Sanam Bewafa (Shikha)

by Shikha12 on March 02, 2006, 06:41:28 AM
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11]
ReplyPrint
Author  (Read 12704 times)
gumnam
Guest
«Reply #150 on: January 05, 2007, 02:17:31 PM »
Reply with quote
Quote from: "Shikha12"
Quote from: "gumnam"
Quote from: "gr_ajimal"
:cry: Hundi Yaari hai Kaisi Ajeeb Loko,
Anjaneya Nu Le Ke Aaondi Kareeb Loko,
Mile Jina Nu Na Assi Kade Hunde,
Ki Pata Kado Ban Jande Ne Oh Sada Naseeb Loko....... :cry:


dost pura samajh nahi aaya.....



Gumnam ji Punjabi mey likha hai Gr_ajimal ney....
Main hindi mey translate kartii hoon....

(Gr_Ajimal... I hope u dont mind)

Dostii (Muhabbat) hoti hai dekho kitnii ajeeb logo.n,
Anjane chehro ko le aati hai yeh kareeb logo.n...
Mulakaat naa ho sake jinsey umr bhar apnii,
Kya pata kab bann jaate hai woh apna naseeb logo.n...
[/b]
HI.............HAPPY NEW YEAR........THANKS BAHUT SUNDAR LINES HAIN......


ANJAAN BAN KAR TUM MILE,
PEHCHAAN BAN KAR RAH GAYE.
EK DOST BAN KAR TUM MILE,
AB YAAD BAN KAR RAH GAYE....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Bewafa sanam by dev_omu in Shayri-E-Dard
Bewafa Sanam by Moshfeq in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2 3 4 5 »
Bewafa sanam... by Soheb_Khan in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3 4  All »
~*~*~*~*BeWafa SaNaM~*~*~*~* by ghayal_shayar in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Bewafa sanam by muna massood in Shayari -e- Husn
gumnam
Guest
«Reply #151 on: January 05, 2007, 02:20:35 PM »
Reply with quote
Quote from: "Shikha12"
Quote from: "gumnam"
Quote from: "Shikha12"
Bahut khoob Gumnam ji...Ajju and Rohit...


SHIKHA JI SHUKRIYA...HUM TO AAPKE SHER KE INTEZAAR MEIN THE....PAR NIRAASH HUE...SORRY FOR LATE REPLY....

HAQ MEIN MERE NA USNE DUA KI NA KUCHH DAVA,
HOGA WO SAHAR BHAR KA MASIHA HUA KARE...
'GUMNAAM' MOHBATTO KA KHAJANA TO LUT CHUKA,
AA AB BAITH KE DARD-E-DIL KI HIFAAZAT KIYA KARE...


 Puzzled !

Bahut khoob likha hai Gumnam ji....
Lekin Niraash hone ki kya jarurat hai... Puzzled !
I m also sorry for late reply.. sad5



Meri Zindagii ki jab kabhi shaam hogi,
Woh aakhiri shaam bhi tere naam hogi...

Dil bachaye rakhna apna hifaazat sey,
Muhabbat us roz naa apni nakaam hogi...

Mit jayenge faasle sab darmiyaan humare,
Har ek wehshat duniyaa ki tamaam hogi...

Bewafa hum ko kehte rahe Tum Sanam lekin,
Ek baar thartharaaii zaroor terii zubaan hogi..
[/b]
SHUKRIYA JI......................AUR BAHUT HI ACHHA LIKHA HAI AAPNE.................DIL KHUSH HO GAYA...................


MERI ZUBAAN TO KAANP KE RAH GAI,
TU JO MUJHE BEWAFA KAH GAI......
Logged
anandagarwal
Guest
«Reply #152 on: January 07, 2007, 06:17:39 AM »
Reply with quote
Shikha tum dil me aaye baav ko kalam kaafi achha utar leti ho akchharo me.

Very Nice.

TUM KABHE NAHI SAMJH SAKO GEY"

Kitna dard hai chupa iss dil main
kitni ahey hain in sansoon main
kitney ansoo hain rakhye ankhon main
kitni tarap hai meri ahoon main

Tum kabhe nahi samjh sakoo gey

mery karb main guzri raton ko
un lamho ki yadoon ko
jo na ki kabhe main ney woh sabhe
baton aur wadoo ko

Tum kabhe nahi samjh sakoo gey

dil ka tootna kiya hota hai
kisi ka bicharna kiya hota hia
kabhe milker bhe na mila kiya hota hai
tanhai ka ghum kiya hota hia

Tum kabhe nahi samajh paoogey

Tanha rehna kiya hota hia
khuch paker khona kiya hota hia
naam palko ka anso kiya hota hia

Tum kabhe nahi samajh paoogey...

Larki ki na main han hota hia
Uss ki dharkan ka rukna kiya hota hia
Kisi ka pehla piyar kiya hota hia

Tum kabhe nahi samjh paogey.....

Mouflisi ka rona kiya hota hia
dard ka sehna kiya hota hai
khamosh rehna kiya hota hai.......

Tum kabhe nahe samajh paogey......

Anand Agarwal
Logged
gumnam
Guest
«Reply #153 on: January 07, 2007, 12:22:03 PM »
Reply with quote
Quote from: "anandagarwal"
Shikha tum dil me aaye baav ko kalam kaafi achha utar leti ho akchharo me.

Very Nice.

TUM KABHE NAHI SAMJH SAKO GEY"

Kitna dard hai chupa iss dil main
kitni ahey hain in sansoon main
kitney ansoo hain rakhye ankhon main
kitni tarap hai meri ahoon main

Tum kabhe nahi samjh sakoo gey

mery karb main guzri raton ko
un lamho ki yadoon ko
jo na ki kabhe main ney woh sabhe
baton aur wadoo ko

Tum kabhe nahi samjh sakoo gey

dil ka tootna kiya hota hai
kisi ka bicharna kiya hota hia
kabhe milker bhe na mila kiya hota hai
tanhai ka ghum kiya hota hia

Tum kabhe nahi samajh paoogey

Tanha rehna kiya hota hia
khuch paker khona kiya hota hia
naam palko ka anso kiya hota hia

Tum kabhe nahi samajh paoogey...

Larki ki na main han hota hia
Uss ki dharkan ka rukna kiya hota hia
Kisi ka pehla piyar kiya hota hia

Tum kabhe nahi samjh paogey.....

Mouflisi ka rona kiya hota hia
dard ka sehna kiya hota hai
khamosh rehna kiya hota hai.......

Tum kabhe nahe samajh paogey......

Anand Agarwal
bahut achha aanand ji....and HAPPY NEW YEAR.....
Logged
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 09:48:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer