriyaaH aapne itni achhi nazm hammeiN padne ka mouka diya.......
Kaash Bananey waale ne ye dil kaanch ke banaye hote
Kam se kam todne waloN ke haath maiN jakhm toh aaye hote.
Harash
[/b][/color]