Mujhe aabaloN kaa hee shouq tha.................Mamta Bajpai

by mamta bajpai on August 20, 2010, 04:45:48 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 4274 times)
mamta bajpai
Guest
Reply with quote
MUJHE AABLON KA HEE SHOUQ THA,KUCH RAASTON SE GILAA NAHEEN
GUMGASHTAGEE HEE AZEEM THEE,KUCH RAHBARON SE GILA NAHEEN

YE RAAT LAMBI UDAAS OR PALAKON PE QATARE HAIN SHABNAMI
BEDAARIYAAN HI PASAND THEEN KHUMAARIYON SE GILA NAHEEN

TERI FURQATON ME HI KAT GAYEE YE TAVEEL UMRA AYE HUMNASHEEN
MUJHE FAASALE HI AZEEZ THE TERI WUSALATON SE GILA NAHEEN

YE JO ZAKHM MERE JIGAR ME HAIN UNHEN KYON NAHI TU KUREDATA
MUJHE ZAKHM MERE AZEEM HAIN TERI RAAHATON SE GILA NAHEEN

KUCH AUR DO MUJHE THOKAREN KI YE JAAN JISM ME HAI ABHI
TERI NAFRATEN HI NASEEB THEEN TERI CHAAHATON SE GILA NAHEEN

MAMTA BAJPAI
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: August 20, 2010, 05:07:16 PM »
Reply with quote
Masha Allah Masha Allah

Kia kahne hai Mamata jee aapke is kalam ke....
Dil ki gehrai se nikle se ashaar hai...
Behad umdaa se lage.... bahut khoob

Behad achcha likhati hai aap....
Dil se daad kabool kijiye...

Aise hi likhate rahiye....
Khush rahiye...
Khuda Hafez..... Usual Smile
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #2 on: August 20, 2010, 06:31:14 PM »
Reply with quote

khub
MUJHE AABLON KA HEE SHOUQ THA,KUCH RAASTON SE GILAA NAHEEN
GUMGASHTAGEE HEE AZEEM THEE,KUCH RAHBARON SE GILA NAHEEN

YE RAAT LAMBI UDAAS OR PALAKON PE QATARE HAIN SHABNAMI
BEDAARIYAAN HI PASAND THEEN KHUMAARIYON SE GILA NAHEEN

TERI FURQATON ME HI KAT GAYEE YE TAVEEL UMRA AYE HUMNASHEEN
MUJHE FAASALE HI AZEEZ THE TERI WUSALATON SE GILA NAHEEN

YE JO ZAKHM MERE JIGAR ME HAIN UNHEN KYON NAHI TU KUREDATA
MUJHE ZAKHM MERE AZEEM HAIN TERI RAAHATON SE GILA NAHEEN

KUCH AUR DO MUJHE THOKAREN KI YE JAAN JISM ME HAI ABHI
TERI NAFRATEN HI NASEEB THEEN TERI CHAAHATON SE GILA NAHEEN

MAMTA BAJPAI

khushi ka ek pal bhi mujhe khabhi mila nahi
phir bhi jindgi se hame manoj koi gila nahi
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #3 on: August 21, 2010, 07:09:48 AM »
Reply with quote
PARWAAZ JEE KALAAM KEE PASANDEEDAGEE KE LIYE AAP KAA BAHUT BAHUT SHUKRIYAA.AAP KEE HOUSALA AFZAI HUMARI LEKHNEE KO SABAAT DETI HAI.ISI TARAH SAATH NIBHATE RAHIYE....
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #4 on: August 21, 2010, 07:20:20 AM »
Reply with quote
SHUKRIYA MANOJ JEE.AAP NE BHI KHOOB KAHA HAI.YUN HI SAATH DETE RAHEN.......

Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #5 on: August 21, 2010, 06:38:26 PM »
Reply with quote
SHUKRIYA MANOJ JEE.AAP NE BHI KHOOB KAHA HAI.YUN HI SAATH DETE RAHEN.......



thanx mamta g
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #6 on: August 22, 2010, 01:46:22 PM »
Reply with quote
Very Nice Poetry ... Mamta Ji ! Very Impressive ... Very Touching ... !

Very Nice Creation... !
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #7 on: August 22, 2010, 04:34:03 PM »
Reply with quote
AAKAASH JEE AAP KA BEHAD SHUKRIYA!
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #8 on: August 25, 2010, 06:52:06 AM »
Reply with quote
BAHU BAHUT SHUKRIYA AKAASH JEE!AAP KI HOUSLA AFZAI SE MERE KALAAM KO SABAAT MILA. YUN HI SAATH DETE RAHEN .......
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #9 on: August 25, 2010, 06:54:26 AM »
Reply with quote
SHUKRIYA NARESH JEE ! AAP KI HOUSLA AFZAI KI BEHAD MAMNOON HOON.KALAAM KO WAQT DENE OR PASAND FARMANE KE LIYE BEHAD SHUKRIYA....
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #10 on: August 25, 2010, 08:20:11 PM »
Reply with quote
Mahutrama Mamta saheba aadab,,


yaqeen janiye mujhe ye dekh behad massarath ho rahi hai ke ap itni uncommon bhr me bhi taba azmai kar rahi mashallah ...ye ghazal apke mashq pe dalalat karti hai ..mujhe apki ye khaawish behad pasand aai ..do ik jaga jahan bhr ka jhol nazar aya aur zubaan khuch gair manoos si lagi mujhe yaqeenhai ke ap khud hi usko thik kar lengi ...apki is khubsurath ghaza ke liye app dad o mubarak baad ki mustahiq hain..Allah kare zor-e-khalam aur ziyada ...allah apko khush rakhe ...


Dua go

Qadeertoopchi
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #11 on: August 26, 2010, 04:52:11 AM »
Reply with quote
QADEER SAAHEB,
WALAIKUM AADAAB,

AAP KA KHAT PADHA.AAP KI NEK RAI SE MAI ITTEFAAQ RAKHTEE HOON.JO KAMI AAP KO NAZAR AA RAHI HAI USE MAINE BHI MASOOS KIYA HAI LEKIN TAMAAM KOSHISHON KE BA-VAJOOD BHI MAI UNHEN THEEK NA KAR SAKEE.PHIR BHI APNI KOSHISH ZARI RAKHOONGEE.AAP KI NAZAR-E-INAAYAT KE LIYE MAI DIL SE AABHAAREE HOON.OR CHAHOONGI KI HO SAKE TO AAP IS ME MERI KUCH MADAD KAREN.BAHUT BAHUT SHUKRIYA.......

KHUSH RAHEN ......
KHUSHIYAAN BAANTEN.......

MAMTA BAJPAI
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #12 on: August 31, 2010, 10:39:18 PM »
Reply with quote
MUJHE AABLON KA HEE SHOUQ THA,KUCH RAASTON SE GILAA NAHEEN
GUMGASHTAGEE HEE AZEEM THEE,KUCH RAHBARON SE GILA NAHEEN

YE RAAT LAMBI UDAAS OR PALAKON PE QATARE HAIN SHABNAMI
BEDAARIYAAN HI PASAND THEEN KHUMAARIYON SE GILA NAHEEN

TERI FURQATON ME HI KAT GAYEE YE TAVEEL UMRA AYE HUMNASHEEN
MUJHE FAASALE HI AZEEZ THE TERI WUSALATON SE GILA NAHEEN

YE JO ZAKHM MERE JIGAR ME HAIN UNHEN KYON NAHI TU KUREDATA
MUJHE ZAKHM MERE AZEEM HAIN TERI RAAHATON SE GILA NAHEEN

KUCH AUR DO MUJHE THOKAREN KI YE JAAN JISM ME HAI ABHI
TERI NAFRATEN HI NASEEB THEEN TERI CHAAHATON SE GILA NAHEEN

MAMTA BAJPAI

Bahut khoob Mamta Ji
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #13 on: August 31, 2010, 11:30:49 PM »
Reply with quote
SHUKRIYA RAJESHJEE!
Logged
zidd
Guest
«Reply #14 on: September 14, 2010, 07:39:22 AM »
Reply with quote
mamta ji ...aap khoob likhtin hain.....
aapki ghazal bahut class hai...ek dum jhakaas

bus aisa laga jaise ek behad khubsurat ladki ho jaise....
aur yu laga ki jaise us ladki ka chehre par kuch bhadde nishaan hai...bada dard hua ye dekhkar...

to socha ki kyu na kuch koshish karke vo nishaan halka kar du..
itni khubsurat ghazal hai...itne khoobsurat ehsaans...bus mann nahi mana.....

so ye gustkhaaki kar raha hu.........

haa ek jagah zara phas gaya...'wusaalaton ' zara samajh na aaya...shayad 'vaslaton' ho ya 'was'aton'(area)....so us sher ki 2 hakle ban gayi

aapse bin izaazat liye gusthaaki kar raha hu......bus itni acchi ghal dekhkar dil nahi manaa...
agar nagawar guzra ho to bande ki gardan haazir hai...

mujhe aablon hi ka shauk tha koi raaston se gila nahi
ga.m_e gastagi hi azeem thi mujhe rahbaron se gila nahi

ye hai raat lambi udaas or meri palke bhi ku.ch_hai shabnami
ke bedariyaan hi pasand thi voh khumariyon se gila nahi

teri furqaton hi me kaT gayi meri taawe.l_umr ae humnashi
teri furqaton hi me kaT gayi meri umr-e-taaweel humnashi
mujhe faasle hi azeez the so 'wusalaton' se gila nahi
mujhe faasle hi azeez the kisi waslaton se gila nahi

ye jo zhakm mere jigar me hai use kyu nahi tu kuredta
mujhe zakhm mere azeem hai teri raahaton se gilaa nahi

mujhe thokare abhi aur do ke ye jaan jism me hai abhi
teri nafrate hi naseeb thi teri chahaton se gila nahi


.....wonderful ghazal in a rare meter....

regards

Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 05:25:53 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer