Nashukra..........Sps

by Sps on June 09, 2016, 08:20:21 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 636 times)
Sps
Guest
Reply with quote
Nashukra

kitni shiddat se hamne har ek kali ki khidmat ki
aur gulshan hame uska faqat nigraan kehta hai

har ek patte ki jaan me apni thodi thodi jaan daali thi
aur bhanwra is hayaat ko banana asaan kehta hai

darakhto ko kharoch na ho har shar ko ukhaad pheka
ye baag aaj hamko neeyat ka beimaan kehta hai

kaha ham jaaye isi gulshan ko apna jahaa banaya tha
hamara ashiyaan hi ab hame mehmaan kehta hai

har parastish se upar rakh k jiski parvarish ki thi
vo gul khilte hi hame ik mayus-o-muflis insaan kehta hai

lagai hai umr kitni aur kitni mohabbatein isme
meri kahaani zarre zarre se ata hua rehaan kehta hai
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #1 on: June 09, 2016, 08:56:06 AM »
Reply with quote
Nashukra

kitni shiddat se hamne har ek kali ki khidmat ki
aur gulshan hame uska faqat nigraan kehta hai

har ek patte ki jaan me apni thodi thodi jaan daali thi
aur bhanwra is hayaat ko banana asaan kehta hai

darakhto ko kharoch na ho har shar ko ukhaad pheka
ye baag aaj hamko neeyat ka beimaan kehta hai

kaha ham jaaye isi gulshan ko apna jahaa banaya tha
hamara ashiyaan hi ab hame mehmaan kehta hai
Applause Applause Applause Applause

har parastish se upar rakh k jiski parvarish ki thi
vo gul khilte hi hame ik mayus-o-muflis insaan kehta hai

lagai hai umr kitni aur kitni mohabbatein isme
meri kahaani zarre zarre se ata hua rehaan kehta hai



achchcha kalaam hai Applause Applause Applause Applause
Logged
sbechain
Guest
«Reply #2 on: June 09, 2016, 07:15:03 PM »
Reply with quote
Nashukra

kitni shiddat se hamne har ek kali ki khidmat ki
aur gulshan hame uska faqat nigraan kehta hai

ji sahi farmayaa ehsaan faraamosho.n ki kami nahin duniya me.n icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!

har ek patte ki jaan me apni thodi thodi jaan daali thi
aur bhanwra is hayaat ko banana asaan kehta hai

haan sahi hai aaj insaa.n zara kuch paa liya to khuda hi samjh baith taa hai khud ko bahut achi baat ki hai aap ne iss sher ke hawaale se. ye azaad qism ka sher hai herr insaan is ke zariye se apna nazariya pesh kar saktaa hai icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!

darakhto ko kharoch na ho har shar ko ukhaad pheka
ye baag aaj hamko neeyat ka beimaan kehta hai

waah waah waah , tarbiyat karne waale ko hi badmaan kiyaa jataa hai aaj ke bache bhi kuch aisa hi hain parents ko bura samjhte hain icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!

kaha ham jaaye isi gulshan ko apna jahaa banaya tha
hamara ashiyaan hi ab hame mehmaan kehta hai

superb ji kyaa kahne ye baat dil ko bahut takleef pahuchaati hai aur aaj aisa ho rahaa hai allah raham kare  crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2!

har parastish se upar rakh k jiski parvarish ki thi
vo gul khilte hi hame ik mayus-o-muflis insaan kehta hai

bahut haseen aur maanikhez sher jo hum apne maan-baap ko samjhte hain allh ham sab ko sahi samjh de sad10 sad10 sad10 sad10 sad10 sad10!

lagai hai umr kitni aur kitni mohabbatein isme
meri kahaani zarre zarre se ata hua rehaan kehta hai

kyaa baat hai ji ab kuch kahne ki zaroorat nahin bahut aalaa icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!



pahle to mubarkbaad ke saath rau iss behtreen kalaam per sps ji. main ne aap ko shaayad pahle baar padha hai aur main usi kalaam per comments karti hoo.n jo mujhe dil se bhhaa jaaye. agar comments me.n koi khataa ho to muaaf kare.n per main her uss kalaam pe comments karti hoo.n jo bahut pasand aaye main aksar mazahiya comments hi karti hoo.n per aap kaa kalaam bahut hi sanjeeda aur maanikhez hai  icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower! aur haan mujhe hind aur hindi ke fonts me.n likha kalaam padhna nahin ataa hai yahaan ab zayaadaa tar loag hindi fonts me.n likhte hain to mere liye padhna namumkin hai icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
Sps
Guest
«Reply #3 on: June 09, 2016, 07:20:58 PM »
Reply with quote
thank you adil ji...aapne ise saraa...achche kalaam likhne ki poori koshish kar rahi hu..seekh rahi hu!
Logged
Sps
Guest
«Reply #4 on: June 09, 2016, 07:27:52 PM »
Reply with quote
sheba ji bahot bahot shukriya...zarranawazi ...ap mujhe shayad bhool gai hain kyoki beech me 2-3 saal mai yo india se door rahi..par aap aur aapka comment karneka style mujhe tab bhi aur aaj bhi bahot bahot pasand hai..ye mere liye bahot bada reward hai ki aapne apne usi style me comment kia ...maine pehle khamosh ji...adil.ji..hriday ji aur aise bahot hi achche likhnewalo pe hi aapke comments padhe hain..so mer liye bahot hi khushi ki baat hai mera likha kalam aapko pasand aaya.
Aur ab se hindi aur english dono me likhungi..mai zyada hindi me hi likhti hu...fir se dil se ...thank you so sooo much!
Logged
Rustum Rangila
Yoindian Shayar
******

Rau: 128
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 16 hours and 31 minutes.

Posts: 2534
Member Since: Oct 2015


View Profile
«Reply #5 on: June 09, 2016, 08:08:07 PM »
Reply with quote
Bahot khooob bas waaaah hi waaah  Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Sps
Guest
«Reply #6 on: June 09, 2016, 08:24:12 PM »
Reply with quote
Thank you so so much Rangila ji Usual Smile
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #7 on: June 11, 2016, 05:50:11 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
waah waah waah waah waah kyaa kehne ji, kyaa khoob likhaa hai aapne, mazaa aagayaa padh ke, bahut alag aur bahut hi masssttttt likhaa hai aapne.... sach mein humein bahut zyaadaa pasand aayi hai....!!!
Logged
Sps
Guest
«Reply #8 on: June 11, 2016, 11:14:43 AM »
Reply with quote
thank you so so so much Hriday ji...aapko ye bahot achchi lagi iski mujhe bahot bahot khushi hai...dekhiye Yoindia pe aane aur aap sab k kalaam padhne ka hi asar hai ye to aap sabko thank you Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Logged
Mast Khalander
Maqbool Shayar
****

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
2 days, 11 hours and 42 minutes.

PhoolNahiMeraDilHai

Posts: 902
Member Since: Jul 2013


View Profile
«Reply #9 on: June 11, 2016, 11:20:08 AM »
Reply with quote
Massssssssssst  icon_flower Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley icon_flower
Logged
Sps
Guest
«Reply #10 on: June 11, 2016, 11:24:42 AM »
Reply with quote
thank you very much mast kalandar ji Usual Smile
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 12, 2025, 05:38:22 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer