Qaber Ki Mitti

by Nino on February 25, 2006, 01:10:42 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1064 times)
Nino
Guest
Reply with quote
Humko apni Qaber ki Mitti ho Mubarak
Tumko kisi ghair ki Bahoon ke Sahare
Tum ban ke Baithi jo Dhulhan Kisi aur ki
Aur hum ko cheekh cheekh ker humara qafaan pukare

Leta hua hoon main aaj apni qaber mein
per najane aaj bhi kiyu hai umeed ke sahare
tumko pana to shayed qismat mein nahi tha meri
Main jeeta to jeeta Zindagi bhar kis umeed ke sahare

Ab to Zindagi ko Alwida kehne ka waqt aaya hai
ab to Khuda ke waaste na dekhao hume Chand Taare
Zindagi ki sari Khushiyaan ho tum ko Mubarak aye Sanam
Aur Duwa Karta hoon Khuda se ke Humko dede Sare Gham tumhare
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mitti Meri Kabrase Chura Rahai Koi by zahir_2005india in Shayri-E-Dard
Qaber Ki Mitti by Nino in Shayri-E-Dard
mitti by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
~Mitti Ki Imaarat~ by Sonia01 in Miscellaneous Shayri
desh kee mitti by Nira in Shairy-E-Watan
gumnam
Guest
«Reply #1 on: February 25, 2006, 01:57:15 PM »
Reply with quote
BAHUT ACHHA LIKHA HAI NINO.PAR YAAD RAKHO-"SHRINGAR DEKHA NAHI DULHAN JAISA,DARD DEKHA NAHI BIRHAN JAISA.DEKHNE KE LIYE TO DEKHA HAI KAIYO KO MAGAR,SAATHI DEKHA NAHI KAFAN JAISA."
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: February 26, 2006, 07:03:53 AM »
Reply with quote
wah nino ji kay abaat hai...bahoot khoob...itne dino app ayye hai...
Logged
Nino
Guest
«Reply #3 on: February 26, 2006, 01:21:02 PM »
Reply with quote
thank u both
Logged
Nino
Guest
«Reply #4 on: February 26, 2006, 02:37:33 PM »
Reply with quote
Dost kiya Khoob wafaon ka sila dete hain
her naye mood pe ik zakham naya dete hain
tumse to khair ghaadi bhar ki mulaaqat rahi
log sadiyoon ki rafakat ko bhulaa sete hain

kaise mumkin hai ?
 ki dhuwaan bhi na ho aur dil bhi jaal jaye
Choot padti hai to pather bhi sada dete hain
Dost kiya khoob wafaon ka sila dete hain

Kaun hota hai museebat mein yahan kisi ka aye dost
aag lagti hai jab jungel mein to patte bhi hawa dete hain
her naye mood pe ik zalham naya dete hain

Jin pe hota hai Bahoot dil ko bharoosa (Nino)
waqt padne pe wo hi log Dhagha dete hain
dost kiya Khoob wafaon ka sila dete hain
her naye mood pe ik zakham naya dete hain
Logged
PYAS
Guest
«Reply #5 on: May 28, 2009, 03:41:28 AM »
Reply with quote
Dost kiya Khoob wafaon ka sila dete hain
her naye mood pe ik zakham naya dete hain
tumse to khair ghaadi bhar ki mulaaqat rahi
log sadiyoon ki rafakat ko bhulaa sete hain

kaise mumkin hai ?
 ki dhuwaan bhi na ho aur dil bhi jaal jaye
Choot padti hai to pather bhi sada dete hain
Dost kiya khoob wafaon ka sila dete hain

Kaun hota hai museebat mein yahan kisi ka aye dost
aag lagti hai jab jungel mein to patte bhi hawa dete hain
her naye mood pe ik zalham naya dete hain

Jin pe hota hai Bahoot dil ko bharoosa (Nino)
waqt padne pe wo hi log Dhagha dete hain
dost kiya Khoob wafaon ka sila dete hain
her naye mood pe ik zakham naya dete hain

kya baat hai wah wah wah wah......................

Har khushi dil ke karib nahi hoti,
zindagi gamo se dur nahi hoti,
ae dost is dosti ko sanjokar rakhna,
aisi dosti har kisi ko nasib nahi hoti
...........
Logged
Alam Qazi
Guest
«Reply #6 on: May 28, 2009, 04:22:43 AM »
Reply with quote

kaun hota hai museebat mein yahan, kisi ka Ae dost
Aag lagti hai jab jungle mein, Tou patte bhi hawaa dete hain....


beautiful lines....
behad khoob nino.... Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:36:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer