Mujhko chodhne waale

by karan q on May 16, 2005, 07:39:04 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1020 times)
karan q
Guest
Reply with quote
CHodh gaye mujhko chodhne waale


kitne musafir or kitne safar,Kaheen kaheen milte hain kuch der ke liye or phir kissi mod per bichad jaate hain,mai bhee ek musafir thaa tujhse milne se pehle magar jiss mod per tujhe rasta badalte dekha,waheen ruk gaya houn ye jaan ker ke meri Manzil khoo chuka houn main....

rukh hawaaon ke modne waale
chodh gaye mujhko chodne waale

meri rangat ko peela kehte hain
mere jism se khoon nichodne waale
chodh gaye mujhko chodhne waale

Akser wo picche se chot dete hain
saamne haath jodne waale
chodh gaye mujhko chodhne waale

taqdeer meri kiss kalam se likhi khuda
mujhe Sab mile dil ko todne waale
chodh gaye mujhko chodhne waale

Ashk aankhon me pinha rakhte hain
Muskurahat labhon per oodhne wale
chodh gaye mujhko chodhne waale

Pinha---hidden

hawaaon se fansla banaye rakhte hain
Tinko se ghar ko jodne waale
chodh gaye mujhko chodhne waale

Wo chala gaya hume chodh ke tanha karan
ab nahi usske picche daudne waale
chodh gaye mujhko chodhne waale


karan.q
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #1 on: May 17, 2005, 12:51:04 AM »
Reply with quote
bhai sb itni bhi buri nahin humari language jo aap translate kr rhay hain



buhat acha likha hai

keep it up
Logged
Aarzuu
Guest
«Reply #2 on: June 12, 2005, 07:14:07 AM »
Reply with quote
Quote from: "karan q"
CHodh gaye mujhko chodhne waale


kitne musafir or kitne safar,Kaheen kaheen milte hain kuch der ke liye or phir kissi mod per bichad jaate hain,mai bhee ek musafir thaa tujhse milne se pehle magar jiss mod per tujhe rasta badalte dekha,waheen ruk gaya houn ye jaan ker ke meri Manzil khoo chuka houn main....

rukh hawaaon ke modne waale
chodh gaye mujhko chodne waale

meri rangat ko peela kehte hain
mere jism se khoon nichodne waale
chodh gaye mujhko chodhne waale

Akser wo picche se chot dete hain
saamne haath jodne waale
chodh gaye mujhko chodhne waale

taqdeer meri kiss kalam se likhi khuda
mujhe Sab mile dil ko todne waale
chodh gaye mujhko chodhne waale

Ashk aankhon me pinha rakhte hain
Muskurahat labhon per oodhne wale
chodh gaye mujhko chodhne waale

Pinha---hidden

hawaaon se fansla banaye rakhte hain
Tinko se ghar ko jodne waale
chodh gaye mujhko chodhne waale

Wo chala gaya hume chodh ke tanha karan
ab nahi usske picche daudne waale
chodh gaye mujhko chodhne waale


karan.q


Nice...................................
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #3 on: June 12, 2005, 08:11:57 AM »
Reply with quote
Jalne ka maza kia hota hai

Jalne ka nasha bhi kia hota hai

Jalne ka andaaz kia hota hai

Jalne ka dard bhi kia hota hai



Shama sharmati jalti rahi


Parwana dekh dekh ke pagal hota raha


Dewaangi ki hadein jab paar hoyi

Shama ki hi aaghosh main woh parwan chada



Shama ka parwana baan ke yun na jalon

Shama ka dewaana baan ke kyun tum pagal hoye


Shama ki hi agghosh main phir kyun marne chale


Shama ko yun bhi badnaam na karo

Shama to badnaam hoyi so hoyi

Woh khud bhi to jal ke khaak hoyi
Logged
Meena
Guest
«Reply #4 on: June 12, 2005, 11:47:02 AM »
Reply with quote
karan ji yeh to bohot hi achi likhi hai peom apne!

"Akser wo picche se chot dete hain
saamne haath jodne waale "


yeh lines to bohot achi hai!!!

 :D
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:57:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.086 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer