..nahin sakta...

by dead heart on December 23, 2008, 08:51:10 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1554 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
iss bewaffaon se bhari duniya main; main jee nahin sakta,
marjaunga pyaase magar ek bewaffa ke diye ansu main pee nahin sakta...

ab adhuri nazar ati hai mujhe meri parchai bhi,
ghumon se bhari iss zindagi ka boj main utha nahin sakta...

khud ka lahu cheerdia maine uske liye par uski nazron main gira ka gira hua hi rehgaya hoon,
ae rabb chahe toh mujhe duniye se ruksat karde par usse main bewaffai ki saza de nahin sakta...

bheega karta tha main ansuon ki barsaat main,
ab toh kuch aisa haal kardia usne ke apne mare hue dil ko main dafna bhi nahin sakta...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #1 on: December 23, 2008, 08:56:41 PM »
Reply with quote
bahut hi khoob kaha DH.

Dil ka dard saaf nazar aa raha hai
Pyar karna koi sab koh sikha raha hai


Jasbir Singh
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: December 23, 2008, 08:59:51 PM »
Reply with quote
Bahoot khoob DH JI
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: December 23, 2008, 09:02:31 PM »
Reply with quote
bahaut shukriya aur haan apke shaer ne kuch ajeeb hi kehdia...bahaut badi baat kehgaye aap...

jisne khud pyar ka matlab na samjha woh dusron ko kya sikhaega,
jiska makan khud ghir gaya ho woh dusron ka kya banaega...

bahaut shukriya pooja jee
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #4 on: December 23, 2008, 09:10:35 PM »
Reply with quote
SONEY KOH PIGLA KAR HI
SONA BANAYA JATA HAI
PYAR MEH THOKAR KHA KEY HI
PYAR SAMJAYA JATA HAI

TERE PYAR KEY JASBEY NEY
YEH SIKHLA DIA HAI
PYAR KARNA KOI TUJZEY SIKHEY
YEH SAMJA DIA HAI


JASBIR SINGH
Logged
dead heart
Guest
«Reply #5 on: December 23, 2008, 09:26:57 PM »
Reply with quote
wah wah wah wah...kya baat hai...

jo pyar ka matlab samaj jaye woh dil se shikwa kis baat ka,
ap jaisa shayar jab lavzon main bewaffai ko bayan kare toh humare dafan dil ka rona kis kaam ka...
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #6 on: December 24, 2008, 08:45:49 AM »
Reply with quote
nice work DH and goog work jasbire
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #7 on: December 24, 2008, 09:05:43 AM »
Reply with quote
Nice work Deadheart and Jasbir Ji
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #8 on: December 26, 2008, 08:34:39 AM »
Reply with quote
nice work DH and goog work jasbire

Thanks Rajesh

Jasbir Singh
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #9 on: December 26, 2008, 08:35:35 AM »
Reply with quote
Nice work Deadheart and Jasbir Ji
nice work DH and goog work jasbire


Thanks Ghayel


Jasbir Singh
Logged
dead heart
Guest
«Reply #10 on: January 02, 2009, 07:07:32 PM »
Reply with quote
thanks everyone
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: January 02, 2009, 10:22:54 PM »
Reply with quote
Nice One Dead Heart JI,.
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #12 on: January 03, 2009, 02:14:36 AM »
Reply with quote
iss bewaffaon se bhari duniya main; main jee nahin sakta,
marjaunga pyaase magar ek bewaffa ke diye ansu main pee nahin sakta...
 
ab adhuri nazar ati hai mujhe meri parchai bhi,
ghumon se bhari iss zindagi ka boj main utha nahin sakta...

khud ka lahu cheerdia maine uske liye par uski nazron main gira ka gira hua hi rehgaya hoon,
ae rabb chahe toh mujhe duniye se ruksat karde par usse main bewaffai ki saza de nahin sakta...

bheega karta tha main ansuon ki barsaat main,
ab toh kuch aisa haal kardia usne ke apne mare hue dil ko main dafna bhi nahin sakta...

bahut accha likha hai...

Jo di thi humne unhe apne pyar ki challa nishani
Dekh-dekh us nishani ko meri apni seene se lagate honge..

Jaise hum jaagte hai raat ber yaad kr unke pyar unke sitamon ko
Waise kwaab hamare bhi kabhi-kabhi unhe bhi jagate honge..

Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #13 on: January 03, 2009, 02:23:26 PM »
Reply with quote
bahut accha likha hai...

Jo di thi humne unhe apne pyar ki challa nishani
Dekh-dekh us nishani ko meri apni seene se lagate honge..

Jaise hum jaagte hai raat ber yaad kr unke pyar unke sitamon ko
Waise kwaab hamare bhi kabhi-kabhi unhe bhi jagate honge..



wah kya baat hai SONIA
wah,bahut khoob kaha SONIA

TUMHARI NISHANI DIL SEY LAGA KAR BAITHEY HAI
AAP KOH AATEY NAHI, ISSEY HI KHUDA BANAYE BAITHEY HAI

SAPNEY GAR HAMAREY HI SAJAYE AAP BHI BAITHEY HO
DOOR KU HO FIR, KU ITNA TADPAYE HAMEY BAITHEY HO

BAHAEH PASAREY HUM YAHA BAITHEY HAI
NAZREH GADAYEH INTEZAAR MEH BAITHEY HAI

DIL HI DIL MEH HUM SAMJAYI BAITHEY HAI
HAI UNHEY BHI PYAR, YUHI BANKAR HARJAYI WOH BAITHEY HAI



JASBIR SINGH
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #14 on: January 03, 2009, 02:44:41 PM »
Reply with quote
wah kya baat hai SONIA
wah,bahut khoob kaha SONIA

TUMHARI NISHANI DIL SEY LAGA KAR BAITHEY HAI
AAP KOH AATEY NAHI, ISSEY HI KHUDA BANAYE BAITHEY HAI

SAPNEY GAR HAMAREY HI SAJAYE AAP BHI BAITHEY HO
DOOR KU HO FIR, KU ITNA TADPAYE HAMEY BAITHEY HO

BAHAEH PASAREY HUM YAHA BAITHEY HAI
NAZREH GADAYEH INTEZAAR MEH BAITHEY HAI

DIL HI DIL MEH HUM SAMJAYI BAITHEY HAI
HAI UNHEY BHI PYAR, YUHI BANKAR HARJAYI WOH BAITHEY HAI



JASBIR SINGH

Thanks Jas ji... and Nice creation ..
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 05:04:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer