Sanam Bewafa (Shikha)

by Shikha12 on March 02, 2006, 06:41:28 AM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11
ReplyPrint
Author  (Read 12775 times)
badnaam_shayar
Guest
«Reply #105 on: June 14, 2006, 12:54:01 PM »
Reply with quote
Dekh ke Jala Dil mera woh Bewafa bhi ro padi......
Dafna dia gaya mujhe Zinda Kabr me or woh Door khadi dekhti rahi......

Pyar tha uska behisaab mere liye.....
Zinda Laash bangaya par woh Zakhm mere kuredti rahi......

Ho chala jab mein vida iss Sukhi Sansaar se......
Shaam baaki thi par najaaane kyu meri Raat mujhse bichadti rahi.....

Soona sa mann ka jo aangan mera.....
Usme woh kaaton ki bail bani sada murjhati rahi......

Aati rahi har Dum mere khawabon me.....
Pal pal mujhe apni yaadon se mujhe Pyar ke liye tarsaati rahi......!!!!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Bewafa sanam by dev_omu in Shayri-E-Dard
Bewafa Sanam by Moshfeq in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2 3 4 5 »
Bewafa sanam... by Soheb_Khan in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3 4  All »
~*~*~*~*BeWafa SaNaM~*~*~*~* by ghayal_shayar in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Bewafa sanam by muna massood in Shayari -e- Husn
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #106 on: June 14, 2006, 01:08:32 PM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
Dekh ke Jala Dil mera woh Bewafa bhi ro padi......
Dafna dia gaya mujhe Zinda Kabr me or woh Door khadi dekhti rahi......

Pyar tha uska behisaab mere liye.....
Zinda Laash bangaya par woh Zakhm mere kuredti rahi......

Ho chala jab mein vida iss Sukhi Sansaar se......
Shaam baaki thi par najaaane kyu meri Raat mujhse bichadti rahi.....

Soona sa mann ka jo aangan mera.....
Usme woh kaaton ki bail bani sada murjhati rahi......

Aati rahi har Dum mere khawabon me.....
Pal pal mujhe apni yaadon se mujhe Pyar ke liye tarsaati rahi......!!!!!!!

Bahoot Khoob Gaurav Bhai,...

Hadd Bewaafai ki Kuch Aisi Thi Yaaron,..

Khabar Mere Marne Ki Sunte Hi Dekho,..
Wo Haathon Mein Mehandi Rachaane Lage Hain,..
Safar Aakhri Hai Koi Unse Kehde,..
Janaaza Meraa Sab Uthaane Lage Hain,..

Sitam Jeete Jee Usne Mujhpar Hai Dhaaya,..
Magar Baad Marne Ke Phir Ye Sitam Hai,..
Kabar Mein Bhi Mujhko Kahan Chain Yaaron,..
Idhar Bhi Farishte Sataane Lage Hain,..

Adamat Ke Sholon Mein Sabhi Rishte-Naate,..
Khuloos-e-Waafaa Ke Hue Khaakh Dekho,..
Mere Humsafar The Jo Ache Dino Mein,..
Wohi Mujhse Daman Bachaane Lage Hain,..

Udhar Surk Joda Hai Unke Badan Par,.
Idhar Tann Ko Dhampaa Hai Maine Kafan Se,..
Idhar Laash Par Meri Maatam Hai "Ishrat"
Udhar Banke Dulhan Wo Jaane Lage Hain,..

__________________________-Ataa Ullah Khan-
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #107 on: June 14, 2006, 03:01:30 PM »
Reply with quote
Wah wah =D> Nice Sharing Jaanu bhai jaan.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #108 on: June 15, 2006, 01:49:45 PM »
Reply with quote
Quote from: "nirbhay"
Wah wah =D> Nice Sharing Jaanu bhai jaan.
Shukriya Bade Bhai,..
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #109 on: June 18, 2006, 10:22:48 AM »
Reply with quote
Quote from: "Jaanasheen"
Hadd Bewaafai ki Kuch Aisi Thi Yaaron,..

Khabar Mere Marne Ki Sunte Hi Dekho,..
Wo Haathon Mein Mehandi Rachaane Lage Hain,..
Safar Aakhri Hai Koi Unse Kehde,..
Janaaza Meraa Sab Uthaane Lage Hain,..

Sitam Jeete Jee Usne Mujhpar Hai Dhaaya,..
Magar Baad Marne Ke Phir Ye Sitam Hai,..
Kabar Mein Bhi Mujhko Kahan Chain Yaaron,..
Idhar Bhi Farishte Sataane Lage Hain,..

Adamat Ke Sholon Mein Sabhi Rishte-Naate,..
Khuloos-e-Waafaa Ke Hue Khaakh Dekho,..
Mere Humsafar The Jo Ache Dino Mein,..
Wohi Mujhse Daman Bachaane Lage Hain,..

Udhar Surk Joda Hai Unke Badan Par,.
Idhar Tann Ko Dhampaa Hai Maine Kafan Se,..
Idhar Laash Par Meri Maatam Hai "Ishrat"
Udhar Banke Dulhan Wo Jaane Lage Hain,..

__________________________-Ataa Ullah Khan-

Indeed a very Nice Sharing Azeem bhai.....[/b]
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #110 on: June 18, 2006, 11:14:49 AM »
Reply with quote

Shukriya Shikha Ji,..

Logged
nirbhay
Guest
«Reply #111 on: July 02, 2006, 12:41:25 PM »
Reply with quote
Hunar Bewafaii ka unko kuch iss tarah bhaane lagaa
Chasm badta gaya rozz, unko bhi mazaa aane lagaa
Jo kartey They Pyar Meri naadani se
Unko Abb naksh ye adaakari ka sataane lagaa
Mein rookta rahaa Jiss Aansu ko tamam raatein
Subeh Hotey Hii wo Hans Hans Kar beh jaane lagaa
Yoon Hunooj hua Silsila barbaadi ka fhir...
Mein Bhi Kismat ka roona rokar, dil par zulam dhaane lagaa
Dene ko to lafz Banein hain laakh Qurbaat ke
Mein lafzon mein sirf fhir baad-dua aazmaane lagaa..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #112 on: July 03, 2006, 10:06:48 AM »

Bahoot Khob Bhaijaan,..

Dekh Kar Meri Bebasi Ko Sab Muskuraane Lage,..
Jo The Apne Mere Sab Mujhse Daman Bachaane Lage,..

Bahoot Armaano Se Jis Chaman Ko Main Seencha "Jaanasheen",..
Bahar Jab Aayi To Sab Gulshan KO Jalaane Lage,..

Sitam To Jeekar Bhi Humne Uthaaya Hai Logon Ka,..
Maut Ke Baad Jab Kabar Mein Gaya Farishte Bhi Ab Sataane Lage,..

Kya Bataaon Main Kisi Ko Dil Ka Haal Apna "Jaanasheen",..
Jo Likha Tha Naam Tera Maine Dekh Aaj Sab Mitaane Lage,..

Khela Hai Khuda Ne Mere Saath Dekho Kitna Bada Khel,..
Jo Hanskar Baat Karte The Kabhi Aaj Wohi Mujhe Aazmaane Lage,..

___________________________-Azeem-_____________________
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #113 on: July 08, 2006, 11:19:43 AM »

Marvellous work....Nirbhay...

Hunar bewafaii ka unko kuch is tarah bhaaney lagaa,
Dil muhabaat key naam sey bhi ghabaraaney lagaa...

Kaash ki woh aa jaatey, theher jaatey dil mey kahin,
Aur Hum chuppa letey unko apni dhadkan mey kahin...
Aakar chaley jaana unka, Dil ko merey dhukhaney lagaa....

Bewafa huey woh to nazar ko hum bhi jhuka kar bethey,
Hum unkey pehlu sey nikal kar duniya ki nazar aa bethey,
Har shaksh duniya ka hum pey unglii apni uthhaney lagaa...

Roka bahut unhey kaha ki humey bus ruswaaiya milengi,
Yeh duniya merey zazbat-e-muhabbat pey din raat hasegi...
Phir bhi bhari mehfil mey woh kissa mera sunaney lagaa....

Hunar bewafaii ka unko kuch is tarah bhaaney lagaa
Mujhey dard mey dekh woh jashn yu mananey lagaa....
Haal par apney hum to ro bhi naa sakey magar,
Dil Muhabbat key naam sey bhi ab ghabraney lagaa...
[/b]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #114 on: July 08, 2006, 11:48:39 AM »
Reply with quote
Quote from: "Jaanasheen"
Quote from: "nirbhay"
Hunar Bewafaii ka unko kuch iss tarah bhaane lagaa
Chasm badta gaya rozz, unko bhi mazaa aane lagaa
Jo kartey They Pyar Meri naadani se
Unko Abb naksh ye adaakari ka sataane lagaa
Mein rookta rahaa Jiss Aansu ko tamam raatein
Subeh Hotey Hii wo Hans Hans Kar beh jaane lagaa
Yoon Hunooj hua Silsila barbaadi ka fhir...
Mein Bhi Kismat ka roona rokar, dil par zulam dhaane lagaa
Dene ko to lafz Banein hain laakh Qurbaat ke
Mein lafzon mein sirf fhir baad-dua aazmaane lagaa..

Bahoot Khob Bhaijaan,..

Dekh Kar Meri Bebasi Ko Sab Muskuraane Lage,..
Jo The Apne Mere Sab Mujhse Daman Bachaane Lage,..

Bahoot Armaano Se Jis Chaman Ko Main Seencha "Jaanasheen",..
Bahar Jab Aayi To Sab Gulshan KO Jalaane Lage,..

Sitam To Jeekar Bhi Humne Uthaaya Hai Logon Ka,..
Maut Ke Baad Jab Kabar Mein Gaya Farishte Bhi Ab Sataane Lage,..

Kya Bataaon Main Kisi Ko Dil Ka Haal Apna "Jaanasheen",..
Jo Likha Tha Naam Tera Maine Dekh Aaj Sab Mitaane Lage,..

Khela Hai Khuda Ne Mere Saath Dekho Kitna Bada Khel,..
Jo Hanskar Baat Karte The Kabhi Aaj Wohi Mujhe Aazmaane Lage,..

___________________________-Azeem-_____________________

Bahut khoob likha hai Azeem...

Dekh kar meri bebasi ko sub muskuraney lagey,
Jo They Apne Mere Sab Mujhse Daman Bachaane Lagey.....

Ek fakat khawaish ki humney unki chahat ki unsey,
uljhi uljhi baton sey woh humko bhi uljhaney lagey.....

Pathar dil humko duniya kehti hai jo to kya karey,
hum unkey liye is pathar ko mo'um bananey lagey....

Dil ko ek khilona jaana aur to'd diya usney is tarah,
Is tootey huey khiloney sey phir dil apna behlaney lagey....

[/b]
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #115 on: July 08, 2006, 12:47:22 PM »
Reply with quote
Shukriya Shikha Sis,...
Bahoot Khoob Likha Hai,..

Khabar Mere Marne Ki Sunte Hi Dekho,..
Wo Haathon Mein Mehandi Rachaane Lage Hain,..
Safar Aakhri Hai Koi Unse Kehde,..
Janaaza Mera Sab Uthaane Lage Hain,..

Khataaein Bhoolakar Ke Guzre Dino Ki,..
Kiya Maaf Mujhko Mere Dushmaano ne,..
Magar Wo Naa Aaye Mayyat Pe Meri,..
Lo Hum Jab ke Duniya SE Jaane Lage Hain,..

Sitam Jeete Jee Usne Mujhpar Hain Dhaaye,..
Magar Baad Marne Ke Phir Ye Sitam hain,..
Kabar mein Bhi Mujhko Kahan Chain Yaaron,..
Yahan Bhi Farishte Sataane Lage Hain,..

Adamat Ke Sholon Mein Sab Rishte Naate,..
Khuloos-e-Wafaa Ke Hue Khaakh Dekho,..
Mere Humsafar the Jo Ache Dino Mein,..
Wohi Mujhse Daman Bachaane Lage Hain,..

Udhar Surkh Joda Hai Unke Badan Par,..
Idhar Tann Ko Dhampa Hai Maine Kafan Se,..
Idhar Laash Par Meri Matam Hai "Ishrat",..
Udhar Banke Dulhan Wo Jaane Lage Hain,..

___________-Ata Ullah Khan-_____________
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #116 on: July 09, 2006, 10:03:36 AM »
Reply with quote
One of my favorite nazm of Ata ullah khan sahab....Thanks for sharing Azeem bro....
[/b]
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #117 on: July 11, 2006, 09:22:29 AM »
Reply with quote
Kya Kahoon Shikha Ji,,
Ye Jo Nazm Hai Ataullah Khan Ji Ki,..
Sunta Hoon To Dil Ro Pardta Hai,..
Utna Dard Bhara Gaate hain Wo,.
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #118 on: July 20, 2006, 04:40:39 PM »
Reply with quote
Dil ne khaye Zakhm ab kisi ki Wafa pe Yakin na aye toh kya kariyega.....
Doobte Chale jao jab iss IshQ ke dariya me toh kahan se Ansoon bahayiega......

Jaane konsa tha rasta thi woh kon see gali.....
Jisme dekhi humne Manzil apni par Humsafar hee saath na de toh kya kariyega.......!!!!!!!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #119 on: July 22, 2006, 02:11:41 PM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Gaurav Bhai And Majid Bhai,..

Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 06:26:17 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer