shukriya tere chod jaane ka

by kaushikbhawna008 on March 14, 2008, 08:07:27 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1539 times)
kaushikbhawna008
Guest
Reply with quote
shukriya tere chod jaane ka
mere haatho se apna haath chudane ka

jab tak tu tha saath to thi me tanha
shukriya apni yaadein mujhe de jaane ka

wo bhul jo ki thi hamneine wafa nibhane ki
shukriya bewafaai ka ilzaam hamein de jaane ka

tu rahe khush hamesha tujhe chain-o-sukun mile
shukriya mere dil ko tadapne k liye chod jaane ka

tu bhula de hamein chahe de ilzaam berukhi ka
shukriya hampar kuch to hak jataane ka

"bhawna" karti hai intzaar aaj b usi raaste par
shukriya umra bhar k liye beech rah me chod jaane ka

pahucha kar  hamein sagar ke kinare tak
shukriya fir hamein gam k tufano k hawale kiye jaane ka
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tere jaane kei baad by Arifa in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 8 9 »
***chod jaane k liye*** by kaushikbhawna008 in Miscellaneous Shayri
*~Chod Ker Jaane Se*~ by Sonia01 in Shayri-E-Dard
Ghazal: hum rote nahiN tere jaane kaa Ghum kar ke.....! by DhavalRami in Shayri-E-Dard
Tere lout jane ka shukriya by Lovely-Prince in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: March 16, 2008, 11:38:02 AM »
Reply with quote
Nice One Kaushik Ji,.
Yunhi Likhte rahiye,. Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: March 16, 2008, 11:40:26 AM »
Reply with quote
Us Bewafaa Ki zaat Se Mujhko Hai Ye Gilaa,.
Sunke Bhi Meri Maut Ka aaaya Na Bewafaa,.

Marke Bhi Uske Waaste Apni To Hai Ye Duaa,.
Jisne Mitaa Diya Mujhe Wo Khush Rahe Sadaa,.

_____________________________-Jaanasheen-
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: March 16, 2008, 01:01:04 PM »
Reply with quote
bahut khoob Kaushik ji and Azeem
Logged
Roja
Guest
«Reply #4 on: March 16, 2008, 01:04:39 PM »
Reply with quote
Fizaye bhi paigam-e-wafa deti hai
Bewafayiyan bhi yahan shamma jala deti hai

Lakh bewafa honge dunia ke liye
Magar Wo aakar do phool chada deta hai..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: March 17, 2008, 07:31:46 AM »
Reply with quote
Shukriya Roja,. icon_salut
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: March 17, 2008, 07:35:42 AM »
Reply with quote
Fizaye bhi paigam-e-wafa deti hai
Bewafayiyan bhi yahan shamma jala deti hai

Lakh bewafa honge dunia ke liye
Magar Wo aakar do phool chada deta hai..


Bewafaai Shamaa Nahi Dil Jalaa Deti Hai,.
Ashiq Ki Khabar Pe Rakhte Nahi Phool,.
Inhe Ye Aakar Kabar Mein Bhi Rulaa Deti Hai,.

Kisne Kaha Ke Fizaaon Mein Wafaa Ka Paigaam Hai,.
To Phir Kyun Hawaa Mohabbat Ko Khaak Me Milaa Deti Hai,.

Sab kehne Sunne Ki Baatein Hain "Roja,.
Bewafaai Aksar Zindagi Mitaa Deti Hai,.

____________________________-Jaanasheen-
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #7 on: November 28, 2008, 09:37:18 AM »
Reply with quote
thnks everone    notworthy
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: November 29, 2008, 09:43:31 AM »
Reply with quote
U Are Welcome,.

Jo Uske Paas Tha Wo Usne De Diya,.
Jo Mere Paas Tha Wo Kisi Ko Milaa Nahi,.

Bewafaai Usne Tohfe Mein Di, Ye Bhi Kabool Hai,.
Kuch To Haasil Hua Mere Sanam Se, Us Se Koi Gilaa Nahi,.

___________________________-Jaanasheen-


Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #9 on: July 28, 2010, 01:34:50 AM »
Reply with quote
Azeem Ji.... Ye last post pe jo ashaar lihkke aapne.... Dil choohgaye. Very nicely written

Kuch tho haasil hua mere sanam se... Us se koi gilaa nahi!


Subhaan allah! Amazing
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 12:15:27 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer